![]() |
Chalo koi asia Nagar Basaein Chalo koi aisa Nagar basein Jahan sub Log mil ker Muskuraein Jahan mausam Khizan say Ajnabi ho Charagon say Hawa ki Dosti ho Sitam Shab Khoo na maray Hausalon per Musalat ho Zamin khud Zalzalon per Jahan Khushboo rawan ho zindagi main Hawa khud say Khathak nachay Galli main Mata-e-Shamm Ghum tehren Ujalay Samadar Seepion ko khud Uchalay Jahan Titli, Hamala per Makeen ho K zarra, Mehr-o-ma ka Hum-Nasheen ho Jahan uljhen na Aandhi say shararay Na Khunda-Zun hon Jugnu per Sitaray Jahan Zindan na Zangeeren na Maqtal Sada roshan rahay sanoson ki Mishal Jahan lehraein Cheron per Naqabein Jahan tootein Zakhimon ki Tanabein Jahan Heryaliyan jhulsen na Lahoo Lahoo holi na khelay khud Lahoo say Jahan Gulnar hon Chehray dehek ker Kamal dar-e-Kuff na hon Dushman kay Lashkar Jahan chehkein her ik soo Fakhtaein Sabhi Rukhsar khud say tamtamaein Fasurda Lab Taranay gungunaein Jahan sab Log mil ker Muskuraein |
| All times are GMT +5. The time now is 08:49 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.