BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Awais Ali 04-03-2010 05:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
tere waade per jiye hum, to yeh jaan jhuut jana,
k khushi se mar na jaate, agar aitabaar hota...

Raheel 04-03-2010 06:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Barbaad honay kay aur bhi raastay thay FARAZ,
Najanay hamain Mohabbat ka khayal kion aya..


---------- Post added at 06:40 PM ---------- Previous post was at 06:39 PM ----------

Khizaon main hota hay Imtihan wafaon ka WASI,
Jo hon Shajar ko piyaray woh patay nahi girtay..


---------- Post added at 06:41 PM ---------- Previous post was at 06:40 PM ----------

Us kay siwa koi meray Jazbaat main nahi,
Ankhon main woh nami hay jo barsaat main nahi,
Panay ki usay koshish buhut ki magar,
Shayad woh ik lakeer meray haath main nahi..


---------- Post added at 06:43 PM ---------- Previous post was at 06:41 PM ----------

Teri khushiyon per muskuranay ko jee chahta hay,
Ho tujhay dard to aansu bahanay ko jee chahta hay,
Teri muskurahat he itni piyari hay kay,
Tujhay bar bar hansanay ko jee chahta hay..

Raheel 05-03-2010 06:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khareed saktay to usay apni zindagi baich ker bhi khareed laitay,
Per kuch log qeemat say nahi qismat say mila kertay hain..


---------- Post added at 06:04 PM ---------- Previous post was at 06:01 PM ----------

Suna hoga kisi say kay dard ki ik had bhi hoti hay,
Milo hum say kay hum us had kay aksar par jatay hain..

momna gull 08-03-2010 05:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khulta kisi pe Q mere dil ka muamla


Shairon ke intikhaab ne ruswa kia muje.

Raheel 08-03-2010 05:58 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yahan gareeb ko marnay ki jaldi is liye bhi hay FARAZ,
Kahin zindagi ki kashmakash main KAFAN mehenga na ho jaye..

Awais Ali 08-03-2010 05:59 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Nahin koi bhi qeemat mere in ash'aar-e-taaza ki
yeh mere khwaab hein,khaboon ki qeemat kon rakhta he..!!

momna gull 08-03-2010 06:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wafa k nam se jab wo aashna ho ga,
Mera wajud yahan se guzer chuka ho ga,


Chala gaya jo mujh ko chor kar tan-e-tanha,
Koi Rafiq usay or mil gaya ho ga,

Raheel 08-03-2010 06:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yeh bhi ek dua hay meri Khuda say,
Kisi ka dil na dukhay meri waja say,

Ay Khuda! ker day kuch aisi inayat mujh pay,
K kushiyan milain sab ko meri waja say,


---------- Post added at 06:01 PM ---------- Previous post was at 06:00 PM ----------

Kion main keroon dua usay meri umar lag jaye FARAZ,
Ho sakta hay kal akhri din ho meri zindagi ka,


---------- Post added at 06:02 PM ---------- Previous post was at 06:01 PM ----------

Woh mehfil main apni wafa ka tazkira ker rahay thay FARAZ,
Nazrain jo hum pay parin to mozoo hi badal gaya..


---------- Post added at 06:03 PM ---------- Previous post was at 06:02 PM ----------

Kabhi itni shidat say bhi teri yaad ati hay,
Main bus palkain milata hoon to ankhain bheeg jati hain..


---------- Post added at 06:04 PM ---------- Previous post was at 06:03 PM ----------

Tum per beetay gi to tum bhi jano gay FARAZ,
Koi nazar andaz keray to kitna dard hota hay..

Awais Ali 08-03-2010 06:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
daaman tera bharoon ga me khushyon se zindagi,
fursat agar mili mujhe fikr-e-muaash se....!!

Raheel 08-03-2010 06:07 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zindagi ki har fizaon main yad rakhna,
Dil ki sadaon main yaad rakhna,

Yahi tohfa buhut hay apka meray liye,
Khuloos e dil say duaon main yad rakhna..


---------- Post added at 06:07 PM ---------- Previous post was at 06:05 PM ----------

Asman kay taray aksar poochtay hain hum say,
Kiya tumhain aj bhi intizaar hay us kay anay ka,

Or yeh dil bus muskura kay kehta hay,
Mujhay to ab tak yaqeen nahi us kay janay ka..

Awais Ali 08-03-2010 06:07 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
tum nahi, gham nhi, sharaab nahin...
esi tanhai ka jawaab nahin....
woh karam unglion pe ginte hein ,
zulm ka jin k kuch hisaab nahin..!!

Raheel 08-03-2010 06:09 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Apnay ghamon ki youn numaish na ker,
Apnay naseeb ki youn aazmaish na ker,

Jo tera hay teray dar pay khud ayega,
Roz usay panay ki khuwahish na ker..

Awais Ali 08-03-2010 06:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Me tanhai ka haasil ho gya hun ,
Bhari dunya me shamil ho gya hun ..

Raheel 08-03-2010 06:32 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum say khailti rahi duniya taash kay paton ki tarah Mohsin,
Jis nay jeeta woh bhi phainkta raha, jo hara us nay bhi phaink diya..


---------- Post added at 06:30 PM ---------- Previous post was at 06:28 PM ----------

Dibo day apni kashti ko kinara dhoondhnay walay,
Yeh dariya e Mohabbat hay yahan sahil nahi hota..


---------- Post added at 06:31 PM ---------- Previous post was at 06:30 PM ----------

Hum itnay khoobsurat to nahi hain FARAZ,
Magar jisay ankh bhar kay dekhain usay uljhan main dal dain..


---------- Post added at 06:32 PM ---------- Previous post was at 06:31 PM ----------

Hum is tarah un ka ehsas rakhtay hain,
Hazaron yadon ko apnay pass rakhtay hain,

Khuda naseeb keray har khushi un ko,
Jo log humain duaon main yad rakhtay hain..

momna gull 08-03-2010 06:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Urny lagy wajod k rezay hawa k sath,

Main is qadr khloos sy bikhra kbi na tha,

Sourj k sath doob gaya mera dil b aj,

Itna udas sham ka manzr kbi na tha.!

Awais Ali 09-03-2010 10:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Chale aate tumhare pass laikin,
JUDAI raasta roke khari he...

Raheel 09-03-2010 12:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main dosti ka farz nibhana chahta hoon,
Rishtay ki gehrayee azmana chahta hoon,

Jo barish ki boondon main pehchan lay aansu,
Ek dost aisa banana chahta hoon..


---------- Post added at 12:24 PM ---------- Previous post was at 12:14 PM ----------

Mat baha aansu bay qadron kay liye Mohsin,
Jo qadar kertay hain woh ronay nahi detay,


---------- Post added at 12:28 PM ---------- Previous post was at 12:24 PM ----------

Meri zindagi un Khoobsurat mehlon ki tarah hay FARAZ,
Jo door say buhut khushgawar Magar andar say sunsan hotay hain..

Awais Ali 09-03-2010 12:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
yeh aarzu thi tujhe gul k rubaru kerte,
hum aur bulbul-e-betaab guftagu kerte..!!

usman_latif_ch 09-03-2010 12:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kya likhun Kaise likhun, Aarzuman madhosh hai.
alfaaz to bahot hai mager, kalam khamosh hai.

momna gull 10-03-2010 05:45 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main jo bikhroon to meray sath na rukna warna,

Ungliaan dard krain gi mujhay chuntay chuntay...


---------- Post added at 06:45 PM ---------- Previous post was at 06:30 PM ----------

Meri Nzar se na ho Door ek Pal k liye,

Tera Wajood hy Lazim Meri Gazal k liye,,

Tera ye Sath Mujhy itna hi Zroori hy,

K jitna Paani Zroori hy Kanwal k liye.

Awais Ali 10-03-2010 05:57 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tere firaaq k lamhe shumaar kerte hue,
bikhar gye hein tera intizaar kerte hue,
to me bhi khush hon koi us se ja k keh dena,
agar woh khush hein mujhe beqaraar kerte hue..

momna gull 11-03-2010 12:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jab "khizaan" aye gi tu "laut" aye ga wo b

Woh "baharoon" mein zara kam hi "mila" karta hai....,

momna gull 12-03-2010 12:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Usay yaqeen k main jaan dy na paon gi

Mujy ye khouf k roye ga aazma k mujy....


---------- Post added at 01:23 PM ---------- Previous post was at 01:20 PM ----------

ye ishq bhii hai ajab imtihaan-e-ahad-e-vafaa
vo aazamaaye mujhe aur main aazamaa_uun use

Awais Ali 12-03-2010 12:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
yeh soch ker k na ho taak me khushi koi,
ghamoon ki ot me khud ko chhupaa liya me ne..

momna gull 12-03-2010 12:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ye kis ki tum ko nazar Lag gayi Hai


Baharon ky Mosam mein murjha gye Ho



---------- Post added at 01:46 PM ---------- Previous post was at 01:40 PM ----------

"~"Khizaon Main Hota Hai Imtehan Wafaon Ka Mohsin.....

"~"Jo Hon Shajar Ko Pyare Wo Pattay Nhi Girtay"~"

Muzammil 12-03-2010 02:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Humny To Khud Say Inteqqam Lia Hai...
Tumny Kia Soch Ker Mohabbat Ki......?

momna gull 12-03-2010 04:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ya to tabeer bta do mere in khwabon ki,
Ya in ankhon ko koi khwab dikhaya na karo....



---------- Post added at 05:40 PM ---------- Previous post was at 05:35 PM ----------

Umeed kitni mjhy zaat-e-kibriya se hy
Charagh haath mn hy aur guftgu hwa se hy

.BZU. 12-03-2010 09:16 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 


Suna hay woh dukh main hota hay tu mujhay yaad karta hay
abh main uss kay liye khushi ki dua karon ya ghami ki?

-------------
Aik hei dar ho tu sajdo main maza ata hay
Bhatkay rehtay hain wo loog jin kay laakh khuda hotay hain
------------


momna gull 15-03-2010 03:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
= Kaise Mumkin Tha Kisi Aur Waseelay Sy Elaaj

= Ishq Ka R0g Tha Zeher K Peenay Sy Gya".

Awais Ali 15-03-2010 03:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Muskuraata hun, meri aadat he,
Warna zakhmon ka silsila hun main ..

Raheel 15-03-2010 03:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sanso kay silsilay ko na do zindagi ka nam,
Jeenay kay bawajood bhi mar jatay hain kuch log..

Awais Ali 15-03-2010 03:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Un k dehekte hue Rukhsaar pe Aansu..... Toba!!
Hum ne sholoon pe machalti hui Shabnam dekhi....

Raheel 15-03-2010 03:58 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Na ker bayan un say hal e dil apna SAGAR,
Maghroor sa shakhs hay kahin sath na chor day..


---------- Post added at 03:56 PM ---------- Previous post was at 03:46 PM ----------

Buhut asar rakhta hay har lafz us ki zuban ka,
Ay kaash kay woh mujh say milnay ki dua mangay..


---------- Post added at 03:58 PM ---------- Previous post was at 03:56 PM ----------

Us ki duniya main hum jesay hazaron hain dost,
Hum he pagal thay jo us ko pa ker maghroor ho gaye..

momna gull 15-03-2010 03:58 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hawaa jab zard patto'n ko juda shakho'n se karti hy,


To hame'n tum se bichar jana bohat hi yaad aata hy....

Raheel 15-03-2010 04:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main is liye bhi apni khuwahishat ko tark ker daita hoon FARAZ,
Mujhay aksar woh nahi milta jo meri khuwahish ban jaye..


---------- Post added at 04:01 PM ---------- Previous post was at 04:00 PM ----------

Har aib sahi mujh main magar aaj bhi mujh ko,
Apno ko bhula denay ka andaz nahi aya..

momna gull 15-03-2010 04:03 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
aa ke ab tasleem kar lain tu nahi to main sahi
kaun maanega ke hum main bewafa koi nahi

Awais Ali 15-03-2010 04:05 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Chalo itna to nikla kaam baham aashnai se,
wafa se ho gye tum aashna, hum bewafai se..

momna gull 15-03-2010 04:07 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yad aya tha BICHARNA tera.......

Phirr nahin yad k kia yad aya........

Raheel 15-03-2010 04:08 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ajab tamasha hay Matti say banay logon ka FARAZ,
Bewafai kero to rotay hain, wafa kero to rulatay hain..


---------- Post added at 04:08 PM ---------- Previous post was at 04:07 PM ----------

Kal rat woh meray galay lag kay khoob roya FARAZ,
Jesay meri tarah barbad koi usay bhi ker gaya ho..

momna gull 15-03-2010 04:09 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
terii hii yaad, teraa tasavvur, teraa khayaal
ai dost ! shukr ye ke merii raat kaT gayee



All times are GMT +5. The time now is 12:20 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.