BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta (http://bzupages.com/f109/zamanay-mai-bhi-dhundo-gay-ham-sa-ho-nahi-sakta-14698/)

snowwhite 10-03-2011 06:02 PM

zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta
 
zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta
sada us ko hi chahay dil, jo apna ho nahi sakta
buht ujra hoa dil hai mager apna aqeeda hai
jahan mehkean teri yadean wo sehra ho nahi sakta
kisi ki yaad ab bhi raat bhar sonay nahi deti
shab-e-tanhaei se keh do, mai tanha ho nahi sakta
kuch apni bhi khtaen thean wabaal-e-zindgi k sath
sabhi kuch hi muqader ka likha to ho nahi sakta
juda ho ker bhi dono jee rahay hain eik mudat se
kabhi dono he kehtay thy k aisa ho nahi sakta


WantSmile 12-03-2011 12:26 AM

Re: zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta
 
bht pyari ghazal hai......thanks

1. second last sher mai "to" ko 'likha' say pehle ana chahiyay, tabhi qafia radeef teek hoga

2. 59 ne read kee ghazal aur ksi ne comments nhi die........dek len
hamare nu hone say kitna farq parh jata hai....

snowwhite 12-03-2011 07:08 PM

Re: zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta
 
ager to ko pehlay likha jaye to wazn theek nahi rehta, I dont knw theek kia hai bkoz ye muje kisi ne sms ki thi, so......

or mai yahan per comments k lye upload nahi kerti hon, koi ker de to theek na keray to bhi theek......:)

WantSmile 12-03-2011 07:12 PM

Re: zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta
 
ji bilkul...................kia farq parhta hai

aur wazn mera khyal hai k khrab nhi hoga..............."fit" hi rahega misra
haan is halat mai Qafia "unfit" ho gya hai...............anyhow....is say be apko kia 'farq' parhta hai......................

snowwhite 12-03-2011 07:18 PM

Re: zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta
 
muje to khear farq nahi perta but aap ko galt lag raha hai to chlean mai theek ker don gi....:)

WantSmile 12-03-2011 07:38 PM

Re: zamanay mai bhi dhundo gay to ham sa ho nahi sakta
 
shukria nawazish....................:yahoo:


All times are GMT +5. The time now is 07:18 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.