BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Awais Ali 12-01-2010 11:38 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh tujhe bhoole hein to tujhpe bhi laazim he ae Meer!
Khaak daal, aag laga, naam na le , yaad na ker..!!

Awais Ali 13-01-2010 06:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Apni soochein Haadsoon k saath Masruuf-e-safar
jis tarah mooj-e-hawa ki zadd mein saada kaaghzaat
mein to mohsin barh chala tha hadd se us k shoq mein
dil ne samjhaya k behtar hai zara si ehtiyaat!!

momna gull 16-01-2010 12:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yeh Shehar e Sitam Chain Sey Rehnay Nahii dAita
Har WaQt Barastey Rahey Aafaat Key Pathar
ChUn ChUn Key Utha lAita hOn PhOolon Kii Trah Main
jAb Bhi mUjhey LaGtey hAin Teri Baat Key Pathar


---------- Post added at 01:26 PM ---------- Previous post was at 01:25 PM ----------

Chand Lamho K lIye Sath Nibhanay Walay,
Tu ne Manzil Se Buhat Door Mujhe Chor Diya,

Mujhko Manzil Se Bicharnay Ka Nahi Hai Gham,
Tere Aandaz-e-Wafa Ne Mera Dil Tor Diya.....!!!!

irfishahpk 18-01-2010 12:21 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh jo milta hay magar mil kay bhula dayta hay
Janay kya baat hay dil us ko dua daita hay


Woh mujhay pyar say rotay main hansanay wala
Yaad aata hay to hanstay main rula daita hay

.BZU. 18-01-2010 02:06 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil se roote hain muhabbat ki aag main loog ghalib
Fatah ho jaati zindagi, Agar itne aanso ibadat main baha dete

irfishahpk 18-01-2010 02:12 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Muhabbat jo bikhar kar bhi sada aabaad rehti hay
Mohabbat ho kisi say to hamesha yaad rehti hay


Muhabbat waqt kay bhi reham tofan say nahi darti
Usay kehna bicharnay say muhabbat to nahi marti

irfishahpk 18-01-2010 10:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Laut jatay hain log maray gham daikh kar
Jasay lehar laut jati hay kinara daikh kar


Mat dena maray janazay ko kandha
Kahin zinda na ho jaon tera sahaara daikh kar

Awais Ali 19-01-2010 10:19 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bu-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaagh-e-mehfil..,
Jo teri Bazm se nikla, so pareshaan nikla..!!

momna gull 19-01-2010 12:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by Awais Ali (Post 16536)
Bu-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaagh-e-mehfil..,
Jo teri Bazm se nikla, so pareshaan nikla..!!

MERI URDU theek thaak hai mager phir bhi main is shair ka matlab nahi samjhi

Awais Ali 19-01-2010 12:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
phir samajh jain k aap ki yeh "assumption" ghalat he..!!


All times are GMT +5. The time now is 11:01 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.