BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Qurrat-ul-ain 25-04-2009 11:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujhe Gumman hai k Chaha hai boht Zammanay n mujhe

Main azeez tu sab ko hon magar zarooraton ki tarah....

irfishahpk 26-04-2009 09:05 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yehi arzu rhi umer bher k muhbtain mere sath hon,
kbi esa ishq kia nhi k nidamten mere sath hon,
koi esa harf nhi likha k ho shermsar qlam mera,
koi esa jurm nhi kia k wazahaten mere sath hon,
Faqat ek shakhs ki arzu men guzer rahi he ye zindgi,
ye talab nhi k tamam shehr ki chahatn mere sath hon......!


usman_latif_ch 26-04-2009 09:20 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
humein pata tha k "jaam" me "zehar" hai lekin
us k pilaney me itna "khalos" tha k hum thukra na sake.

irfishahpk 26-04-2009 09:30 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Taaba e maqdoor e intizar kiya
Dil nay ab zor e bekaraar kiya

Dushmani ham say ki zamanay nay
kah jafa kar tujh sa yar kiya

Yah to ham ka karkhana hay
yan wahi hay jo aitbar kiya


usman_latif_ch 26-04-2009 09:31 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Abhi b Rait Geeli he,
Abhi Sub NAQSH Baqi hein,
Gaye Qadmoon Pe Laut Aao,
Mujhe Bus Itna Samjhao,
Kahan Se Seekh Li Tum Ne,
Ada Mujhko Bhulaney Ki......


irfishahpk 26-04-2009 09:36 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ham fakiron say ba adai kya
Aan bathay jo tum nay pyar kiya

Sakht kafir tha jis nay pahlay hi
mazhab e ishq ikhtiyar kiya


usman_latif_ch 26-04-2009 09:37 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Raftah Raftah Bujh Gæya Charag_e_Aarzoo ....
Pehle Dil Khamoosh Thha,
Ab Zindagi Khamoosh Hy....!

irfishahpk 26-04-2009 09:48 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yah mana zindagi hay char din ki
bohat hotay hain yaro char din bhi

Khuda ko pa gaya waaiz magar hay
zaroorat aadmi ko aadmi ki

Muhabbat main karain kya hal dil ki
Khushi hi kam aati hay na gham hi

Basata kya Khuda ujray jahan ko
Ghanimat hay yahan zat aadmi ki

kabhi basti thien duniyain bhi in main
Woh aankhain aaj jo hain sooni sooni

Rakeeb e gham zada ab sabr kar lay
Kabhi us say bhi meri dosti thi

usman_latif_ch 26-04-2009 10:03 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ajeeb andhera hai Saaqi teri mehfil main,
Hum ne dil bhi jalaya to roshni na howi.


irfishahpk 26-04-2009 10:16 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Thi jis say roshni woh diya bhi nahi raha
Ab dil ko aitbar hoa bhi nahi raha

tu bujh gaya to ham bhi farozan na rah sakay
tu kho gaya to apna pata bhi nahi raha

kuch ham bhi taray bad zamanay say kat gayay
kuch rabt o zabt Khuda say bhi nahi raha

Goya hamaray haq main sitam dar sitam hoa
Harf e dua bhi dast e dua bhi nahi raha

Kya shayari karain kay taray baad shahar main
Lutf e kalam kaif e nawa bhi nahi raha

usman_latif_ch 26-04-2009 10:24 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Lout aao k Phir ye Aetbaar na milega.
Ye Mohabat ye Ahesas ye Pyar na milega.
Manga hai RUB se Tujhe Duaon me Ro Ro ke
Hum Jesa Tujhe koi Talabgar na mile ga


Qurrat-ul-ain 26-04-2009 05:06 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Janne Phir Q??

Khud ko mujh say judda kiya uss nay

Jo na kerna tha wo kiya uss nay

Yaad kerne say bhi na yaad aaon...

Aisa mujh ko bhulla diya uss nay..


Qurrat-ul-ain 26-04-2009 11:21 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sab nay kaha usse Hum na millen...

Hum n chaha usse Gham na millen

Agar Khushi milti usse Hum say Judda ho ker

Tu yeh Duaa hai k phir usse khabi Hum na millen....


irfishahpk 27-04-2009 08:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us ki hansi main chupay dard ko mehsoos to kar
woh to yunhi hans hans ke khud ko saza deta hay

Qurrat-ul-ain 27-04-2009 04:07 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hawa jab Zard Patton ko judda shakhon say kerti hai

Tu hamen Tum say Bichar jana boht hi Yad aata hai....


Qurrat-ul-ain 27-04-2009 11:27 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Maine Ehsaas k Dhaagay main piaroya hai tujhe

Tooti agar jo main tu bikhar tu bhi jaye ga....


irfishahpk 28-04-2009 12:30 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
teri umeed tera intizar jab say hay
na shab ko din say shikayat na din ko shab say hay

kisi ko dard ho kartay hain taray naam raqam
gilla hay jo bhi kisi say taray sabab say hay

Qurrat-ul-ain 28-04-2009 11:59 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wo kehta hai k un ki yad main Pattahar Dil raotay hain Farza!

Usse kya khabar k Chashmay hamesha Patharon say nikaltay hain.


usman_latif_ch 29-04-2009 05:55 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Itna na yaad aaya karo k raat bhar so na sakain!
Subah ko surkh aankhon ka sabab poochtay hain LOG!

Qurrat-ul-ain 30-04-2009 01:06 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kiya khabbar thi k challay gi aisi Hawa MEHR!..

Khushk Patton ki tarah sare Dost bikhar jayen Gay...


irfishahpk 01-05-2009 01:38 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
یوں دل پہ کسی درد کا پیماں نہیں کرتے
اب جاں پہ بنی بھی ہے تو درماں نہیں کرتے

ہر یاد کو یوں زخم بناتے نہیں دل کا
ہر تیر کو پیوستِ رگِ جاں نہیں کرتے

usman_latif_ch 01-05-2009 02:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujh Ko Maloom Nahi Husan Ki Tareef Magar,
Meri Nazro'n Mein Haseen Wo Hy Jo Tujh Jaisa Ho...!!


Muzammil 02-05-2009 09:31 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Nafrat kabhi na karna humse
Hum nafrat she nahi paayeng,
Ek baar keh dena hume aitbaar nahi,
Teri duniya se has kar chale jaayenge…

irfishahpk 02-05-2009 02:32 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by emsplanet (Post 7514)
Nafrat kabhi na karna humse
Hum nafrat she nahi paayeng,
Ek baar keh dena hume aitbaar nahi,
Teri duniya se has kar chale jaayenge…

Hmmmmmmmm, it's good one. I like this one.
************ ********* ********* **
Daikha jo es ada say to rut hi badal gai
Ek shakhs saray shehar ko weeran kar gaya

usman_latif_ch 03-05-2009 09:32 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
""Wafa ki aaj bhi qadar wohi hy "Mohsin"..!!
""Faqat mit chukey hen toot k chahne waley..!

irfishahpk 04-05-2009 11:21 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
اے بہارِ زندگانی الوداع
اے شبابِ شادمانی الوداع

آلگا حالی کنارے پر جہاز
الوداع اے زندگانی الوداع

usman_latif_ch 04-05-2009 08:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ab bhi ojhal hai nigahon se nishan-e-manzil
"Zindgi" Tu hi bata kitna safar baqi hai..


usman_latif_ch 06-05-2009 05:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bohot khushnuma kal Raat guzri hai
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai
Na neend aayi na Khwaab koi
Bas aapke Hi ke khayalon ke saath guzri hai

Qurrat-ul-ain 07-05-2009 01:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dosti kissi ki Riyasat nahi hoti

Zindagi kissi ki aamanat nahi hoti

Hamari Saltanat main dekh k Qadam rakhana

QK hamari Dosti ki Qaid main Zamanat nahi hoti


irfishahpk 07-05-2009 02:56 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujh say gilay hain mujh pay bharosa nahi usay
Yah soch kar hum nay bhi roka nahi usay

Woh shakhs kabhi chand sitaron say yah poochay
Hay kon si woh raat jab socha nahi usay

Alfaz teer ban kay utartay rahay dil main
suntay rahay din raat hi toka nahi usay

Sagar yah muhabbat nahi Asool-e-wafa hay
Ham jan to dangay magar dhoka nahi usay

usman_latif_ch 07-05-2009 03:48 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hamari b zindgi khushyon se labraizthi " wasi "
Ik dil kya tota k Jeeney ki tamana hi mit gai.


irfishahpk 07-05-2009 05:09 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Parveen shakir said:
maray pas say jo guzra, mera haal tak na poocha
main yah kasay maan jaon kah woh door jaa kay roya?

Ahmed faraz beautifully replied as:

Taray paas say jo guzray to junoon main thay Faraz
Jab thori door pohunchay to zaar zaar roye

Qurrat-ul-ain 09-05-2009 01:51 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
You raiza raiza ho gay khawabon ka her Mehel

Mian bikhri khawahishon kay badan jorti rahi

Bahir tu sajja rakhe thay Khush-Rang aainay

Ander say Dil ka sheesha tootta raha....

Qurrat-ul-ain 09-05-2009 05:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jab tum hum say rooth jatay ho

Hamari Khushiyan bhi sath lay jatay ho

Tumharay binna hamara eik pal nahi kat'ta

Yeh jan ker bhi hamen Q satta'tay ho


Muzammil 09-05-2009 07:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujhe Parho To Zara Ehtiyaat Se Parhna

Khud Apni Zaat Me Bikhri Hui Qitaab Hun Mein

usman_latif_ch 09-05-2009 09:39 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ye hum tasleem karte hain,Hamein fursat nhi milti, Magar,
O Humari soch k mehvar !
Kbi ye bi to zra socho k tumhein jab yad krty hein to KHUD ko BHOOL JATE HEIN

Qurrat-ul-ain 09-05-2009 11:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Honton pay Mohabbat ka fassanay nahi aatay

Sahil pay Samadar k Khazanay nahi aatay

Iss Sheher k Log tumhari Yaadon ki tarah hain

Yeh Aag lagatay hain bujhanay nahi aatay


Muzammil 10-05-2009 02:06 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ZoQ e Junoon Ko Had se Guzar Jaane Do
Woh Sametne aaye ga, Hamein Bikhar jaane do

Abhi Dastras mein hain, To ahsas nahi Usko
Ro Ro ke Pukare ga, Zara Mar to Jaane Do

Qurrat-ul-ain 10-05-2009 10:55 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wo dhoondhtay rahe hamen idher udher

Shayad unhen hamari talash thi

Per afsos k jis Qabar pay thay unn k Qadam

Uss main dafan hamari Laash thi...


irfishahpk 11-05-2009 08:41 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ab maray sirf maray ho kar raho
Husan hi husan ho zahanat ho

Ishq hoon main to tum mohabbat ho
Tum meri bas meri amanat ho

Ji liyay jis qadar jiyay apnay
Tum bohat sal rah liyay apnay


All times are GMT +5. The time now is 11:07 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.