BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Muzammil 04-06-2009 11:28 AM

Re: Aansuon sham ki palkon pay laraztay rehna
 
Quote:

Originally Posted by ghazala (Post 8619)
Dosti aazmani ho to bus itna he kafi hai.




Zara sa rooth kar dekho, Mananay kon aata hai
.

But hamey to aisa dost mila hai jo rutha hua bhi hai aur manane bhi nahi de raha..:waiting2:

usman_latif_ch 04-06-2009 07:28 PM

Re: Aansuon sham ki palkon pay laraztay rehna
 
Quote:

Originally Posted by emsplanet (Post 8914)
But hamey to aisa dost mila hai jo rutha hua bhi hai aur manane bhi nahi de raha..:waiting2:

kya matlab manany bhi nahi dy raha ...?
mananay nahi dye raha yan maann nahi raha apko kon rok sakta ha manany sy

Qurrat-ul-ain 05-06-2009 12:15 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi Mausam ho Dil mian hai tumhari Yaad ka mausam

K badla hi nahi tumhare baad ka Mausam

Na koi Ghum-e-khizaan hai, Naa khawahish hai Baharon ki

Hamaray sath hai Mehr! kissi ki yaad ka mausam


irfishahpk 05-06-2009 09:21 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Har DUA main teri khushi mangi,
Taray liyay sitaron say roshni mangi

Na ho jis main koi Bhi gham,
Allah say tumharay liyay woh zindagi mangi

Muzammil 05-06-2009 10:08 AM

Re: Aansuon sham ki palkon pay laraztay rehna
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 8955)
kya matlab manany bhi nahi dy raha ...?
mananay nahi dye raha yan maann nahi raha apko kon rok sakta ha manany sy

Sarkar jab baat suni jayegi tab na. yahan to baat bhi nahi suni jaa rahi hai...

usman_latif_ch 06-06-2009 11:14 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Phir Itne Mayoos Kyun Ho Us Ki Bewafaai Per Faraz,

Tum Khud Hi To Kehty Thay k Wo Sab Se Juda Hai...!!


Qurrat-ul-ain 06-06-2009 11:28 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Roz ki mussafat say choor ho gaye Derya..

Pathron k seenay per thaq k soo gaye Derya

Bujh gayi hain Qandeelein khawab ho gaye Chehray

Aankh k Jazeeron ko phir daabo gaye Derya...

ghazala 06-06-2009 04:52 PM

tamam shehr se hat kr khayal hy tera
Mai jis tarh zinda hon kamal hy mera

Mai jaha tk jaun sath sath chalti hy
Teri yaad ko kitna khayal hy mera
------------------------------------

Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti,
Din nikalta nahi or raat nahin hoti,

Na khafa howa karay wo usay kehna,
Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti

irfishahpk 07-06-2009 08:33 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kon tolay(weight) ga ab heeron main tumharay aansoo
Woh jo ik dard ka taajir tha baazaar chor gaya...........

ghazala 07-06-2009 10:46 AM

Re: Zara ik pal ko socho to
 
Ik umr ho chuki usay badly huay mgr
Is zindagi se us ka hawala nhi gya

Us ny kaha to us ki tamana bhi chor di
Us ki kisi bhi baat ko tala nhi gya

Ali Riaz 07-06-2009 01:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Apna dil apni tabahi ka sabab hota hai,

Yeh Muhabbat ka zamana b ajeeb hota hai,

Kon c baat ney kis shakhs ka dil tor diya,

Bolney waley ko ehsas hi kab hota hai..

irfishahpk 07-06-2009 03:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Har waqt meri khoj main rehti hay teri yaad!
Tu nay maray wajood ki tanhai cheen li.......

Ali Riaz 07-06-2009 04:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kash k wo bachpna hi rahta humare dermyan.

wo chup k rona sub se or phir kheloun se chup ho jana.

Qurrat-ul-ain 08-06-2009 12:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yeh Hawwa thi k dhayan ka jhonka

Kiss n Aawaz di Darakhton main

Hum idher Ghar main ho gaye bay-chain

Door Aandhi challi Darakhton main


irfishahpk 08-06-2009 11:31 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh yah samajhta hay kay main har chehray ka talabgaar hun "Faraz"
Main dekhta sabhi ko hun bas uski talash main...........................
:13:



ghazala 09-06-2009 04:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kr diya tha mere halat ne mujhe khamosh faraz

hum chup kiya hoe doston ne yaad karna hi chor diya.

Ali Riaz 09-06-2009 09:57 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
zindagi ek mout hai par koi mout sa nahi
mout bhi ek zindagi hai par koi zindagi sa nahi

Qurrat-ul-ain 10-06-2009 12:58 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujh sa jahan main koi naadan bhi na ho

Ker k jo Ishq kehta hai Nuqsaan bhi na ho

Rona tu yehi hai k usse chahtay hain HUM...

MEhr! jis kay milnay ka imkaan bhi na ho....


irfishahpk 11-06-2009 02:03 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
pyar say pyar us waqt tak na karo
jab tak pyar aap say pyar na karay
Aur jab pyar aap say pyar krne lagay
to pyar ko itna pyar karo kay pyar kisi aur ko pyar na karay

irfishahpk 14-06-2009 09:51 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum raat kay sitaray hain,
Tanhaiyon kay maray hain

Tum ham ko thukra do beshak,
Magar hum phir bhi tumharay hain



Muzammil 15-06-2009 11:06 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ye yaad hai apki ya yadon mein ap ho?
ye kwab hai apke ya kwabon mein ap ho?
hum nahi jante bas itna bata do
hum jaan hai apki ya jaan hamari ap ho ......

usman_latif_ch 15-06-2009 07:47 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by emsplanet (Post 9462)
ye yaad hai apki ya yadon mein ap ho?
ye kwab hai apke ya kwabon mein ap ho?
hum nahi jante bas itna bata do
hum jaan hai apki ya jaan hamari ap ho ......

wah jee ems ap tu shaire ho gye ho...

irfishahpk 16-06-2009 11:35 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Roz kehta hoon bhool jaon usay
Har roz yah baat bhool jata hoon

irfishahpk 18-06-2009 09:13 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Pass aata bhi nahi door jata bhi nahi,
Yaad karta bhi nahi aur bhulata bhi nahi

Ajeeb shakhs say hay wasta mera,
Jo milta bhi nahi aur bicharta bhi nahi





Qurrat-ul-ain 18-06-2009 12:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tanhai bhari Zindagi ka saffar milla

Na koi sathi na Humsaffar milla

Hum Diyya jalta chor gaye thay un k liyye

Jab wapis lotay tu jalta howa Ghar milla...


.BZU. 19-06-2009 11:26 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jis kashti kay muqadar main ho doob jana Ghalib:13:
Tofaan say bach bhi niklay tu kinaray rooth jatay hain

************ ********* ********* **
Hum tu bajan chezon say bhi wafa kartay hain wasi
Tujh main tu phir bhi meri jaan basi hay

Muzammil 20-06-2009 06:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 9504)
wah jee ems ap tu shaire ho gye ho...

Bus aise hi kisi ki yaad me likh di :439: waise aise hi logon ne badnaam kiya hua hai yaar. ab banda itna bura bhi nahi hai..

Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 9588)

Hum tu bajan chezon say bhi wafa kartay hain wasi
Tujh main tu phir bhi meri jaan basi hay

hmm.. :1tongue:

irfishahpk 21-06-2009 03:47 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gai jis say,
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhain bheeg jati hain




Qurrat-ul-ain 21-06-2009 08:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bare Darakhton ki Shakhon ka kya bigghar sakta

Hawwa ka zor tu Chiryou kay Aashyan tak tha

Mujhe Zameen kay Mussafir kiya shikast daitay......

Mera Zaameer Bulandi main Aasman tak tha


Qurrat-ul-ain 21-06-2009 11:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zindagi eik raat hai

Jiss main na janay kitany Khawab hain

Jo mil jayen wo apnay hain

Jo toot jayein wo Sapnay hain


Qurrat-ul-ain 22-06-2009 12:02 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Guftagu achi laggi Zok-e-Nazar acha lagga

Muddaton k bad koi Humsafar acah lagga

Manzilon ki bat choro kiss n payein Manzelein

Eik Safar acha lagga , Eik Humsaffar acah lagga


Anxious Soul 22-06-2009 12:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us ko chaha bhi lakin izhaar na karna aya
Umer kaat gaye humeen payar na karna aya

Us ne mangi bhi to judaai mangi
or ham thay kay inkaar karna na aya...

Qurrat-ul-ain 22-06-2009 12:58 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aankhen masroof ho jati hain bhulla daitay hain Log

Boht door ja nikkaltay hain, Manzalein gunwa daitay hain Log

Dast-e-Talab uttha k mangtay hain Mohabbat Khudda say

Jo ho dastarus main tu khud hi gunwa daitay hain Log...


Anxious Soul 22-06-2009 02:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
aankhon ko intizaar ka de kar humar chala gaya
chaha tha aik shakhs ko janay kidher chala gaya

din ki wo mehfilain gayee, raatoon ke ratjagay gaye
koyee samet kar mere shaam-o-seher chala gaya

irfishahpk 22-06-2009 02:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Suhana mosam tha hawa me nami thi,
ansuon ki behti nadi abhi abhi thami thi

Milna to hum bhi chahtay thay par.!
un kay paas waqt or hamaray paas sanson ki kami thi





irfishahpk 23-06-2009 12:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dewangi sey kam na thi kuch apni justuju..
Hum bewafa jahan main wafa dhondtay rahay..

Mehromiyon kay daur(دور) main kin hasraton kay sath..
Hum pathron kay dil main khuda dhondtay rahay..



Qurrat-ul-ain 23-06-2009 12:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tumhari Jeet say zyada

Apni Haar ka charchah howa hai

Boht Ghull Mill k bhi Dunya say Hum nay

Zara sa Fasala rakha howa hai

irfishahpk 25-06-2009 09:45 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tera khuloos tera pyar zeher lagta hay,
Mujhay to ishq ka yah pichla pehar lagta hay

Zara zameen pay utar kay tu baat kar ay dost,
Bolandion say to darya bhi nehar lagta hay
---------- post edited ----------
For pakistani team

Kis main himmat hay hamari parwaz main laaey kammi...
Ham proon say nahi hoslon say ura kartay hain...


Qurrat-ul-ain 28-06-2009 01:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Waqt ki Dhoop ho ya Tez Aandhiyan

Kuch kadmon k nishan khbi nahi hotay

Jinhen Yaad ker k Muskura dein Aankhen

Wo Log door ho ker bhi door nahi hotay


Muzammil 28-06-2009 02:08 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
TumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?


All times are GMT +5. The time now is 05:28 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.