![]() |
Ek taza hikayat hay...sun lo to anayat hai... Ek taza hikayat hay.. Sun lo to anayat hay.. Ek shakhs ko dekha tha.. Taron ki trha hum ne.. Ek shakhs ko chaha tha apno ki trah hum ne ek shakhs ko samjha tha phoolon ki trah hum ne kuch tum se wo milta tha baton main, shabahat main han tum sa he lagta tha shokhi main, shararat main dikhta bhi tumhi sa tha dastoor-e-muhabbat main wo shakhs hamain ek din gheron ki trah bhoola taron ki trah dooba phoolon ki trah toota phir haath na aya wo hum ne to boht dhoonda tum kis liye chonkay ho? kab zikar tumhara hay? kab tum se taqaza hay? kab tum se shikayat hay? ek taza hikayat hay sun lo to enayat hay.....!! |
Re: Ek taza hikayat hay...sun lo to anayat hai... nice HIKAYAT............... Ye to kch kch hamari baat ho rahi hai.......................shayid |
Re: Ek taza hikayat hay...sun lo to anayat hai... jee nahi ye bilkul ap ki baat nahi ho rahi...don't u worry |
Re: Ek taza hikayat hay...sun lo to anayat hai... lekin kia kren............ham zban say zyada dil ki baat pe yaqeen krtey hen wo to kch aur keh raha hai.................. |
| All times are GMT +5. The time now is 12:05 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.