BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

momna gull 01-02-2010 12:56 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ی ̪ ی ی
ǟ ی


momna gull 01-02-2010 09:19 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
raat yuuN dil meN terii khoyii hu’ii yaad aayii
jaise viiraane meN chupke se bahaar aa jaaye

jaise sehraaoN meN hauley se chale baad-e-nasiim
jaise biimaar ko be-vajh qaraar aa jaaye

irfishahpk 02-02-2010 01:36 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum umar bhar to saath na nibha sakay mera
Haan yaad ban kay kabhi tum nay mujhay tanha nahi chora

usman_latif_ch 02-02-2010 06:21 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tujh ko maloom bhi hai kitna talab gar hun tera...

Sagar

Pooch un farishton se jo roz likhte hain dua meri.

Raheel 03-02-2010 10:50 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum to mojood thay raton main ujaalon ki tarah,
Log niklay hi nahi dhoondnay walon ki tarah,
Dil to kiya hum Rooh main utar jatay,
Kisi nay chaha hi nahi chahnay walon ki tarah..

irfishahpk 04-02-2010 03:55 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main paristar hoon tera koi naam to rakh day
Mazmoon hoon purana koi unwaan to rakh day

Mujh say judai ki jo Khai hay kasam tum nay
Mujh pay jafa ka emaan koi ilzaam to rakh day

momna gull 04-02-2010 05:44 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hasin Raat Ke Taron Gavah Rehnaa Tum
Khudai Soi Hai Aansoo Baha Rahaa Hai Koi

Mere Khuda Mujhe Thori Si Zindagi De De
Mere Mazar Se Mayus Ja Rahaa Hai Koi

momna gull 06-02-2010 02:52 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us say juda hogaya par youn laga mujhay
Jaisey jahaan mein koi apna nahin raha

Woh bewafaa nahin magar itna zaroor hai
Pehlay woh jis tarah ka tha waisa nahin raha


---------- Post added at 03:52 AM ---------- Previous post was at 03:44 AM ----------

Rone Se Gham-e-Dil Ka Guzara Nahi Hota
Har Shakhs Dil Ka Sahara Nahi Hota
Us Roz lagta Hai Bekar Jiye Hum
Jis Roz Kabhi Zikr Tumhara Nahi Hota

Muzammil 06-02-2010 08:25 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kitna Chaha Hai Tumhein, Zara Ghor To Kero

Itne To Hum Apne Bhi Talabgaar Na The....!!!

irfishahpk 07-02-2010 01:11 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Vaada hum nay kiya tha nibhanay kay liyay,
Aik dil diya tha aik dil panay kay liyay


Unhon nay muhabbat sikha di aur kaha,
Hum nay to muhabbat ki thi tumhain azmanay kay liyay

usman_latif_ch 08-02-2010 07:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ye dil na jane kya kar baitha,
Pooche bina hi mujhse faisla kar baitha,
Is zameen par toota sitara tak nahi girta,
Aur ye paagal dil chaand se pyaar kar baitha...

momna gull 09-02-2010 04:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Na khol mery makan k udas darwazy,

Hawa ka shor meri uljhanen brrha dega,


Me khob waqif hon uss ki fitrat se Faraz,

Wo dard dega to itna k bus rula dega..!!




usman_latif_ch 09-02-2010 09:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hm Nñd K Shòqñ Tò Zayådå Nåhì Lkìñ,

Tere Khåwåb Nå Dkhåiñ Tò Gzårå Nåhì Hòtå..!

Raheel 13-02-2010 01:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Chaha hay mainay tujhay ehsas ki us had tak FARAZ,
Toota agar jo main to bikhar tum bhi jao gay..

Maimoona Ali 13-02-2010 02:55 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
na janay kiun haman wo muskara k milta hay
andar k saray gham chupa k milta hay;
shayd wo janta hay ankhan sach bolte han
iss leay ankhan jhuka k milta hay......

Raheel 19-02-2010 06:45 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hus'n kay khiltay phool hamaisha bedardon kay hath bikay,
Or chahat kay matwalon ko dhool mili veerano ki,
Dil kay nazuk jazbon pay raaj hay sonay chandi ka,
Yeh duniya kiya qeemat de gi sadhay dil insano ki..

Awais Ali 19-02-2010 07:59 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Roz rotay hue kehti hai zindagi mujhse,
sirf ik shaks ki khaatir mujhe barbaad na ker.!!

momna gull 20-02-2010 11:32 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Manzil Zara b Door Na Thi Us Nishan Se

Thak k Gira Tha Jahan Parinda Uraan Se

Barish ki Dua is Liye Me Mangta Nahi

K Darya Bohat Qareeb He Mere Makan se..


---------- Post added at 12:32 PM ---------- Previous post was at 12:31 PM ----------

kis qadar haseen, kitni shokh lakin beywafa
main nay poocha kaun,woh ghabra k boley ZINDAGI

Raheel 20-02-2010 01:59 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Shajar tab hi lagana jab zameeno ko parakh lena "Mohsin",
Har ek mitti ki fitrat main wafadaari nahi hoti..


---------- Post added at 01:50 PM ---------- Previous post was at 01:46 PM ----------

Yeh zaroori nahi kay jis ko chaha jaye woh muqadar main ho FARAZ
Zaroori yeh hay kay itna toot kay chaho kay taqdeer hi badal jaye..


---------- Post added at 01:59 PM ---------- Previous post was at 01:50 PM ----------

Ajab tarz say guzri hay zindagi apni FARAZ,
Dilon per raaj kiya phir bhi mohabat ko tarastay rahay..

Raheel 22-02-2010 05:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us ki nadani ki had to dekho FARAZ,
Mujhay kho ker mujh jesa dhoondh raha hay..


---------- Post added at 05:00 PM ---------- Previous post was at 04:59 PM ----------

Woh kehta hay kay pathar dil log rotay nahi FARAZ,
Usay kiya khabar kay chashmay sada patharon say nikaltay hain..

momna gull 22-02-2010 05:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ta'ajub Hai teray Gehray marasim Per Mujhe
Wo Teri Rooh Main Basta Hai Or
Tu Us K wehm o Guman main bhi nahi

Raheel 23-02-2010 10:43 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us main baat hi kuch aisi thi FARAZ,
Agar dil na detay to jaan chali jati..

momna gull 23-02-2010 05:16 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
AhsaaaN agar karo Tou kisi ko khabar na ho
sooraj ka jesey Zikr nahi chandani k saath~!

Awais Ali 23-02-2010 05:18 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Chaahiye dunya se hatt ker soochna,
dekhna Sehra, Samandar sochna...!!

momna gull 23-02-2010 05:34 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
log muntazir he rahay k hamain toot"ta ddekhain...

ham pather k ho gay zabt kertay kertay

Awais Ali 23-02-2010 05:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jaanta hun aik aise shaks ko mein bhi Muneer,
Gham se pathar ho gya laikin kabhi roya nahi..!!

momna gull 23-02-2010 05:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
tu bhi dil ko ik lahu ki bond samajha hai Faraz
ankh gar hoti to qatre main samandar dekhta

Awais Ali 23-02-2010 05:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
koi apni hi nazar se to humein dekhe ga,
aik qatre ko samandar nazar aaye kese..!!

momna gull 23-02-2010 05:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tere Chehry Pe Meri Ankh Safr Krti Ha..

Chand K Pehlu Me Jese Rat Safr Krti Ha..

Me Tuje Or Kia Wafa Ka Sila Dun Jan..

Tere Seney Me Meri Sans Safr Krti Ha..

Awais Ali 23-02-2010 05:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
tu ne kaha na tha k me kashti pe bojh hun,
aankhon ko ab na dhaanp mujhe doobte bhi dekh..!!

momna gull 23-02-2010 06:18 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bikhar Rahay Hen Meri Zindagi k Tamaam Warq
Na-Janay Kab koi Aandhi Ura k Le Jaye
Mein Dosron k Dukh Kab Tak Sambhal k Rakhon
Jis Jis k Hen Wo Nishani Bata k Le Jaye

Awais Ali 23-02-2010 06:19 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
mere bas me agar hota, hata ker chaand taroon ko
mein neela aasman pe bas teri Aankhein bana deta,
shajar hota to likh likh ker tumhara naam patton pe
hawa k saath tere shehr ki jaanib urra deta..!!

momna gull 23-02-2010 06:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
mohabbat main koi sadma uthana chahiay tha

bhulaya tha jisay wo yad ana chahiay tha

meri or us ki arzoo main fark yeh tha

mujhay bas wo, usay sara zamana chahiay tha

Awais Ali 23-02-2010 06:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Me apni rooh ki pooshaak us ko pehna dun,
Magar yeh shart k woh bhi tamaam mera ho...

momna gull 23-02-2010 06:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wohi Mehsoos Karte Hain Tapish Dard-e-Mohabbat Ki Mohsin.


Jo Apne Aap Se Barh Kar Kisi Se Pyar Karte Hain

Awais Ali 24-02-2010 10:07 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum jo kehte ho k kyun hote ho un bin be-chain,
Nasiha..!! tang na ker; keh jo dia hote hein...!!

momna gull 24-02-2010 12:44 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
aakhri baar hai, lo maan lo ik yeh bhi sawaal
aaj tuk tum se mein lota nahin mayoos-e jawaab
aa ke le jao tum apna yeh damukta hua phool
mujh ko lota do meri umr-e ghazishta ki kitaab

Awais Ali 24-02-2010 01:15 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zullaam-e-bahr me kho ker sambhal ja
Palat ja pech kha kha ker badal ja,
nahin saahil teri Qismat me aae-moj,
udhar ker jis tarah chaahe nikal ja..

momna gull 24-02-2010 03:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khaak urti hay raat bhar mujh mein.
Kaun phirta hay dar badar mujh mein.

Mujh ko mujh mein jagah nahi milti.
Tu hay muajood iss qadar mujh mein

Awais Ali 24-02-2010 03:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Gehri neeli aankhon wale jab saahil pe aate hein ,
Lehrein cheekh k kehti hein Lo aaj samandar doob gya..!!


All times are GMT +5. The time now is 12:25 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.