![]() |
Dastan-e-Hayat Wafa mian ab yeh Hunar ikhtiyar kerna ha Wo sach kahay na kahay Eaitabar kerna ha Yeh tujh ko Jagtay rehnay ka Shoq kab say howa Mjhay tu khair tera Intezar kerna ha Hawa ki Zad main jalaye hain Aansoon k Charag Khabi yeh Jashan Sar-e-Rahguzar kerna ha Wo Muskura k nae Waswason m dal gaya Khayal tha ussay Sharmsar kerna ha Tere Firaq main Din kiss tarah kattein apnay K Shugal-e- Shabb tu Sitaray shumar kerna ha Chalo yeh Ashq hi Moti samjh k bech aaein Kissi tarah tu hamein Rozgar kerna ha |
| All times are GMT +5. The time now is 08:40 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.