BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

usman_latif_ch 01-04-2009 02:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Saleeqa ho agar Bheegi hui AANKHON ko Parrhney ka Zakir,
Tou Behtay huye AANSU bhi akser BAAT kertey hain.


usman_latif_ch 02-04-2009 02:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kab tak rotey raho ge apni qismat per FARAZ...
Yahaan tu phool b rukh badal letey hein aksar shaam k baad..!


************ ********* ********* **
WO aam si sham thi jab juda huye thay hm,
na toot kar pyar kiye or na ro saky hm,

tum se gile kiye na zamany se kuch kaha,
barbad ho gaye bari sadgi se hum,


irfishahpk 03-04-2009 12:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kitne garoor main hain wo mujhe tanha chor kar faraz
unhain maloom nahi mere aansu mujhe tanha hone nahi dete
kuch to baat hai uski fitrat main faraz
warna usaay chahne ki khata baar baar na kartay

usman_latif_ch 04-04-2009 12:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Pukara nahi hai us ne kai roz se mujhy
Shayad usay b meri zrurat nahi rahi
Bus yun hi us k zikar ne afsurda kr dia
Ye b nhi k us se muhabat nhi rahi.

usman_latif_ch 06-04-2009 09:45 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Saza Na Do Mujko Beqasoor Hoon Mein,
Tham Lo Mujko Ghamon Se Choor Hoon Mein,
Teri Doori Ne krdia Pagal Sa Mujko,
Aur Logon ka kehna Hy k Maghror Hoon Mein.


usman_latif_ch 07-04-2009 09:55 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ho jaye mohabat to hum socha nai krte,
Chand chehron se kabi dhoka nai krte,
Jo ajaye hamari mehfil mei khush aamdeed,
Jo uth kr chala jaye use roka nhi krty

usman_latif_ch 08-04-2009 04:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Itne Anjan b nhi un ki socho se,
Unke Dil men ha kya jan lia krte han!
Hmen malom ha Dhoka ha Mohabt lekn,
Jab wo kehte han
"G Nhi" to hum Maan lia krte han!

usman_latif_ch 09-04-2009 07:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
"RAAT" k pichly "PEHAR" sy,
Koi jany kab sy "JAAG" raha hy,
"AAKHEN" hen "BAND" or "HATH" hen "BULAND"
Tu kya jany "TUJHY"koi "RAB" sy "MAANG" raha ha


.BZU. 09-04-2009 08:05 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mohabbat Azmaani ho tu bas itna hei kaafi hay..
Zara sa rooth kar daikho mananay koon aata hay


usman_latif_ch 09-04-2009 08:21 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bichar Gaye to Milne ki Aas Kya Rakhna
Hawa k Jhonkon ka Hisaab Kya Rakhna
Bus iss Khayal sa Muskura Diya Hum ne,
K Apni Udasi Se Kisi ko Udas Kya Rakhna.


irfishahpk 10-04-2009 01:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
us ki jafaon ne mujhay ek tehzeeb sikha di hai ........
main rotay huway so jata hoon,par shikwa nai karta..
************ ********* ********* **
Yeh pardahdari hai ya tamasha mujhi mian reh ker mujhi say paradah

tabah kerna ger hai mujh ko nigah utha aur tabah ker day.

suhani ratoon ki chandni main kabhi na tum beniqab anna
main khud pey kabo rakh sakhoo ga nigah shayad gunah ker dey....!

usman_latif_ch 10-04-2009 02:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Guzry hoy taweel zmany k bad b,
Dil mein rha wo chorh jany k bad b,
Pehlu mein reh k dil ny dia hy boht fraib,
Rakha hy us ko yad bhulany k bad b..


irfishahpk 10-04-2009 04:19 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauqsa sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

usman_latif_ch 11-04-2009 09:36 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare...
Kare to qayamat tak juda na kare..
Yeh mana k koi marta nahi judai mein...
lekin jee bhi to nahi pata tanhai main:

irfishahpk 11-04-2009 11:21 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aahat bhi koi aye to lagta yay k tm ho,
Saya koi lehraye to lagta hay k tm ho,

Jb shakh koi hath lagata hay chaman main,
Sharmaye lachak jaye to lagta hay k tm ho,

usman_latif_ch 11-04-2009 06:20 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Thukra k usne mujhko kaha k Muskurao,
Me has dia akhir sawal uski Khushi ka tha,
Me ne khoya wo jo mera tha hi nhi,
Usne khoya wo jo hmesha se us ka tha.


usman_latif_ch 12-04-2009 12:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kuch Aaisay Haadsay Bhi Zindagi Mai Hotay Hain Faraz,
K Insaan Bach Tou Jata Hai Magar Zinda Nahi Rehta !,

irfishahpk 12-04-2009 12:48 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ی ی
ȡ ی ی

ی
ی ̪ ی

Qurrat-ul-ain 12-04-2009 12:54 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bin bttaye na janay Q uss n Doori ker di

Bichar k mujh sau uss nay Dosti adhori ker di

Mere Muqaddar main Gham aaye to kiya howa...

Khuda n uss ki khawahish tu poori ker di..


irfishahpk 12-04-2009 01:55 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum To Mojood Thay Andheroon Mai Ujaalon Ki Tarhan
Tum Nay Chaha Hi Nahi Chaahnay Waloon Ki Tarhan..

Qurrat-ul-ain 13-04-2009 01:24 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Tanha....


Apni Hasti mitta ker bhi tanha hon

Main sub kuch lutta ker bhi tanha ho

Log Door tak jatay hain kissi k liye

Aur main itni Door aa ker bhi tanha hon...

irfishahpk 13-04-2009 11:57 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum pe kahtam sari chahat hogi
Phir na kisi pe yeh inatat hogi

kuch is tarha se karengy yaad tum ko
shikwa hoga na zamane ko shikayat hogi

Qurrat-ul-ain 15-04-2009 12:36 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kachi Matti say bnna tu lo makan phir socho

Barishon ko barasnay ka bahana chahiye

Dhoop say bach jao g..phir chandani khoo jaye Gi...

Soch ker Aangan main koi Pairh uggana chahiye...


irfishahpk 16-04-2009 02:47 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dhoop main saya-e-deewar zaroori tu nahi,
ab tere baad koi pyar zaroori tu nahi,

hum tere ek eshaare par katta dain sar ko,
ho tere hath main talwaar zaroori tu nahi,

usman_latif_ch 18-04-2009 11:40 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tarasti nazron ne her pal tera sath manga

jaisa asman ne her raat chand manga

khud bhi roth geya woh hum se

jab her dua main hum ne un ka sath manga

************ ********* ********* **
Usne kaha tha k apna bana k chorunnga,
Usne apna banaya or chor diya..

irfishahpk 18-04-2009 01:32 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
baray shatan hotay ja rahay hain
wo dil ke jan hotay ja rahay hain

sub zamany k sitam mil mil kar
muj pay qurban hotay ja rahay hain

Qurrat-ul-ain 18-04-2009 11:44 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Log muntazir hi rahe k hamen Toot'ta dekhen

HUM zabt kerte kerte Pattahar k ho gaye...


irfishahpk 19-04-2009 07:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mera bas chalay toh teri adayen kharid lon.
Apne jenay k wastey teri batain kharid lon.

Kar sakay johar waqt deedar tera .
Sab kuch luta kar woh nigahen kharid lon....

Qurrat-ul-ain 19-04-2009 11:36 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi Manzil bhi nahi raah badaltay bhi nahi

HUmsaffar kese ho do-kadam chaltay bhi nahi

Kitne majboor hain Hum apni Anna k hathon

Raiza raiza bhi howe aur bikhartay bhi nahi...


irfishahpk 20-04-2009 06:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
souda junoo ka surr se uter to nahin gaya
majnoo nikal ke dasht se ghar to nahin gaya


such hay ke tere bad udasi ka raaj hay
lekin tere firaaq mein murr to nahin gaya

Qurrat-ul-ain 20-04-2009 11:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wohi din raat ka dorania ha

Wohi kaar-e-jahan hai aur main hoon

Na janay kon thaq jaye pehlay

Meri umer-e-rawan hai aur main hoon...

.BZU. 21-04-2009 03:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.

Muzammil 21-04-2009 07:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
:1tongue:

Qurrat-ul-ain 21-04-2009 11:56 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Charagh ban k jalla jis k wastay eik umer

Challa gaya wo Hawa k sapurd ker k mujhe

Main apni Zaat main neelaam ho raha hon Qateel!

Ghulaam-e-Hayat say keh do kharid lay mujhe


.BZU. 24-04-2009 03:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zindagi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin

usman_latif_ch 24-04-2009 08:08 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by BZU (Post 7349)
Zindagi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin

nice

irfishahpk 24-04-2009 08:51 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
jis simt bhii dekhoon nazar aataa hai ke tum ho
ay jaan-e-jahan ye koi tum saa hay kay tum ho
************ ********* ********* **
Zulfain gira kay es tarah na muskuraye
Dharkan ko bhi khabar na ho yuon dil main aaye

Qurrat-ul-ain 25-04-2009 12:10 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Eik Waffa ko panay ki koshish main mn

Zakhmi ker di hain Waffaein kitni

Kitna Masoom sa lagta hai eik lafz "Mohabbat"

Aur iss Lafz say milti hain Sazzaein kitni...

irfishahpk 25-04-2009 10:23 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
koi chaudhwein Raat ka chand ban kar
tumharay tasawur mein aya to hoga,

kisi se to ki hogi tum ne muhabbat
kisi kogalay se lagaya to hoga,

Qurrat-ul-ain 25-04-2009 06:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi Manzil bhi nahi raah badaltay bhi nahi

Humsaffar kese ho do-kadam chaltay bhi nahi

Kitne majboor hain hum apni Anna k hathon

Raiza raiza bhi howe aur bikhartay bhi nahi...



All times are GMT +5. The time now is 07:34 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.