BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Awais Ali 15-03-2010 04:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Raat phir darwaaze per dastakoon k zakhm they,
phir wohi paagal hawa thi, phir humein dhoka hua..!!

Raheel 15-03-2010 04:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kaash un ko kabhi fursat main yeh khayal aa jaye,
Kay koi yad kerta hay unhain zindagi samajh ker..

Awais Ali 15-03-2010 04:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Un ki Aankhon ki mastiaan mat puch,
Mae-kade doob doob jaate hein ...

Raheel 15-03-2010 04:15 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Najanay kis tarah ka rishta hay mera us ki zaat say SAQI,
Woh zara bhi khamosh ho to saans theher see jati hay..

Awais Ali 15-03-2010 04:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Phir na kerna meri gustaakh nigaahi ka gila,
dekhie aap ne phir pyaar se dekha mujhko...

Raheel 15-03-2010 04:20 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Meray pukhta iraday khud meri taqdeer badlain gay,
Meray haath nahi mohtaj qismat ki lakeeron kay..

momna gull 15-03-2010 06:47 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Meri Duaaon main tera wajood rehta he.
Es se barh k mera Eatraaf kia hoga?


---------- Post added at 06:29 PM ---------- Previous post was at 05:41 PM ----------

Shama umeed ki is shehr me jalti hi nhi
Hijr ki sham kuch aisi k dhalti hi nhi

Manzilein tere ilawa b kai hein lekin
Zindagi aur kisi rah pe chalti hi nahi..


---------- Post added at 07:47 PM ---------- Previous post was at 06:29 PM ----------

Kon Karta Hai Wafaon K Taqazay Tum Say,

Hum To Ek Jhooti Tasalli K Talabgar Hain Bus

momna gull 16-03-2010 05:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mohabbat aazmani ho to bs itna he kafi hy...

Zra sa rooth kr dekho manane kon aata hy..!!!

momna gull 16-03-2010 11:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ye Sajday Kahin Tuje Kaafir Na Ker Dain ay insaan
Tu Jhukta Kahin Aur Hai aur Sochta Kahin Aur

Raheel 17-03-2010 02:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Itni shidat say woh shaks meri ragon main utar gaya hay SAHIL,
Kay usay bhool janay kay liye mujhay marna he hoga..


---------- Post added at 01:44 PM ---------- Previous post was at 01:43 PM ----------

Zindagi tu he bata kesay tujhay piyar kerun,
Teri har subha meri umar ghata daiti hay..


---------- Post added at 02:31 PM ---------- Previous post was at 01:44 PM ----------

Hum samandar ki tarah zarf wasee rakhtay hain MOHSIN,
Dil main dard bhi ho to chehray par sukoon rehta hay..


---------- Post added at 02:32 PM ---------- Previous post was at 02:31 PM ----------

Wo is Anna main rehtay hain kay hum un ko un say mangain,
Hum is guroor main kay apni he cheez hum manga nahi kertay..


---------- Post added at 02:33 PM ---------- Previous post was at 02:32 PM ----------

Kuch is liye bhi doston say rabita kam rakhta hoon,
kay kal mar bhi jaoon to ksi ki aankh num na ho..


---------- Post added at 02:35 PM ---------- Previous post was at 02:33 PM ----------

Ek umar guzar chuki tujhay chahtay howay,
Tu aj bhi be khabar hay kal ki tarah..


---------- Post added at 02:36 PM ---------- Previous post was at 02:35 PM ----------

Kitnay majboor hain hum taqdeer kay hathon GHALIB,
Na usay panay ki Oqat rakhtay hain na khonay ka Hosla..


---------- Post added at 02:37 PM ---------- Previous post was at 02:36 PM ----------

Kuch zakham sadiyon baad bhi taaza rehtay hain FARAZ,
Waqt kay pass bhi har marz ki dawa nahi hoti..


---------- Post added at 02:39 PM ---------- Previous post was at 02:37 PM ----------

Jinho nay neend apni bhula kay sulaya hum ko,
Jinho nay aansoo apnay gira kay hansaya hum ko,

Dard kabhi na daina un hastiyon ko,
Zamana kehta hay Maa Baap jin ko..


---------- Post added at 02:40 PM ---------- Previous post was at 02:39 PM ----------

Mujhsay aksar wo ek he sawal poochta hay,
Tum mujhay itna piyar kion kertay ho,

Koi ja ker bata day us ko,
Zindagi kis ko piyari nahi hoti..


---------- Post added at 02:41 PM ---------- Previous post was at 02:40 PM ----------

Talaash mujh ko na ker Dasht e Rehbar main ay dost!,
Nagah e Dil say zara dekh teray kitnay pass hoon main..


---------- Post added at 02:42 PM ---------- Previous post was at 02:41 PM ----------

Un kay liye jab hum nay bhatakna chor diya,
Yad main un ki jab tarapna chor diya,

Wo roye buhut aa ker tab hamaray pass,
Jab hamaray dil nay he dharakna chor diya..

Raheel 18-03-2010 01:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Na thi jab apnay hal ki khabar,
To dekhte rahay logon kay Aib o Hunar,

Pari jab apnay gunahon pay nazar,
To nigah main koi aur bura na raha..


---------- Post added at 01:22 PM ---------- Previous post was at 01:16 PM ----------

Hanstay howay chehron ka ghamon say azaad na samjho,
Hazaron ghum chupay hotay hain halki si muskan main...


---------- Post added at 01:27 PM ---------- Previous post was at 01:22 PM ----------

Khoob pilatay hain humain jaam apni nazron say,
Phir kehtay hain nashay ki adat achi nahi hoti..


---------- Post added at 01:29 PM ---------- Previous post was at 01:27 PM ----------

Mohabbat ki haqeeqat say hum khoob waqif thay FARAZ,
Bus yunhi zara sa shoq howa zindagi barbaad kernay ka..


---------- Post added at 01:29 PM ---------- Previous post was at 01:29 PM ----------

Buhut say raastay atay hain meray dil ki taraf,
Raah e Khuloos say aana fasla kam peray ga..


---------- Post added at 01:31 PM ---------- Previous post was at 01:29 PM ----------

Sookhay honton pay he hoti hain meethi batain FARAZ,
Pyas jab bhuj jaye to lehjay he badal jatay hain...

Raheel 18-03-2010 04:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Madad kion mangtay ho ghalib, auron kay darbaar say,
Woh kounsa kam hay jo hota nahi teray pervardigar say..

momna gull 18-03-2010 05:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mat Poch Kiya Haal Hai In Ulfat Ke Maaroon Ka

Tikana Nahin Hota Gardesh Ke Sitaroon Ka

momna gull 20-03-2010 12:22 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mohabbat, Hijr, Nafrat Mil Chuki hai
Main Taqreeban Mukammal Ho Gaya Hun


---------- Post added at 01:22 PM ---------- Previous post was at 01:07 PM ----------

"Kal Chand Hoo Bahoo Teray Jaisa Tha"
"Vohi Husn, Vohi Ghuroor, Vohi Doori"

Raheel 25-03-2010 03:48 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kamal ka shaks tha jis nay meri zindagi barbaad ker di SAGAR,
Raaz ki baat to yeh hay kay dil us say khafa ab bhi nahi..


---------- Post added at 03:28 PM ---------- Previous post was at 02:35 PM ----------

Tujhko Duniya say Fursat milay To Tujhsay Poochoon,
Yaad bhi Atay Hain tujhay Dost Puranay walay,

Ek tu he to hay jisay kabhi na bhool paye hum,
Werna Andaaz to Atay hain hamain bhi Zamanay Walay..


---------- Post added at 03:39 PM ---------- Previous post was at 03:28 PM ----------

Meri Palkon ka ab neend say koi Taluq nahi FARAZ,
Woh kesa hay? Yeh sochtay howay raat guzar jati hay..


---------- Post added at 03:40 PM ---------- Previous post was at 03:39 PM ----------

Kitnay anjaan hain Sar e Sham so jatay hain,
Meri ankhon say meri neend churanay walay..


---------- Post added at 03:41 PM ---------- Previous post was at 03:40 PM ----------

Meri nigahon ki Talash bas itni hay FARAZ,
K Akhri saans say pehlay us ka deedar ho jaye..


---------- Post added at 03:43 PM ---------- Previous post was at 03:41 PM ----------

Mainay Mohabbat ka bharam sab say juda rakha hay,
Goya seenay main tujhay dil ki jaga rakha hay,

Dil yeh chahay kay tu kabhi bad naam na ho,
Dekh zikr tera hay magar nam chupa rakha hay..


---------- Post added at 03:47 PM ---------- Previous post was at 03:43 PM ----------

Wapsi ka safar hamaray liye ab mumkin na hoga FARAZ,
Hum to nikal chukay Ankh say niklay Aansu ki Tarah..


---------- Post added at 03:48 PM ---------- Previous post was at 03:47 PM ----------

Dil say rotay hain Mohabbat ki Aag main log GHALIB,
Fatah ho jati zindagi agar itnay ansoo ibadat main baha detay..

Raheel 26-03-2010 05:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main to Fida ho gaya us ki ankhain dekh ker,
Najanay wo shaks aaeena kesay dekhta hoga..


---------- Post added at 05:52 PM ---------- Previous post was at 05:48 PM ----------

Kis qadar anjan hay yeh silsila e Ishq bhi,
Mohabat to qaim rehti hay mgar insan bichar jatay hain..

usman_latif_ch 29-03-2010 09:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hr bichra hua panchi isi umeed py aaghaz-e-subah krta hy
"MOHSIN"

K Qismt mila dy gi ham-nsheen sy muj ko Groob-e-Aftab sy pehly.

momna gull 30-03-2010 11:25 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kahan Mumkin Tha Me Dil Se Teri Yaden Meta Deta
Bhala Kese Me Jeta Agar Teri yaado Ko Bhula Deta


Teri Ruswaaee K Dar Se Labon Ko Seen Liya Warna
Tere Shehre Munafiq Ki Me Bunyaaden Hila Deta


---------- Post added at 12:25 PM ---------- Previous post was at 12:23 PM ----------

Wo rootha rootha sa lagta hai,

Koi tarkeeb batao manane ki,

Main zindagi girvi rakh sakta hun,

Tum qeemat to batao muskurane

Raheel 30-03-2010 01:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
BeBasi say us ki ankhon main bhi Aansu aa gaye thay FARAZ,
Jab woh mujhay khud say Judai ka mashwara denay laga..


---------- Post added at 01:34 PM ---------- Previous post was at 01:32 PM ----------

Yeh yaad hay teri, Ya yad khud tum ho..?
Yeh khuwab hay tera, Ya khuwab b tum ho..?

Main to nahi janta, bus itna he bata do,
Mujh me jan hay teri, Ya meri Jan he tum ho..?


---------- Post added at 01:35 PM ---------- Previous post was at 01:34 PM ----------

Tu agar mujhay nawazay to tera karam hay Ya Rub,
Werna teri rehmaton kay qabil meri bandigi nahi..


---------- Post added at 01:36 PM ---------- Previous post was at 01:35 PM ----------

Mera us Shehr e Adawat main basaira hay FARAZ,
Jahan log sajdon main bhi doosron ka bura chahtay hain..


---------- Post added at 01:37 PM ---------- Previous post was at 01:36 PM ----------

Roey ga is qadar meri laash say lipat ker FARAZ,
Is baat ka pata hota to kab kay mar gaye hotay..


---------- Post added at 01:38 PM ---------- Previous post was at 01:37 PM ----------

Ab kay jo milay to khoob rulain gay us sang dil ko,
Suna hay rotay howay lipat janay ki adat hay usay..


---------- Post added at 01:40 PM ---------- Previous post was at 01:38 PM ----------

Taras jao gay tum Mehfil e Wafa kay liye,
Kisi say itna piyar na kero Khuda kay liye,

Jab lagay gi Ishq ki adalat ek din,
Tum he chunay jao gay Saza kay liye..


---------- Post added at 01:41 PM ---------- Previous post was at 01:40 PM ----------

Zoq e Deed main hay takleef sarasar Mohsin,
Achay hain woh log jo mohabbat nahi kertay..

.BZU. 31-03-2010 01:21 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aj main samjha uski chamakiti ankhon ka raaz
woh rota nahi ansoo qaid ker leta hai =((

momna gull 09-04-2010 03:45 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Nafrat ki Kari Dhoop Mai Barsat se Pehle.
Halat Na Thy Aise, Mulaqat se Pehle.
Ye Barish
Ye Hawa
Ye Dhanak
Ye Mousam
Kis Kis se Mohabbat Thi Teri Zaat se Pehlay.

usman_latif_ch 11-04-2010 10:58 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
''Yun na kheench apni taraf Mujhe Be-bus kar k''

''Mohsin''


''K Khud se bhi bichhar jaon aur to bhi na miley''

Raheel 19-04-2010 01:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum say Be-Wafayee ki Intiha kiya poochtay ho,
Woh Hum say Piyar Seekhta raha kisi Aur kay liye..

.BZU. 19-04-2010 04:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 20446)
Hum say Be-Wafayee ki Intiha kiya poochtay ho,
Woh Hum say Piyar Seekhta raha kisi Aur kay liye..

Oodasiyan too mere ehad ki alamat hain
Main hasn diya tu bohut pechay lout jaonga.. :(

Raheel 19-04-2010 05:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 20459)
Oodasiyan too mere ehad ki alamat hain
Main hasn diya tu bohut pechat lout jaonga.. :(

Dost kiya khoob Wafaon ka sila detay hain,
Har naye Mour per ik Zakhm naya detay hain,

Tum say to khair ghari bhar ki mulaqat rahi,
Log Sadiyon ki Rifaqat ko bhula detay hain..

.BZU. 20-04-2010 03:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 16005

.BZU. 25-04-2010 01:56 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
jahan choot khana wahan muskurana .....
magr iss aada se k roo day zamana......



.BZU. 25-04-2010 07:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

momna gull 28-04-2010 12:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil gumsum, Zubaan Khamosh,
Aankhein aaj num kyon hai?
Jo kabhi apna hua hi nahin
Use aaj khone ka ghum kyon hai

momna gull 29-04-2010 11:21 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
jeene k lye dard ka samaan bohat hai,
kuch roz se apna dil pareshan bohat hai,
milte hain shabo-roz sabhi log hum se,
aik tjh se mulakat ka arman bohat hai.

Raheel 29-04-2010 02:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujh main baylous MOHABBAT kay siwa kuch bhi nahi FARAZ,
Tum agar chaho to meri sochon ki talaashi lay lo..

Aisa kiya likhoon kay teray dil ko taskeen pohonchay,
Kiya yeh kafi nahi kay meri tamam duaon main tum ho..


Kis main himmat hay hamari parwaaz main khalal dalay,
Hum paron say nahi hoslon say urra kertay hain..


Kion ghareeb samajhtay hain humain duniya walay SAGAR,
Hazaron dard ki doulat say malaamaal hain hum..

Har baar muqadar ko kasoor dena achi bat nahi WASI,
Kabhi kabhi hum bhi had say ziada maang letay hain..


Saleeqa ho agar bheegi howi aankhon kay parhnay ka,
To behtay howay aansu bhi aksar baat kertay hain..


Mudaton baad hum nay usay kisi aur kay sath buhut khush dekha,
Khayal aya kay kaash hum nay buhut pehlay he usay chor diya hota..

momna gull 29-04-2010 03:47 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
khwab musafir lamhon k hain , saath kahan tak jaien gay
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon gi.

Raheel 29-04-2010 04:16 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by momna gull (Post 20746)
khwab musafir lamhon k hain , saath kahan tak jaien gay
tum ne bilkul theek kaha hai , main bhi ab kuch sochon gi.

Yeh funny shair yahan post ker diya :(

.BZU. 29-04-2010 05:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 20749)
Yeh funny shair yahan post ker diya :(

favorite hoga shyad. ;)

Raheel 29-04-2010 05:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
No doubt, ho b sakta hay :)

usman_latif_ch 01-05-2010 09:57 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Na shair se wasta tha na shaery say tha me ashna..
Teri yad ne,, teray dard ne mujhay shair kahna sikha diya.

momna gull 01-05-2010 10:15 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Guzray Dino Ki Bhuli Hoi Baat Ki Tarha

Aankhon Main Jagta Hai Koi Raat Ki Tarha

Tum Say Umeed Thi K Nibhayo Gay Dosti

Tum B Badal Gay Marey Halaat Ki Tarha.

.BZU. 02-05-2010 03:08 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujhay chhor day mere haal per
Tera kia bharosa ay jaane wafa
Teri mukhtasir si nawazishain
Mera dard aur baha na dain

.BZU. 03-05-2010 11:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

momna gull 05-05-2010 04:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
"Meray Baghair"
Nahi Hogi
"TERi Shanakht"
Kabhi"Puri "!


"TERi Zindagi"
K "Sath"
"Meray"Hawalay"
"Bohat Hain"


All times are GMT +5. The time now is 01:28 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.