BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Aandhian taiz hain galyan nokhaiz hain (http://bzupages.com/f109/aandhian-taiz-hain-galyan-nokhaiz-hain-14741/)

.BZU. 16-03-2011 09:12 PM

Aandhian taiz hain galyan nokhaiz hain
 
Aandhian taiz hain
galyan nokhaiz hain
tor ke na phainkna
har taraf daikhna
ke kaun kis tarhan se hai
...ye zindagi do pal ki
aaj ki aur kal ki
waqt hai ab bhi man lay - jag lay
jago jago jago (jag lay)
kab tak mein bardasht karun
khud ko kyun barbad karun
ye gorak dhanda kaisa hai
gardan ka phanda kaisa hai
tareef karo tazeen karo
izzat ko qaleen karo
sheh-reg pe khanjar mardo
barbadi ki taleem karo
kiya insan ki haqeeqat hai?
naseehat ki faseehat hai
bahut hua ab khatam karo
sab se hai na jang karo
mein bahut dukhun ka mara hun
na itna mujh ko tang karo
ishara ye mera tum samjho tou jano
sahara kissi ka bano tou mein manu
jo chaha usnay wo kaha
kyun tumnay isko kosa
nafrat se har aik lafz suna
jab jhumnay usko ye kaha
ke waqt hai ab bhi man lay - jag lay
jago jago jago (jag lay)
Aandhian taiz hain
galyan nokhaiz hain
tor ke na phainkna
har taraf daikhna
ke kaun kis tarhan se hai
ye zindagi do pal ki
aaj ki aur kal ki
waqt hai ab bhi man lay
Tou aandian taiz hain... galyan nokhaiz hain
jag lay


All times are GMT +5. The time now is 06:28 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.