BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai (http://bzupages.com/f109/wo-nazer-se-door-hain-mager-ye-ajeeb-surat-e-haal-hai-14194/)

snowwhite 11-02-2011 07:22 PM

wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
her waqat pesh-e-nazer bhi hain, na faraq hai na wisal hai
na wo hm mai gum na hm un mai gum,wo udher khafa hm edher khafa
na unhey hamara khyal hai, na hame dimag-e-sawaal hai.....
ye tumhari kaj-ada'iyan koi or seh kay dikhaye to........
ye jo hm mai tum mai nibhah hai, mere hoslay ka kamaal hai
jo guzer rahi hai guzar do, na gila karo na boora kaho
jo tumhara haal hai dosto, wohi saraay shehr ka haal hai
tere mashwaray k khaloos per muje tarak-e-eshaq qabool hai
mager eik baat hai hm-nashee'n, meri zindagi ka sawaal hai




WantSmile 12-02-2011 01:25 AM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
nice..
waqiee..........
ye ........, mrey hosley ka kamal hai
bht achey

snowwhite 12-02-2011 07:56 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
ye aap k nahi, mere khoslay ka kamaal hai....
ap k hoslay ka hota to ye gazal ap share kerty...:)

WantSmile 12-02-2011 08:59 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
khirad ka naam junoo rak dya junoo ka khirad
jo chahay apka husn-e-karishma saaz kray

ghaliban mai doosri bar ye sher apki nazr krne pe majboor ho gya hoon.

snowwhite 12-02-2011 09:05 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
to aap ko chahye apni collection mai ezafaa kerean ta k her bar eik new sher likh sakean....:)

WantSmile 12-02-2011 09:13 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
collection mai izafa to ho jayega lekin ap pe asar kon dalwayega.....
lagta hai........wuhi maamila hai..............? k aagey been bjana
ya phir

phool ki patti say kat sakta hai heerey ka jigar
mard-e-nadaan par kalaam-e-narm-o-naazuk bai-asar

snowwhite 12-02-2011 09:28 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
pehli baat to ye k mai "marad-e-nadaan" nahi or dusri baat ka jawaab phir kabhi don gi

WantSmile 12-02-2011 09:35 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
ab zahanat pathan wali hti to smj ajani thi...

mehboob me to mzakkar hta hai lekin har jaga .................

snowwhite 12-02-2011 09:43 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
aap ki bhi punjabiyon wali aqal hoti to samjh a jati....

or ab mai aap ki dusri baat ka bhi jawaab de deti hon to aap ka kalaam-e-narm-o-nazuk es lye be-aser hai bkoz ap to her waqat "razm-e-haq-o-batil" jari rahkty hain....to ap ko pata hona chahye k"razam-e-haq-o-batil ho to folaad hai momin" bs esi liye us pe kalaam-e-narm-o-nazuk be-aser hai

WantSmile 12-02-2011 09:52 PM

Re: wo nazer se door to hain mager,ye ajeeb surat-e-haal hai
 
hi hi... kia door ki korhi layi hn aap... 1 punjabn hi aisa krskti hai

zara ghor to krtin k is moqey ko "halqa-e-yaaran' kaha jayega ya "razm-e-haq-o-batil". beshak ADMIN BZU say pooch len.

or phir razm-e-haq-o-batil ma talwar chalti ha or mai to khali hat hun. k shayid log aise hi smj jayen. lkn lagta hai laato k bhoot "kalam-e-narm-o-nazuk' smjne say rahe...ab talwar utani hi parhegi

ab yahan nmaz ka wqt hai......

aagya ain larahyi mai agr wqt-e-nmaz....................


All times are GMT +5. The time now is 05:45 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.