bas ek bar wapas lautne ka man karta hai "bas ek bar wapas lautne ka man karta hai Aaj har wo din jeene ko man karta hai. kuch buri batein jo ab acchi lagti hain kuch batein jo kal ki hi batein lagti hain. abki baar class attend karne ka man karta hai Dopahar ki class mein aakhein band karne ko man karta hai. Doston ke room ki wo baatein yaad aati hai exam ke time pe wo hasi mazak yaad aati hai, college ke paas resturant ki yaad aati hai tab ki bekar lagne wali photos chehre pe hasi laati hai. Apni galtiyon pe tumse daat khana yaad aata hai. Par tumhari galti dekhne ka ab bhi mann karta hai. Ek aisi subah uthne ka mann karta hai bas ek bar wapas lautne ka man karta hai. bas ek bar aur wapas lautne ka man karta hai." |
All times are GMT +5. The time now is 07:53 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.