BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main aisay Morh par apni Kahani chor aaya hon

Kissi ki Aankh main Paani hi panni chor aaya hon

Bus itna soch ker hi mujh ko apnay pas Tum rakh lo

Tumharay vastay main Hukmurani chor aaya hon.....

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:29 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ghar phoonkanay main sirf Hawaein nahi shareek

Shamil kuch iss main Ghar kay Diyye ka hunar bhi hai

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:32 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Manzil ko mere Shoq ka ehsaas jab howa

Har Zaara meri Rah main Deewar ban gaya


Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zard Mausam kay ujlay Lamhon main

Hum roo paray younahi hanstay hanstay

Ya RAB !! ab koi tabeer baksh day

Kay Thaq gaein Aankhen ab Khwab buntay buntay!!

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Meri sada Hawa main boht Door tak gayi

Per main bulla raha tha jissay bay - khabar raha

Uss aakhri Nazar main ajab Dard tha MEHR!!!

Janay ka uss kay Ranj mjhe umer bher raha

Madiha Fatima 30-01-2009 05:49 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
us say milna ko kabhi ham jo machal jata han
to khayalon ma boht door nikal jata han
gar wafaon ma sadaqat bhi ho shidat bhi
phir tou ehsas sa pathar bhi pighal jata han
uski ankhon k nashay mein hoon jab sa dooba
lar-kharatay han qadam or sambhal jata han
bewafai ka mjha jab bhi khayal ata ha
ashk ankhon sa phisal jata han
piyar ma aik hi mosam ha baharon ka faraz
log mosam ki tarha kesa basal jata han

Madiha Fatima 30-01-2009 05:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
shaiyd k wo likh hi dey usey teray haq ma faraz
tu katib-e-taqdeer se zara israr to kr...!

Qurrat-ul-ain 31-01-2009 05:39 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Rooh ki Zaminon per ek ajeeb Aalam hai

Apnay aanay ki khabar kiya kertay

Jab Sitaray hi nahi mil pae

Lay k Hum Shams-o-Qamar kiya kertay...

Muzammil 31-01-2009 10:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon

Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon
:crash:

.BZU. 01-02-2009 07:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 3485


All times are GMT +5. The time now is 09:50 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.