BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

.BZU. 17-11-2008 02:17 AM

Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Asalamo Alaikum..
Kiya haal hain sab friends kay.
Zindagi kaisai guzar rahi hay..
Sab friends Winter to khoob enjoy kar rahay hon gay na...
..............
ی ی柝 ی 柝 ی ̪

Lets start the Poetry...,,

Baat niklegy toh bht dur talak jaegy,

log be wajha udasi ka sabab pushenge...!
Closed.
for more single ashar.. use this section

Aik Shair Aik Ahsaas
create new thread for each ashar

Muzammil 17-11-2008 11:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Plz Ahmed Sahab Dhiyan Rakhiye!

ی ی
ӟ ی ی

ی ǁی ʪ
ی
ᘪی ی
ی
ی


.BZU. 20-11-2008 08:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)


Kitney Achey Hotey Hein Bachpan Key Wo Din,
Jab Sirf Kheloney Toata Kartey Hein


Elaan-e-marg hoa to Us nay bhi keh diya Mohsin....
Acha hoa mer gaya ,aksar udaas rehta tha !

.BZU. 01-12-2008 02:45 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
http://lh3.ggpht.com/_mwIy1tAXac4/SS...7Hg%5B1%5D.jpg

.BZU. 09-12-2008 06:08 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kuch is liye bhi mjhko tmsy mohabat hai faraz
mera to koi nahi tumhara to koi hoo

Muzammil 10-12-2008 04:54 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tere Hote Hue Aa Jaatii Thii Saarii Duniyaa

Aaj Tanhaa Huu.N To Ko_ii Nahii.N Aanevaalaa

Muntazir Kis Kaa Huu.N Tuutii Hu_ii Dahaliiz Pe Mai.N

Kaun Aayegaa Yahaa.N Kaun Hai Aanevaalaa

.BZU. 10-12-2008 04:54 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ی ی یی ̪ ی
یی ǟ ی ğ ǟ ј

Qurrat-ul-ain 13-12-2008 01:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Janay kiya inn Nighaon n kaha ha hum say
Aaj kal sher m her koi khafah ha hum say
Kash wo 1 nahi hotay , Boht say hotay
Jin ko wo mil na sakay , Unn ko gilla ha hum say

Qurrat-ul-ain 13-12-2008 01:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Takkah gaya ha mujh ko safar uddasi ka
Mere shanay p abhi tak ha sar uddasi ka
main tum say kaisay kahon Yar-e-Mehrban mere
keh tu Illaj nahi meri har Uddasi ka

Qurrat-ul-ain 14-12-2008 12:32 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Uss say Bichra tu huwa burd huwa

Warna kon janta ha mjhe mere Hawalay s

Wo jatay howay mjhe khud s Shanasa ker gaya

Main tu Bay-Khabar raha, Eik Umer khud ko panay main

Qurrat-ul-ain 14-12-2008 12:32 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dabbay paon teri Yadein chali aatein hain

Chaly aao December ki Shamein bulatein hain

Bheega khara ha sard Rut main Saugwar Dil

Dhund ki Saurat Uddassian utarti jati hain


Qurrat-ul-ain 14-12-2008 12:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Faslon ki Ranjeshein, Raston k saray Dukh

Kiya safar yeh ho gaa Teh, Dastan sunnanay tak

Sochnay ki bat kiya Lamhon k hain Faisalay

Dil main Uttar janay say, Dil say uttar janay tak

.BZU. 14-12-2008 12:58 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
December jab b lota hai,:spaz:
mere khamosh kamre mein,
mere bister pe bikhri hui kitabain,
Bheg jati hain...... !!!:cry:


Happy Exams.. :)

Qurrat-ul-ain 14-12-2008 01:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kath Putli ha ya Jeevan ha, Jeetay jao, Socho mat

Soch say hi sari Uljhan ha,Jeetay jao, Socho mat

Ghoom rahay hain Bazaron main Sermayon kay Aatishdan

Kiss Bhatti main kon Eindhan ha, Jeetay jao, Socho mat


Qurrat-ul-ain 14-12-2008 01:10 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Shaal pehnae ga ab kon December main tumhen

Barishon main jo Bheeego gay tu Yad aaon ga

Iss main shamil ha mere Bakht ki Tariki bhi

Tum Siyah rang jo Pehno gay tu Yad aaon ga

Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Apne Karb ko chuppa ker Hansana mushkil hota ha

Dheemi Dheemi aag main jalna mushkil hota ha

You tu Zabt boht ha hum ko lakin kiss ko bataein

Aankh tak aaye Aansoo peena mushkil hota ha



Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Boond main sara Samandar , Aankh main Kull Kainat

Eik Musht-e-Khak main Sauraj ki aab-o-tab dekh



Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:36 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ghum apnay kissi tor Ibbarat nahi kertay

Hum Ehl-e-Wafa itni Jissarat nahi kertay

Hum log Khtawar Mohabbat sahi laikin

Hum log Wafaon ki Tijarat nahi kertay

:(


Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jahan bhi jana tu Aankhon main Khawab bher lana

Yeh kiya k Dil ko hamesha Uddass ker lana

Main Burf Rutton main jalli tu uss nay kaha

Palat k aana tu Kashti main Dhoop bher lana


Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:44 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Parakhna mat parakhnay say koi apna nahi rehta

Kissi bhi aainay main dair tak Chehra nahi rehta

Baray Logon say milnay main hamesha Fasla rakhna

Jahan Derya Samandar say milla , Derya nahi rehta

.BZU. 27-12-2008 03:03 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
"" Main Kis Se Ja Kar Pochoon Jo Alam Ho Rahey Hain,
Mere Sheher Jal Rahey Hain,Mere Log Marr Rahey Hain,
Koi Aur To Nahi Pas-e-Khanjar Azmai,
Hum He Qatal Ho Rahey Hain Hum He Qatal Ho Rahey Hain "":23n:

Muzammil 27-12-2008 03:20 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
" Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi "

.BZU. 11-01-2009 07:38 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Is dunya ne meri wafa ka kitna oncha mol diya,
pairon mein zanjerain dali hatho mein kashkol diya,
jab bhi koi inam mila mera naam bhi bhool gaya,
jab koi ilzaam laga mujh par la kar dool diya,
ab chahe aandhi aye ya phir toofan aye,
maine bas aahat payi aur darwaza khula chor diya.


Qurrat-ul-ain 12-01-2009 12:58 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jane kyun Log hamein bhool jatay hain!

Kuch pal sath reh ker Door chalay jatay hain!

Sach he kehtay hain Sagar milnay k baad!

Aksar log Barish ko Bhool jatay hain

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 04:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khabi aabad kerta hay
Khabi Berbad kerta hay

Sitam her ik Roz
Wo naya Eaijad kerta hay

Aajab wo shakhs hay
Uski Mohabbat b Nirali hay

Jo Pelay Qaid ker kay
Bad main Aazad kerta hay



Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sajaa kay sar pay Sittaron ka Taj rakhta hai
Zameen pay bhi wo Falaq ka Mizaj rakhta hai
Khaffa sahi wo, Sakhawat Sar-Shast jab bhi millay
Bharam anna ka Mohabbat ka laj rakhta hai

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:14 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jiss say milnay ki nahi hoti door talak Umeed koi

Unn kay kho janay ka Khadsha bhi boht hota hai

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:19 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bus iss khayal say Aansoo chuppa liye hum nay

Uddass reh kay kissi ko uddass kiya kerna

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:22 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aab kay baras kuch aisai Tadbeer kertay hain

Mil kay ek Shehr-e-Mohabbat Tameer kertay hain

Khizan ki ujjar shamen na aaein gi aglay saal

Iss Bahar rut ko Zanjeer kartay hain.............

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:27 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Toofan ker raha tha mere Shoq ka Tawaaf

Dunya samajh rahi thi k Kashti Bhanwar main ha

Qurrat-ul-ain 12-01-2009 05:32 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Murrh kay peechay ki taraf rah main na dekha kero

Ghar say niklo tu Safar main kahin Tehra na karo

Muskuratay howay Her hal main Jeena seekho

Waqt zalim hai boht, Waqt say na Uljha karo

Qurrat-ul-ain 14-01-2009 03:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Manzar badal gaye, PAs-e-Manzar badal gaye

Halat apne Shehr kay yaksar badal gaye

Sauraj kay doobnay pay na hairan howay khabi

Ab sochtay hain kitnay Calendar badal gaye

Qurrat-ul-ain 14-01-2009 03:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Abhi Zindagi ko jawab daina tha iss kay pehlay sawal ka

Main yeh dekhti hon k Janvaury bhi guzzar gaya hai nae Saal ka

Tu Yaqeen ker, ty Yaqeen ker, Wo raigan hai wo raigan

Meri Zindagi say nikal gaya hai jo Lamha uss kay Khayal ka

Qurrat-ul-ain 14-01-2009 04:02 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ek Huzan hai, Ek Mullal hai

Kehnay ko hai Doston ! Naya Saal bhi

Ek chupp si laggi hai labon pay Qafal ki saurat

Koi toray aa kay iss Qafs ka hal bhi

Qurrat-ul-ain 14-01-2009 04:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Phool khilnay ka jo Mausam mere Dil main uttra

Tere bakshay howay Zakham ajab yad aaye

Yeh khushq rut, yeh nae Saal ka pehla Lamha

Dill ki Kawahish hai k MEHR ab koi Yad aaye

Qurrat-ul-ain 16-01-2009 01:15 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kitnay Nadan thay toofan ko kinara samjha

Kitnay Bay-jan Saharon ko sahara samjha

Kitnay Kum - Zurf thay wo Log jo Sahil per thay

Hamein doobta dekha aur Nazara samjha

.BZU. 16-01-2009 01:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

Qurrat-ul-ain 18-01-2009 03:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Daaim Aabad rahay gi Dunya
HUM na hon gay koi hum sa ho ga!!!

Qurrat-ul-ain 18-01-2009 03:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tamam rothay howon ko mannaein ab kay baras

Kadooraton ko Dillon say mittaein ab kay baras

Karo kuch ab kay Baharon ka aisa Istaqbal

Baharein aaein tu aa ker na jaein aba kay Baras



Muzammil 19-01-2009 07:49 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
देखा है जिंदगी को कुछ इतना करीब से
चहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब से.

इस रेंगती हयात का कब तक उठाएं बार
बीमार अब उलझने लगे हैं तबीब से.

हर गाम पर है मजमा-इ-उश्शाक मुन्तजिर
मकतल की राह मिलाती है कू-इ-हबीब से

इस तरह जिंदगी ने दिया है हमारा साथ
जैसे कोई निबाह रहा हो रकीब से.

Hindi Ki Dictnory Kise Chahiye..? :banana::baeh:


All times are GMT +5. The time now is 03:15 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.