BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

irfishahpk 08-08-2009 10:20 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh to sadion ka safar kar kay yahan pohuncha tha
Tu nay monh phair kay jis shakhs ko daikha bhi nahi
:Roorahahay:
************************************************** ********************

irfishahpk 08-08-2009 11:36 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ԙ ǟ ʪ ј
یی ϐی ʪ

ghazala 09-08-2009 07:11 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum lakh chupao sene mai Ehsas hamari chaht ka
Dil jab bhi tmhara dharke ga awaz yahan tak aye gi.

irfishahpk 09-08-2009 08:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Jo rahtay hain dil main who juda nahi hotay

Kuch ehsaas lafzon say bayan nahi hotay

Ek hasrat hay unhay mananay ki Lakin

Woh itnay achay hain kay kabhi khafa nahi hotay
:th_blinkystar::th_blinkystar::th_blinkystar:

irfishahpk 10-08-2009 12:59 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Kal shaam tumsay milay ki khuahish bhi taiz the

Dil bhi bohat udas tha barish bhi bohat taiz the

irfishahpk 11-08-2009 12:11 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ȫ ğ یی
Ȫی Ȫی ی ی
---------- post edited ----------

Har aik say apna dard na kaha kar

Aadab-e-Mohabbat ka bhi kuch paas rakha kar

Zaroori nahi har shakhs ho dard bantnay wala

Hamraz aur hamdard main kuch fark rakha kar

irfishahpk 11-08-2009 11:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Teri Duniya Mein Khushyoan k Khilain Kanwal
Tere Liye koi Umr Bhr Kehta Rahey Ghazal





.BZU. 11-08-2009 11:54 PM

Re: Faraz ! Funny Verses :) share yours..
 
Shaam hotay hei teri yaad ki paagal khushboo.
Neend aankhon say , sakoon dil say chura leeti hay...

irfishahpk 13-08-2009 08:15 PM

Re: Faraz ! Funny Verses :) share yours..
 
Hoon ajeeb kashmakash main hoi zindagi parai
Maray paas teri yadain taray paas bewafai......





irfishahpk 13-08-2009 10:05 PM

Re: Faraz ! Funny Verses :) share yours..
 
Tujhe Khawab hi mein dekhon,
Yeh bharam bhi aaj thutaa,

Tera khawab kaisay dekhon,
Mujhe neend hi na aayeee....

irfishahpk 14-08-2009 07:14 PM

Re: Faraz ! Funny Verses :) share yours..
 
Dil behal jaye to log chor datay hain
Koi or mil jaye to log chor datay hain

Char din ki chandni ka kia karna
Chandni dhal jaye to log chor datay hain


irfishahpk 14-08-2009 09:01 PM

Re: Faraz ! Funny Verses :) share yours..
 
Mukhtasir lafzon main ab yah hay mazaj e dosti Faraz
Raabta sab say hay lakin wasta koi nahi


irfishahpk 16-08-2009 12:37 AM

Re: Faraz ! Funny Verses :) share yours..
 
Maray halat nay kar diya tha khaamosh mujhay Faraz

Zara ham chup kiya huay, doston nay yaad karna hi chor diya
:((

.BZU. 16-08-2009 01:01 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kabhi to milay pehli mulaqaat ki trah.
Bigra hei rehta hay kiyon halaat ki trah

Aik dost jo lagay jaan say piyara
Waqat to deta hay magar kheraat ki trah.

irfishahpk 16-08-2009 09:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kitna bebas hay insaan kismat kay aagay
Har sapna toot jata hay haqeekat kay aagay

Jisnay kabhi jhukna nahi seekha duniya main
Woh bhi jhuk jata hay muhabbat kay aagay


irfishahpk 17-08-2009 09:59 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Teri ghaflaton ko khabar kahan,
maray haal-e-dil pay nazar kahan


Tu jafa ki yad mein na aa saka,

mein wafa ki yad say guzar gaya.

.BZU. 18-08-2009 12:34 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

irfishahpk 18-08-2009 01:41 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

jissy chaho ehsas e khudai dy do

silsila pyar ka rakho tu ibadat jaisa

hum bhary shehar main tanha tu na thy lakin

phir koi rishta na mila teri chahat jaisa

ghazala 18-08-2009 01:55 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bicharney waley ye kyun nahi sajhtey Sagar
K yaadon say Mohabbat ka guzara nahi hota

irfishahpk 18-08-2009 07:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi

Dete Rehna Saath Zindagi Bhar Aise Hi



Yu To Milenge Zindagi Mein Chahne Wale bahut

Milenge To Bas Hamare Jaise Nahi

irfishahpk 20-08-2009 08:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Teri Muskurahat Meri Pehchan Hai,

Teri Khushi Mera Arman Hai,

Kuch Bhi Nahi Meri Zindagi,

Bus Samjh Le Teri Dosti Hi Meri Jaan Hai.

irfishahpk 20-08-2009 10:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Teri ghaflaton ko khabar kahan, mery haal-e-dil py nazr kahan

Tu jafa ki yad mein na aa saka, mein wafa ki yad sy guzr gya.

irfishahpk 21-08-2009 08:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Wo jo badalta hai to besakhta meri aankhain

Apny Hathon ki lakeeron mein ulaj jati hain.

irfishahpk 21-08-2009 11:27 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Chalo choro jany do in shakista dil ki aahu ko, MOHSIN.
Agar kisi ko ehsas hota to wo bikharny hi kyn deta

irfishahpk 22-08-2009 01:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Rothay howay ko ghar say bulanay nahi gaya.
ji chahta tha phir bhi mananay nahi gaya


Hamdard ban kay mujh ko bulata raha woh shakhs
Lakin main us ko haal sunane nahi gaya

irfishahpk 22-08-2009 09:24 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil k ghar men basne waly , Ajnabi nai hotey

Har waqt yad Any waly Ajnabi nai hote


Khushi dene wale to apne hote hen par !

Ghum deny wale be Ajnabi nai hote

irfishahpk 23-08-2009 05:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Teri Khushiyon pay muskranay ko ji chahta hay

Ho tujhe dard to anso bahnay ko ji chahta hay,



Teri muskurahat hi itni pyari hay kay

Tujhay bar bar hansanay ko ji chahta hai

irfishahpk 23-08-2009 09:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ajeeb Sheesha gar hain teray shehr kay loog Faraz
Murammat kaanch ki karty hain pather kay ouzaaron say

irfishahpk 24-08-2009 12:54 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Tum Is Shehr k Khuloos se waqif nai faraz.

Ye to mohsin ko bi sar-e-aam saza dete hain .

irfishahpk 24-08-2009 09:14 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Jal kar raakh ho gaya magar in ankho se roya na gaya

kuch zakham judai kay asay milay kay phoolon kay bister pay bhi soya na gaya
---------- post edited ----------
Tu kisi aur kay liyay hoga samander-e-ishq Faraz,

Main to taray saahil say har roz pyasa guzar jata hun

ghazala 25-08-2009 08:25 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum bhool bhi jao, ye ikhtayar hai tm ko
Meri to aur baat hai,mai ne to muhabbat ki hai

irfishahpk 25-08-2009 11:22 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Dil ki har baat usko sunana chahon

Us say milnay ka faqat aik bahana chahon



Usay khushboo ki tarha sath bhi rakhon apnay

Or usay zamanay say bhi chupana chahoon

irfishahpk 27-08-2009 08:54 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ی ی
ی ی Ԙ ʪ

ی ی
ی ʪ

.BZU. 03-09-2009 06:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ی
ی ʪ ی ی

usman_latif_ch 05-09-2009 08:10 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
mery haathon ki lakeeron main koe kami hai
MOHSIN,
mein jis ki chuu lun wo mera nhe rehta,

irtaza 05-09-2009 01:03 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
MEre Hatho ke lakeeron me yeh aib chupa hay Mohsin
Me jiss shakhs ko chuu lo wo mera nahi rehta

usman_latif_ch 08-09-2009 07:38 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

usman_latif_ch 11-09-2009 06:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

usman_latif_ch 13-09-2009 10:38 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

.BZU. 15-09-2009 01:34 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aik sheer Arz kia hay:
hay tu sad. But shyad meri life ka part hay :sorry:

Hum gham ko chhupa kar muskuratay ga ay:(
Wo had say ziyada hum ko sata tay rahay

Meri ankhon ki ghata barasti rahi
Sagar wo sawan ka samjh kar lutf uthatay rahy :cry:

But aaj say main nay yeh Honay nahi dena.. Insha Allah.. :no


All times are GMT +5. The time now is 11:46 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.