BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

irfishahpk 09-02-2009 10:25 AM

Friend
 
Zindagi Ke Rahon Me Bohat Se Yar Milengey
Hum Kya Hum Se B Ache Hazar Milenge
In Achoo Ke Bheer Me Hum Ko Na Bhool Jana
Hum Kahan Tumhe Bar Bar Milenge

irfishahpk 09-02-2009 10:31 AM

Tujey bhool kar bhi na bhool paaengay hum,
Bas yehi ek wada nibha paaengay hum,
Mita daingay khud ko bhi is jahan se,
Lekin Tera naam dil se na mita paaemgay hum,,

Pal pal tarse uss pal ke liye,
Pal aaya bhi to kuch pal ke liye,
Socha tha usse zindagi ka ek hasin pal bana lenge,
Par woh pal ruka bhi to kuch pal ke liye

Qurrat-ul-ain 09-02-2009 11:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Asoa Mr. Usman Latif Y poetry m pehlay send ker chukki hon Urdu poetry Section so plz pehlay iss ko perh laein ja ker.
Tc Next time vnever u send poetr
y

Qurrat-ul-ain 09-02-2009 11:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tere Shehr main Shamm hoti ja rhai hai

Zindagi Ilzam hoti ja rahi hai

Wo tu ab bhi Aazad hai Mohabbat say

Magr meri her saans uss ki Gulam hoti ja rahi hai



usman_latif_ch 10-02-2009 07:48 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Barishon ka mosam hai.
Rooh ki fizaon main..
Ghamzda hawain hain..
Besabab udasi hai..
Is ajeeb mosam main..
Beqrar lahjon ki.
Beshumar baaten hain.
Anginat fasany hain.
Jo bohat khamoshi se..
Dil pe sehtay phirtay hain..
Or baa amar-e-majburi.
Sab se kehtay phirtay hain.
"Aaj mosam acha hai"

irfishahpk 10-02-2009 11:08 AM

ی
 
ǘ ی ی ̪ ی
ǘ ی ی ǘ ی ی


Qurrat-ul-ain 10-02-2009 12:44 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jaan Pehchan


Shoor machati Moj-e-Aab

Sahil say takra ker jab wapis loti tu!!!

Paon kay neechay jammi howi chamkeeli Sunheri Rait

Achanak sirrak gayi

Kuch kuch Gehray panni main

Kharri howi Larki nay socha

Yeh Lamha kitna jana pehchana lagta hai...



Qurrat-ul-ain 10-02-2009 01:59 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zabaan ka virrd howay, Parda-Dil main gahr na howay

Hathailiyaon pay likhay naam Hamsafar na howay......


Qurrat-ul-ain 10-02-2009 02:08 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jatay thay sabhi faisalay Haq main mere magar!!

Munsif nay diya sath her bar ussi ka

Ek wo rakhta hai k!rakhta nhi koi Rishta hum say

Ek dil hai k !!! rehta hai tarafdar ussi ka.....

msn 10-02-2009 05:53 PM

Haqeeqat
 
Mohabbat Aisa Darya hai k
Barish Rooth Bhi Jaye
Tu pani kam nhn Hota

usman_latif_ch 10-02-2009 06:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jo adhori reh gai thi wo kahani sochna..
Baith kar tanha faqat batain purani sochna...
Jab kisi sahil pe aa jae mari yaad tumhain..
Kyun jazeeron ki taraf behta hai pani sochna...
Jab kabhi likhna kahani ''zeest'' ki, mojon pe tum..
Kyun badal jate hain lafzoon ke maani sochna.....

.BZU. 11-02-2009 04:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
aik sarsarii c nazar wo mujh pay b dal day
aye rab e zul jalal osay itna khayal day
itna b arooj kia k wo mil he na saky
wo ho saky mera osy itna zawaal day


KUCH HARD VERSES HAIN BUT CHALAY GA

msn 11-02-2009 05:24 PM

pal pal
 
Pal Pal Tarsy Tay Jis Pal K liy
Pal Aya b to Kuch Pal k liy
Sucha Ta Usy Zindagi Ka Haseen pal Ban lengy
Per Wo Pal Ruka B to Bass eik Pal K liy!

usman_latif_ch 13-02-2009 07:21 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4181
Kitni Ratein Beet Gaen,
Kitne Din Beet Gaey,
Bus Beeta Nahi to..
Yaadoon Ka Wo PaL,
Wo Guzra Hoa KaL,
Beeti Nahi To
Aankhon Ki Nami,
Aur.. unki Kami.!
Attachment 4181

.BZU. 14-02-2009 09:41 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Raat kya dhali sitare chale gye,
ghairo se kia gila apne chale gye,
jeet to skte the har baazi hm bhi,
per usko jitane ki khatir hum harte chale gye,

Muzammil 14-02-2009 09:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Saamnay aa key nigaahoon ko churaata kiyoon hay..
Hay ager piyaar ussay bhee to chuppaata kiyoon hay.


Chain din main hay ussay aur na raatoon ko sakoon..
Itnee qurbet hay to phir rooth kay jaata kiyoon hay


Youn to main bhool gaya hoon ussay maazi kee tarah. .
Dil ko her waqt mager yaad woh aata kiyoon hay.
Mujhe Is k jawab Nahi mil raha hai..

Teri faryaad suni hay na sunay ga koi
phir bhee tu haath duaaoon ko uthaata kiyoon hay




Uhh.. Sona chahiye ab! I m very sleepy now....:aGoodbye:

usman_latif_ch 14-02-2009 11:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tumhen bi to khbr ho gi
k...
Darya pas behtay hon,
to pani acha lgta hai;
kinaron say juri mitti se pocho rog chahat ka,
k...
Is pani ki chahat me kinaron se ukharr kr ajnbi deson me jana..
Ktna mushkl hai.?
Kinara phir nhi milta;
Tumhen bs itna likhna hai,yahan jo bi bichar jae,
"Dobara phir nhi milta.

irfishahpk 14-02-2009 01:30 PM

ی ی
ی ̪


meri dastan ka arooj tha teri naram palkon ki chaon main

mere sath tha tujhe jagna teri ankh kaise jhapak gyee


Uddass tha iss qadar soya nah raat bhar
PALKOOn say daikhta raha tera naam aasman par

usman_latif_ch 17-02-2009 03:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4452
"Badan pe apne lahoo ka libas rakhta hon"
"Main khaas phool hon rangat bhi khaas rakhta hon"
"Kisi khushi ki bhala ab mujhe khushi kyun ho"
"Tumhare gham se jo khud ko udaas rakhta hon"
"Main apne dard kahan baant'ta phiron Mohsin"
"K main apni cheezain faqat apne paas rakhta hon,

Attachment 4452

Qurrat-ul-ain 17-02-2009 11:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Haqeeqat kay Naggar main jagtay lamhon main phailay ga


Mera Khawab-e-Tammana Shehr k raston main phailay ga



Mohabbat rang hai aisa k rokay say nahi rukta!



Khabi Poolon main bikhray ga khabi tarron main phailay ga..



usman_latif_ch 18-02-2009 08:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4494
Jb kabhi chahay Andheron main Ujalay Us nay,
Kr diya ghar Mera Sholon k hwale Us ne.
Us pe khull jati Mairay Shok ki shiddat sari,
Dekhay hotey jo Mairey Paon k Chalay Us ney.
Jis ka hr Aib Zmanay se Chupaya Main ney,
Merey Qissay Sarr-e-bazar Uchalay Us ney.
Jab Usay Meri Mohabbat pe bharosa hi na tha,
Kyun diye Meri wafaon kay hawalay us ney?
Ek Mera hath hi na Thama us ney MOHSIN..!
Warna Girtay huye kitnay he Sambhalay Us nye.
Attachment 4494

Muzammil 18-02-2009 05:22 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main Uska Hoon, Ye Raaz To usne jaan Liya "Faraaz,.
Wo Kiska Ka Hai,. Ye Sawal Mujhe Sone Nahi Deta,.

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 02:27 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi milla hi nahi jiss ko Waffa daitay

Her ek nay Dhoka diya kis kis ko Sazza daitay

Yeh hamara zarf tha k! khamosh rahay werna!!!

Dastan sunnatay tu Mehfil ko rulla daitay....


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 02:29 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jinhen saliqqa hai Tehzeeb-e-Ghamm samajhnay ka

Inhi kay ronay main Aansoo nazar nahi aatay

Khushi ki Aankh main aansoo ki jagah rakhna

Burray zamanay khabi pooch ker nahi aatay..

usman_latif_ch 19-02-2009 06:55 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bekholos logon se ijtanab krna hy,
Muje apne rishtøn ka ehtasab krna hay
Usay bhool jana hay ya usay yad rkhna hay
Dukh to aik jesa hay bs intakhab krna hay!

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 03:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi milla hi nahi jiss ko Waffa daitay


Her ek nay Dhoka diya kis kis ko Sazza daitay


Yeh hamara zarf tha k! khamosh rahay werna!!!



Dastan sunnatay tu Mehfil ko rulla daitay....


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 04:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mohabbat Mar Nahi sakti


Hazaron Dukh paray sehna , Mohabbat mar nahi sakti


Hai tum say bus yhi kehna , Mohabbat mar nahi sakti

Jahan main hain jab tak panchi chehektay, urtay phirtay hain

Hai jab tak Phool ka Khilna , Mohabbat mar nahi sakti

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 04:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Rukkay tu Chand challe tu Hawaon jaisa hai

Wo Shaksh dhoop main dekho tu Chaaon jaisa hai.


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Shikway

Door reh ker qareeb kitnay thay

Faslay bhi ajeeb kitnay thay

Dard-e-Dil ki Dawa nahi werna!

Iss Jahan main Tabbeeb kitnay thay

Umer bher sath jo raha tere.....

Uss k achay Naseeb kitnay thay

Q na aai main tere Sapnon main

Mere Shikway Ajeeb kitnay thay


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Her addawat pay Mohabbat kjo sajja ker milna

Rasm-e-Dunya hai Haqeeqat ko chuppa ker milna

Jis ka kirdar hai Sittaron ki tarah Roshan

Kitna dushwar hai uss shaksh ko ja ker milna

Tum Mohabbat ko b fareb samajhtay ho Faraz!

Uss ki adda hai jab bhi milna niggahon ko jukkah ker milna.

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:19 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Waqt kam tha Baatein adhori reh gayein

Achay Logon say Mullaqatein adhori reh gayein

Tere janay k bad Aankhon say Paani barsa boht

Kon kehta hai Bersatein adhori reh gayein...


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
SADGI


Bnna Ajnabi mera Hamsaffar

Or Nazar bacha k guzzar gaya

Main thi raston say bay-Khabar

Or Ussay Manzilon ka Shao'or tha

Na thein or koi bhi Ranjishen

Sirf aadaton main tazzad tha

K Ussay pasand thein Shokhiyan

Or mujhe Sadgi pay naz tha


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil kay Kareeb aa ker Jab wo door ho gaye

Saray hassen khawab chakna choor ho gaye

Hum n Wafa nibhai tu boht Badnami milli

Jo Log Bay-Wafa tahy Wo Mahhoor ho gaye


usman_latif_ch 19-02-2009 07:20 PM

"Kbi Tum Milny Aao Na"
 
1 Attachment(s)
Attachment 4585
"Kbhi tum milny aao na"
Tumhen mehsos krna hy,
Tumhari zaat mein kho kr,
Tmhara hissa banna hy,
Tmhari veran aankho main,
Tmhari bikhri baton main,
wafa ka rang bhrna hai,
Tmhare phol chehre pr udasi ka jo manzar hai,
Yahan pr apni chahat se hansi ko naqsh krna hai,
"Kbi Tum Milny Aao Na"

Attachment 4585

Muzammil 19-02-2009 11:34 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum her baat ko khuda pe chor detay hain,
Tutay na dil kisi ka dil apna tor letay hain,
Hum bhi insaan hain pathar to nahi,
JO log her tufaan hamari janib mor detay hain....


Muzammil 19-02-2009 11:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do....
per itna bhi nahi kay usay Khuda kar do....
mat chaho kise ko tot kar itnay kay....
kay usay apni wafaoun say hi bay wafa kar do....


Qurrat-ul-ain 20-02-2009 12:26 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khakh urti hai Raat bher mujh main

Kon phirta hain Dar-Ba-Dar mujh main

Mujh ko mujh main jaggah nahi milti....

Tu hai Mojood iss qaddar mujh main.!


.BZU. 20-02-2009 07:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
2 Attachment(s)

usman_latif_ch 20-02-2009 06:27 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4704

Hamare paas rahe wo ya kinara kar jaey
Udasion ka koi to chara kar jaey
Qatil pi to lia hai khushi se zehr-e-fraq
khuda kare k tabiyat gawarah kr jay.

Attachment 4704

Muzammil 21-02-2009 01:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ye Meri Zid Hai Tujhay Tujhse Mangoon Warna
Khuda say mangoon To Tu Abhi mil Jaaye


All times are GMT +5. The time now is 08:48 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.