BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

.BZU. 19-01-2009 09:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by emsplanet (Post 4277)
देखा है जिंदगी को कुछ इतना करीब से
चहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब से.

इस रेंगती हयात का कब तक उठाएं बार
बीमार अब उलझने लगे हैं तबीब से.

हर गाम पर है मजमा-इ-उश्शाक मुन्तजिर
मकतल की राह मिलाती है कू-इ-हबीब से

इस तरह जिंदगी ने दिया है हमारा साथ
जैसे कोई निबाह रहा हो रकीब से.

Hindi Ki Dictnory Kise Chahiye..? :banana::baeh:

Hmmmm.. ye dictionary hay ya ? Koi shair maara hay aap nay?

I have translated this via google translator :)
It is : :tiptoe:
Quote:

Some have seen so close to life
All face is beginning to look strange.

How long will this take time to Rengti Hyatt
Tbib are now sick with complications.

Gum on every Mjma - E - Usshak Muntjir
Ku is the path to introduce Mktl - E - from Habib

Life is like this with us
I'm like a raqeeb to adjust.

Here is mine ...

Na karo bhool kar kisi say koi salook aisa
Jo koi tum say karta tuhmain Nagawar Hota

Qurrat-ul-ain 21-01-2009 12:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kis Des say aai hai Saba ab kay Baras tu...

Phoolon ko bhi Sissakta howa mehsoos kiya hai

Muzammil 22-01-2009 03:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by -`BZU`- (Post 4285)
Hmmmm.. ye dictionary hay ya ? Koi shair maara hay aap nay?

I have translated this via google translator :)
It is : :tiptoe:

Wah Ji Wah Kya Translation Hai...:banghead: Waise meine Shair hi mara tha per aapne uski kya halat kerdi ki uski Ki uska poet agar qabr me bhi hoga to wahan se bhi mujhse larne aajayega ki kahan tumne ise post kerdiya..

Chalo me hi ise English Text me likh deta hoon.. :abat:

Dekha Hai Zindagi Ko Kuch Itna Kareeb Se
Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ajeeb Se

Is Re.ngti Hayaat Ka Kab Tak Uthaayien 'Bar' [Bojh]
Bimaar Ab Ulajhne Lage Hain Tabeeb Se

Hur Gaam Per Hai Majma-e-Ishshaak Muntazir
Maqtal Ki Rah Milati Hai Qu-ae-Habeeb Se

Istarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Saath
Jaise Koi Nibaah raha Ho Rakeeb Se
:brutal55vp0:

Madiha Fatima 23-01-2009 05:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
meri dewaangi pa heraan hota ho!
mera nuqsaan tou dekho,muhabat gumshuda meri...

Madiha Fatima 23-01-2009 05:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kisi roz barish ma ghar sa niklna
khizan ma giray tootay patton pa chalna
tapaknay lagay ga jab darakhton sa paani
tmhen yaad ay g beeti kahani
k jab ham kisi shaam tum sa milay tha
muhabat k raaston pa ham tum chala tha
wo barsoan k qissay, wo baaten purani
tmhen yaad ay g beeti kahani...

sikander hussain 24-01-2009 12:49 AM

salam
 
jise apni wafa pe bara naz tha kabi
aj wo shaks wafaoon ka bihkari hai
mangne se b nai milti wafa jis ko...
asi hi qismat han! kuch hamri hai..
kash wafaoon men b wafa hoti baki
yaan wafa hi wafaoon ki shikari hai
wafa ki katir hi mana lo us ko........
tanhai ki qeed bohat bhari hai........
hum ne wafa ki bateen ke den
ab ki wafa bari tumhari hai
mere rone se kuch mile ga ab b.....?
modat se ankhen wafaoon se ari hen
dohdta hon sikander usi wafako men b
jis ki wafa sub wafaoon pe bahri hai..
q chonke ho lafz e wafa pe tum b.....?
asi hi khani kia tumhari hai
manalo wafa ko ager asa hai
zindigi abi bohat sari hai

sikander hussain 24-01-2009 09:34 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ankhon se ulfat ki sazaen nai jaten
labon se chahat ki doaen nai jaten
dil tha k machalta hi raha sham o sher men
q dil se mohabat ki ghataen nai jaten
ashk hen k chalak hi rahe fursat k pher men
rooh se hasrat ki tamnaen nai jaten
ik shaks k basta hi raha meri nazer men...
jis shaks se nafrat ki adaen nai jaten
sikander hai k rota hi raha us k shHer men
jis shHer se zilat ki fazaen nai jaten

sikander hussain 24-01-2009 09:48 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kushk patoon ki ahatoon se zindigi ko tamam kerNa......
mohabaton ki mehek me kho k tum b apna makam kerNa
tanhai ki sulagti dhoop se kon hai jo guzer raha hai
chahatoon ki subhoon me tum zindigi ko sham kerNa
ik sahara sat hai bs haseen khaboon me ji raha hon
ulfatoon ke mukadaroon me arfa apna nam kerNa
sikanderon kalandaron ne yuhi apni umer guzari
khamosh hotoon machalte dil se fakat zara kalm kerNa

sikander hussain 24-01-2009 09:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
wo mujhe khta raha jan se guzar jaon men.....
man ne us ko azmaya bs yahi dhook hai mujhe

sikander hussain 24-01-2009 10:24 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
udas cheron ujri ankhon se men ne kal ye sawal pocha
tumhen kis ne ye dukh dia hai....
tumhen b shaid wahi mila hai
jis ko men ne bohat chaha
jis ko men ne dil dia hai
q akhir saba ne khud hi
gul ko baharoon me masal dia hai?
candani ratoon men chalne walo....!
hat apna kai choor do ge.....?
andehri ratoon men kab kisi ne kab ksi ka sat dia hai
jurum e wafa ger kai hai
saza to tum ko zaroor mile gi
ye wakat ka hi fesla jo kud hi us ne suna dia hai
ik sikander ur aj udas cheroon me kho gaya hai
yahi jaga hai jahan us ko be-tahasha sakoon mila hai

.BZU. 25-01-2009 04:47 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Shyar nay Arz kiya hay...
Bhool Jana Bhi Usay Yaad Bhi Kartay Rehna.
Kaisa Lagta hay issi Dhun main Bikhartay Rehna...

sikander hussain 26-01-2009 09:42 AM

fakat ik sans ko tersta raha sada
merne k bad jab b pukara us ne...

(sikander)

ye ur bat hai tujhe fursat nai mili....
humen tere piyar me chahat nai mili
dil ki bat hum ne khni b thi zaroor
such hai ! zindigi ko muhlat nai mili

zahidsyed707 27-01-2009 03:19 AM

Side table pe chai ka cuP..
Hath mein ISHQ pe likhi gai ek dastaan ki kitaB..
Aur dil ye bhi chahay ke chhat pe ja Ke..
Raat ki tanhaI..
Chand ki udasI..
Aur lamhon ki be-basi kO..

Apne andar utaar Ke..
Khud ko ISHQ-E-LAHASIL mein qaid kar liya jaeY..
Aur Aisay mein kisi ki yad na aaeY.....?
Na-mumkiN..!!!!



Hai woh garoh apna jo rah par nah aaya
jeene ko ji rahe hain, jeena magar nah aaya.

Tum dekhte ho mera kya haal ho gaya hai
par mere dekhne ko woh bekhabar nah aaya.

Waise main hosh main hoon par mujh ko ghamgusaro
tum hosh main nah laao jab chara gar nah aaya.

Ik shaam aur guzri, ik raat aur aai
woh saim tan nah aaya, woh saim bar nah aaya.

ye hosh hai k uss ki masti pe guftago thi
bad us ke hosh hum ko phir raat bhar nah aaya.

Ab hum kis ko, apni rodad kya sunaain
ik umar dil main reh kar ik din woh ghar nah aaya.

Woh rang hai tu aakhar hum ko nazar bhi aaye
woh rang tha, so ho ga, hum ko nazar nah aaya.

Doori ka ab gila kya, doori ki umar saari
pal thi, jise hisaab-e-shaam-o-seher nah aaya. :smile:


is adaa se bhi hoon main aashena
tujhey itna jis pe guroor hai
main jiyoon ga tere bagair bhi
mujhey zindagi ka shauor hai
jo samjh liya tujhey bewafa
tu phir is main teri bhi kiya khata
yeh khalal hai mere demaagka
yeh meri nazar ka kasoor hai
main nikal ke bhi tere daam se
na geroon ga apney maqam se
main qateel jo ru-e-situm sahi
mujhey tum se ishq zaroor hai .. :crash:


Kis cheez ko kehtay hain wafa bhool chuka hoon
Shaid ke main jeenay ki ada bhool chukka hoon
Din raat kabhi jo meray hontoon pe saja tha
Woh naam wohi harf e dua bhool chukka hoon
Ab aankh main meray kabhi aansu nahin aatay
Muddat se main ashkoon ki ghata bhool chukka hon
Tum hans ke milay ho to tumhain hans ke mila hoon
Kis baat pe tha tum se khafa bhool chukka hoon
Ab mujh ko kisi baat pe hairat nahin hoti
Tum ne jo kabhi ki thi jafa bhool chuka hoon

zahidsyed707 27-01-2009 03:31 AM

raat pheli hai tere surmae aanchal ki tarah
chand nikla hai tujhe dhondne pagal ki tarah

khushk pattun ki tarah loog uray jaatay hain
sheher bhi ab tu lagta hai jungle ki tarah

phir khyaalun mein tere kurb ki khushu jaagi
phir barasnay lagi aankhain meri sawan ki tarah

bewafaon se wafa kr ke guzari hai hayaat
mein barasta raha viraanun mein badal ki tarah

////////////////////////////////////

SannaTe ki jheel

Tujh se bichar kar bhi zinda tha
mar mar ke zehar piya hai
chup rehna aasaaN nahi tha
barsoN dil ka khun kiya hai
apne haal pe khud roya hun
khud hi dil ka chaak siya hai
jo kuch guzri, jaisi guzri
tujh ko kab ilzaam diya hai
kitni jaankahi se maiN ne
tujh ko is dil se mehav kiya hai
SannaaTe ki jheel mein tu ne
phir kyuN paththar pheNk diya hai
////////////////////////////////////

Ȫی ̪ ی Ȫی ̪
Ȫی Ȫ ̪ Ȫی Ȫ ̪
̪ یی ̪ ی*
ǟ Ә ی ی ̪
ی ʪ ی ʪ ʪ ʪ
Ȫی ̪ ی Ȫی ̪
یی ی ی ی ی ̪ ی
ی Ȫی ی ی ̪ ̪
ی یی یی
̪ ی* ̪
یǟ ی یی ی ی ی
یǟ Ȫی ی ی ̪

////////////////////////////////////
Kash Ye Zalim Judai Na Hoti !!

Rabba Too Ne Dil Cheez Banaai Na Hoti !!

Na Hum Un Se Milte Na Muhabbat Hoti !!

Zindagi Jo Apni Thi Aj Paraai Na Hoti !!

////////////////////////////////////
Ajeeb Karb Ka Alam Hai Meri Basti Per !!

Ghata Bhi Chai Hai Barsat Bhi Nahi Hoti !!

Silay Hain Hont Koi Baat Bhi Nahi Hoti !!

Ajeeb Rang Badalta Hai Asar Ka Suraj !!

Kya Sham Khafa Hai Or Raat Bhi Nahi Hoti !!

Mein Tumhari Zat Ka Hissa Bhi Ban Nahi Sakta !!

Juda Tum Se Magar Meri Zaat Bhi Nahi Hoti !!

zahidsyed707 28-01-2009 12:20 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,
badi josh ke sath ! Humne bhi pyar kiya tha zindgi main, badi shor ke sath ! Aab hum pyar karenge badi soch ke sath ! Kyon ki usey kal sham ko dekha kisi aur ke sath !:drunkburp:

Muzammil 28-01-2009 04:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Oye zahid Ke Bachche Pange Kyon Ker raha he :42: .. Lagta hai Aaj Kal Wife Baat nahi Ker Rahi Hai.. :abat:

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Mujhse Hur Baar Nazrein Chura leta Hai Woh 'Faraz'
Meine Kagaz Per Bhi Bana Ke Dekhi Hain Aankhien Uski


------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Us Ne Mujhe Chor Diya To Kiya Hua 'Faraz'
Meine Bhi To Chora Tha Sara Zamana Uske Liye

Madiha Fatima 29-01-2009 11:54 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
mjha wo lakh tarpa'ay magar us shakhs ki khatir
mera dil k andheron ma duayn raqs krti han
usy kehna k lout ay sulagti shaam sa pehla
kisi ki khushk ankhon ma sadayn raqs krti han
khuda janay kesi kashish ha,uski yadon ma
ma uska zikar cheron to hawayn raqs krti han...

Madiha Fatima 29-01-2009 12:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
shidat-e-dard sa sharminda nahi meri wafa FARAZ
dost gehray han tou phir zakham bhi tou gehray hon ga

Madiha Fatima 29-01-2009 12:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
najanay dhundta ho kea meri in viraan ankhon ma
chupa rakha han hamna kai toufaan anhkon ma
kahan wo shokhean pehla c,ab kch bhi nahi baqi
chalay ay ho tum kea khojna bejaan ankhon ma
kisi ka hath lay kar hath ma jb tum mila ham sa
tou kesa toot kr bikhra tha mera maan ankhon ma
na smjho chup hain to tmsa koi shikwa nahi baqi
ham apna dard ki nahi rakhta pehchaan ankhon ma
mila tum baad mudat k hamen ajnabi jan kar
tou kesa dard na uthta meri heraan ankhon am.

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bay - Nam Zindagi ki haqeeqat na poochiye MEHR

Kuch pur - Khallooos Log thay berbad ker gae......

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main aisay Morh par apni Kahani chor aaya hon

Kissi ki Aankh main Paani hi panni chor aaya hon

Bus itna soch ker hi mujh ko apnay pas Tum rakh lo

Tumharay vastay main Hukmurani chor aaya hon.....

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ghar phoonkanay main sirf Hawaein nahi shareek

Shamil kuch iss main Ghar kay Diyye ka hunar bhi hai

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:32 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Manzil ko mere Shoq ka ehsaas jab howa

Har Zaara meri Rah main Deewar ban gaya


Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zard Mausam kay ujlay Lamhon main

Hum roo paray younahi hanstay hanstay

Ya RAB !! ab koi tabeer baksh day

Kay Thaq gaein Aankhen ab Khwab buntay buntay!!

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Meri sada Hawa main boht Door tak gayi

Per main bulla raha tha jissay bay - khabar raha

Uss aakhri Nazar main ajab Dard tha MEHR!!!

Janay ka uss kay Ranj mjhe umer bher raha

Madiha Fatima 30-01-2009 05:49 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
us say milna ko kabhi ham jo machal jata han
to khayalon ma boht door nikal jata han
gar wafaon ma sadaqat bhi ho shidat bhi
phir tou ehsas sa pathar bhi pighal jata han
uski ankhon k nashay mein hoon jab sa dooba
lar-kharatay han qadam or sambhal jata han
bewafai ka mjha jab bhi khayal ata ha
ashk ankhon sa phisal jata han
piyar ma aik hi mosam ha baharon ka faraz
log mosam ki tarha kesa basal jata han

Madiha Fatima 30-01-2009 05:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
shaiyd k wo likh hi dey usey teray haq ma faraz
tu katib-e-taqdeer se zara israr to kr...!

Qurrat-ul-ain 31-01-2009 05:39 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Rooh ki Zaminon per ek ajeeb Aalam hai

Apnay aanay ki khabar kiya kertay

Jab Sitaray hi nahi mil pae

Lay k Hum Shams-o-Qamar kiya kertay...

Muzammil 31-01-2009 10:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon

Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon
:crash:

.BZU. 01-02-2009 07:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 3485

Muzammil 01-02-2009 10:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dosti yeqeen par tiki hoti hai,
Ye deewar badi muskil se khadi hoti hai.

Kabhi fursat ho to parhna kitab dosti ki,
Ki dosti khoon ke risto se bhi badi hoti hai.

.BZU. 02-02-2009 06:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jo ruky to koh-e-garan thay hum, jo chaly to jaan say guzar gaye
rah-e-yaar ham ny qadam qadam tujhay yaadgaar bana dia :439:

Qurrat-ul-ain 06-02-2009 04:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Samait ker apni Dehleez ka pathar ker day

Ya Khak bna ker Darbadar ker day

Uss say door hain tu baray Karb main hain

Ussay kaho meri Aazmaish ko muqhtasir ker day

Qurrat-ul-ain 06-02-2009 04:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Suljha howa sa fard samajhtay hain mujh ko Log

Uljha howa sa mujh main koi dosra bhi hai....

Qurrat-ul-ain 06-02-2009 05:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wo kaisy Log thay Ya Rab! jinhon nay paa liya tujh ko

Hamein tu ho gaya Dushwar ek Insaan ka milna.........

.BZU. 07-02-2009 03:11 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Agar woh milta tu kaisa hota...
Inhe khayalon main so gaya main

.BZU. 08-02-2009 08:55 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Is se ziyada zabt ki mai or kya misal do
wo muj se lipat k roey kisi or k lie

Muzammil 08-02-2009 10:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Waah Ji Waah Kya Baat Hai One Of The Best Line I Ever Read

ab ke yooN dil ko sazaa di hum ne
uski har baat bhulaa di hum ne

ek ek phool bahot yaad aayaa
shaakhN-e-gul jab woh jalaa di hum ne

aaj tak jis pe woh sharmaate hai
baat woh kab kii bhulaa di hum ne

shahar-e-jahaaN raakh se adaab huwaa
aag jab dil kee buzaa di hum ne

aaj phir yaad bahot aayaa woh
aaj phir usko duaa di hum ne

koii to baat hai usmeN "Faiz"
har khushee jis pe luTaa di hum ne

usman_latif_ch 09-02-2009 07:52 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kch yaden hain un lmhon ki,
Jin lmhon may hum sath rahe,
Khushiyon se bhare jazbat rahe,
Ek umar guzari hay humny,
Jhan roty huy bhi hansty thy,
Kch kehty thy, kch sunty thy,
Hm rOz subha jb milty thy,
To sb k chehry khilty thy,
Pur-lutf wo manzer hota tha,
Hm mil kar batain krty thy,
Hm socho kitna hansty thy!!
Woh goonjh hmare hansne ki,

Ab aik purani yaad bani,
Yeh batain hain un lmhon ki
Jin lmhon may hum sath rahy

irfishahpk 09-02-2009 10:23 AM

Verse
 
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena


All times are GMT +5. The time now is 06:29 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.