BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Pehla pyar : Jeene ka aadhaar ho tum (http://bzupages.com/f109/pehla-pyar-jeene-ka-aadhaar-ho-tum-1455/)

.BZU. 04-12-2008 12:52 AM

Pehla pyar : Jeene ka aadhaar ho tum
 
Pehla Piyar Ho Tum
jeene ka aadhaar ho tum
jivan ka singhaar ho tum
tum mano na mano lekin
mera pehla pyaar ho tum

thha patjhad sa mera jivan
sukhe-sukhe mere saawan
raah teri hi dekh rahe thhe
bekal naina,vyakul ye man
phool khila de hriday mila de
barkha ki mast fuhaar ho tum
tum maano na maano lekin…….

Roop tumhaara atul anupam
Nischal nirmal bhola sa man
Man upwan ko surbhit kar do
Prem sudha ka karke sinchan
Jagat rachak ki anupam srishti
Devo ka uphaar ho tum
Tum maano na maano……..

Patthar puje mannat mangi
Kiye ratjage jane kitne
Pal- pal maine chhaha tujhko
Harpal dekhe tere sapne
Maine jisko har pal puja
Janmo ka intezaar ho tum
Tum maano na maano lekin…….

Malay shikhar sa surbhit chandan
Tum mehke phoolo ka aangan
Tere paawan prem par priyavar
Mera tan man jivan arpan
Parampita se arj yahi hai
Jeewan me har baar ho tum
Tum mano na mano………………

Muzammil 04-12-2008 01:21 AM

Re: Pehla pyar : Jeene ka aadhaar ho tum
 
Yeh do word ka matlab bata dein..

bekal naina,vyakul ye man
phool khila de hriday mila de


samajh nahi aa raha hai.. :hammer:

hehehehehe.. ya saraiki wali haal hai aapki bhi.. jaisi mere upar se nikal jaati hai..

.BZU. 04-12-2008 01:43 AM

Re: Pehla pyar : Jeene ka aadhaar ho tum
 
Oh...
Main nay jahan say Copy kiya tha na wahan par aisa hei likha huya tha,,
Aap ko tu pata hay na kay mujhay Poetry ka shoq nahi hay,
.... Anyway let me think about these words.

...

..

.

:_abzw:I think yeh kisi Indian language kay words hain.. Saraiki kay nahi hay :giggle:

Jaisay yeh aik Hindi song hay:

Quote:

koee jab tumhaaraa hriaday tod de
tadapataa huaa jab koee chhod de
tab tum mere paas aanaa pirye
meraa dar khulaa hai, khulaa hee rahegaa, tumhaare liye

abhee tum ko meree jarurat nahee, bahot chaahanewaale mil jaayenge
abhee rup kaa yek saagar ho tum kanwal jitane chaahogee khil jaayenge
darpan tumhe jab daraane lage, jawaanee bhee daaman chhoodaane lage
tab tum mere paas aanaa pirye
meraa sar zukaa hai, zukaa hain rahegaa, tumhaare liye

koee sharta hotee naheen pyaar me, magar pyaar sharton pe tum ne kiyaa
najar mein sitaare jo chamake jaraa, buzaane lagee aaratee kaa diyaa
jab apanee najar mein hee girane lago, andhero mein apane hee ghirane lago
tab tum mere paas aanaa pirye
ye deepak jalaa hai, jalaa hee rahegaa tumhaare liye

http://www.chandrakantha.com/raga_ra...charukesi.html

:happydance:Issi Trah vyakul bhi. hindi song ka word hay... you can check it by searching these sentence on internet. :comfort_:

Muzammil 04-12-2008 02:00 AM

Re: Pehla pyar : Jeene ka aadhaar ho tum
 
hehehe search karoon aur me..? me hindi novels 500 pages ki 4 ghante me waiting rooms me khatm kerta hoon..Isiliye toh pooch raha hoon aap s.. aap ko samajh aaya? poori poetri truely hindi mein hai.. waise vyakul ka matlab hota hai 'ghabrana' ya 'ghabrahat'..

aur 'hriday; to aapne bata hi diya hai.. 'Dil' ko kehte hain.. per bohot se words hain jo samajh nhi aayega.. kisi ko.. i think me translate kerdoon.. per aaj nahi.. phir kabhi..


All times are GMT +5. The time now is 07:47 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.