BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

momna gull 24-02-2010 03:39 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujh se NAFRAT ki ajab raah nikali us nay,
Hasta basta dil kar diya khali us nay,

Meray ghar ki riwayat se woh khoob waqif tha,
JUDAI mang li ban k SAWALI us nay!......

Awais Ali 24-02-2010 03:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh mujhse kaheen barh k museebat me tha Mohsin,
Reh reh k magar us ka dalaasa mujhe dena....

momna gull 24-02-2010 03:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
nooha garon main deeda-e ter bhi usi ka tha
muj per ye zulm bhi bar-e-dagar usi ka tha
dekha muje to tark-e-taluq ke bawajood
wo muskura diya ye hunar bhi usi ka tha ...

Awais Ali 24-02-2010 03:58 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
hans diye chaman me gul, kis liye khuda jaane,
kia kaha bahaar ne, baat yeh saba jaane,
hum ne un se pucha tha, kia huwa hamara dil??
hans k chup rahe pehle, phir kaha "khuda Jaane..."

momna gull 24-02-2010 04:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Patta patta boota boota Haal hamara janay hai
Janay Na janay Gul hi na Janay BAgh to Sara Janay hai

Awais Ali 24-02-2010 05:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh tujhe bhuule hein to tujhpe bhi laazim hei Aye Meer!
Khaak daal, Aaag laga, Naam na le, Yaad na ker...!!!

momna gull 24-02-2010 05:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yeh sard shaamain bhi kis qadar zalim hain…

Bazahar sard hoti hain, par inn mein dil sulagta Hai .


Awais Ali 24-02-2010 05:18 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Haan half-e-wafa shoq se uth'waiye laikin,
hum loag wafa daar hen be qol-o-qasam bhi..

momna gull 24-02-2010 05:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Pucha Kisi Ne Haal Bari Muddaton K Bad,

Aaya Mera Khyal Bari Mudaton K Bad,

Karta To Hai Wo Yaad Mujhy Chaht Se Magr,

Hota Hai Ye Kamal Bari Muddaton K Bad


Awais Ali 24-02-2010 05:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh shaks shehr k logoon me dhalta jaata he,
k us ki baat ka lehja badalta jaata he,
usse bhi dukh he ta'aluq k toot jaane ka..
woh ja rha he magar haath malta jaata he.!!

momna gull 24-02-2010 05:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

'Aaj kal zindgi kuch asi udas rehti hy,

jesy smandr k dil main pyas rehti hy

jane Q wohi log ho jaty hain door humse

hr pal jin se milne ki aas rehti hy.¿'

Awais Ali 24-02-2010 06:02 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mere dil ko na chero, k ik azaab hoon mein
bikhar gya to na simtoon ga,aik khwaab hoon mein
Mujhe to baat tak kerne ka dhab nahin aata..
tumhein yeh kis ne kaha hai k lajawaab hoon mein..!!

(khud kahi...)

momna gull 24-02-2010 06:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Nigah Azal sy pyasi ha or kuch b nahi,
Sari Dunia hi khafa c hy or kuch b nahi,


Gham-e-jana hy Na gham-e-dunia"
Aik bay naam udasi hy or kuch b nahi

Awais Ali 26-02-2010 03:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ab teri yaad se wehshat nhi hoti mujhko
dil dharakta he, azziyyat nhi hoti mujhko...

usman_latif_ch 26-02-2010 07:18 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dukhon ne mere daaman ko yoon thaam rakha hai

"mohsin"

K jesy un ka bhi mere siwa aur koi nahi...

usman_latif_ch 27-02-2010 08:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
'Teri talab ki hadd ne aisa janoon bakhsha!
.
.
.Hum khud ko bhool bethe tujhe yaad karte karte..


---------- Post added at 08:11 PM ---------- Previous post was at 08:04 PM ----------

Us ki "NIGAH" main itna assar tha......, "
FARAZ"
Kharid li us ne ik nazar main zindagi Meri...

Raheel 01-03-2010 06:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujhay apnay kirdaar pay itna to yaqeen hay Ay Dost!,
Koi mujhay chor to sakta hay magar bhula nahi sakta..


---------- Post added at 06:27 PM ---------- Previous post was at 05:59 PM ----------

Dil to kerta hay zindagi ko kisi qatil kay hawalay ker doon FARAZ,
Yeh roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta..


---------- Post added at 06:42 PM ---------- Previous post was at 06:27 PM ----------

Zara si ranjish say na choro Wafa ka daman Dost!,
Umrain beet jati hain dil ka rishta bananay main..

Raheel 02-03-2010 03:58 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koun kehta hay meray bigair woh tanha hoga,
Woh to ik chiragh hay kahin aur jalta hoga,

Woh to rehta hay mohabbaton kay dais main,
Usay kiya khabar usay koi yad bhi kerta hoga..


---------- Post added at 03:58 PM ---------- Previous post was at 03:48 PM ----------

Gham na ho wahan jahan ho Fasana tera,
Khushiyan dhoondhti rahain Aashiyana tera,

Woh waqt he na aye jab tum udas ho,
Humaisha qaim rahay muskurana tera...

usman_latif_ch 02-03-2010 08:30 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
"Zindagi"
Tu Hi Bata Kese Tuje Pyaar
...Kron...


Teri Hr Saans
Mri Umr
*Ghata Deti He

momna gull 03-03-2010 11:55 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Her aik shub meri taaza azaab main guzri
tumharay baad tumharay hi khwab main guzri
main aik phool hun wo mujh ko rakh k bhool gya
Tamaam umer usi ki kitaab main guzri

Awais Ali 03-03-2010 12:07 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
sawaal-e-wasl per un ko uduv ka khauf he itna,
dabe hoontoon se dete hein jawaab aahista aahista..

momna gull 03-03-2010 12:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
iss qadarr piyar sei na boola ker...
Dushmani ka gumann hota hei."

Awais Ali 03-03-2010 03:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum jano tum ko gher se jo rasm-o-raah ho,
Mujhko bhi puchte raho to kia gunaah he..!!

momna gull 03-03-2010 03:56 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Udäsìyön sè Wäbästä Häi Yèh Zìndågi MèrìWASI


Khudä Gäwääh Häi K Phìr Bhì Tujhè Yääd kärtè Häìn

Raheel 03-03-2010 04:34 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main us kay badal janay ka yaqeen kaisay ker loon "WASI",
Suna hay phool murjha to jatay hain magar rang nahi badaltay..


---------- Post added at 04:27 PM ---------- Previous post was at 04:26 PM ----------

Meri zaat main kahin na kahin woh apna wajood chor gaya hay "WASI"
Youn hanstay hanstay ro daina meri adat pehlay kabhi na thi...


---------- Post added at 04:29 PM ---------- Previous post was at 04:27 PM ----------

Wohi mehsoos kertay hain halat dard e Mohabbat ki,
Jo apnay ap say bharh ker kisi say piyar kertay hain..


---------- Post added at 04:29 PM ---------- Previous post was at 04:29 PM ----------

Teray sajday kahin tujhay KAFIR na ker dain "INSAN",
Tu jhukta kahin aur hay aur sochta kahin aur hay..


---------- Post added at 04:34 PM ---------- Previous post was at 04:29 PM ----------

Teray siwa kisi kay talabgaar hum nahi,
Phir bhi teri nazar main wafadaar hum nahi,
Akhir tu kis khata pe hay hum say Khafa,
Dil ka qasoor hay yeh Gunah Gar hum nahi..

momna gull 03-03-2010 04:38 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta


Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta



Awais Ali 03-03-2010 04:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
meri tarah se maah-o-mehr bhi hain aawaara
kisi habib ki yeh bhi hain justaju kerte..

momna gull 03-03-2010 05:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ye Mera Huslaa Hai Tere Bageer
Sans Laita Hoon'''Bat Karta Hon


---------- Post added at 06:01 PM ---------- Previous post was at 05:56 PM ----------

Kamal ka shaks tha jisne merey zindgi tabha kr di !WASI..........!
Raaz ki baat to ye ha k dil os se khafa ab b nahi


Awais Ali 03-03-2010 05:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
mera tujhse atoot rishta he,
me tamaasha hun, tu tamashai..!!

momna gull 03-03-2010 05:09 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Nahi wo shakhs muqaddar main phir bhi us se miltay hain
Bada purlutf lagta hai Muqaddar Ko saza dena

Awais Ali 03-03-2010 05:15 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mere aflaas ne khaai nhi daulat se shikast,
aur is mulk k fankaar se kya chaahte ho..?

momna gull 03-03-2010 05:21 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
guzry dinon ki bhuli hui bat ki tarha
ankhon main jagta hai koi rat ki tarha
os se umeed thi k nabhaye ga sath
magar wo b badal gya mery halaat ki tarha

Awais Ali 04-03-2010 11:27 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Angrai bhi woh lene na paaye uthaa k haath,
dekha mujhe to chhor diye muskura k haath,
dena woh us ka saaghar-o-mae yaad he nizaam,
mun pher ker udhar ko, idhar ko barha k haath!!

momna gull 04-03-2010 02:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Buhat Ajeeb Hain Ye Bandashein Muhabbat Ki,
Na Us Ne Qaid Mein Rakha Na Hum Farar Howe..!



---------- Post added at 03:01 PM ---------- Previous post was at 02:59 PM ----------

tum ko naraz hi rehna hai to koi baat karo
k chup rehney se muhabbat ka guman hota hai

Awais Ali 04-03-2010 03:05 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aap bahram hi sahi, baat to ker lein humse,
Kuch na kehne se Muhabbat ka gumaan hota he..!!

momna gull 04-03-2010 03:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
us ki hansi main chhupy dard ko mehsoos to kar…
Woh to yunhi hans hans ky khud ko saza daita hai

Awais Ali 04-03-2010 03:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jo baat keh nahi sakta usse me farz kerta hoon,
chalo me farz kerta hun, "mujhe tumse muhabbat he.."

momna gull 04-03-2010 03:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aaj halki halki baarish hay,
aaj sard hawa ka raqs bhi hay,
Aaj phool bhi nikhray nikhray hain,
aaj un main tumhara aks bhi hay,

Awais Ali 04-03-2010 04:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Baarish sharaab-e-arsh he, maane na jab huzur..,
Baarish k sab huruuf ko ulta k pi gya..!!

momna gull 04-03-2010 04:16 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kabhi fursat jo naseeb ho,
Chalay aana mere paas tum.
Hain adhuray kitne maamlay,
Meri zaat se, Teri zaat Tak


---------- Post added at 05:16 PM ---------- Previous post was at 05:06 PM ----------

apnay halaat ka bhi ehsas nahi mujh ko ,
main ne auron se suna hai, k preshaan hoon main


All times are GMT +5. The time now is 11:30 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.