BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

momna gull 21-12-2009 11:45 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Mujko Parakhna Hai To Mere Andar Utro

Sirf Kinaray se Samandar Ka Andaza nahi hota


Raheel 21-12-2009 04:46 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sakht raston main bhi asaan safar lagta hay,
Yeh mujhay Maa ki duaon ka asar lagta hay,
Ik muddat say meri Maa nahi soyee Tabish,
Mainay ek bar kaha tha, Maa mujhay dar lagta hay,

.BZU. 22-12-2009 11:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jab yad ka Album Khholon to Kuch log boht yad atay hain
main guzre dino ko sochon to kuch log boht yad atay hain
ab janay kis nagri main soay paray hain muddat say
main raat gai tak jagon to kuch log boht yaad atay hain

momna gull 23-12-2009 11:55 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sab khuloos baaton main, sub karam khayalon mian
Bas zara wafa kam hai tere sheher walon main

Raat teri yaadon ne dill ko is taraha chheda
Jaise koi chutki le narm narm gaalon main

Raheel 30-12-2009 05:15 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Itna na yad aya kero kay rat bhar so na sakain,
Subah ko surkh ankhon ka sabab poochte hain log..

poet_poeter 01-01-2010 08:06 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
wo hum se youn bichar jaye ga kabhi soucha na tha....
zakhmon k zarye youn ubhar jaye ga kabhi soucha na tha....

jo humare bager ik pal bhi na raha karta tha....
wo youn chup chap ghuzar jaye ga kabhi soucha na tha....

poet...........M.Azam.Sahil........

Raheel 02-01-2010 01:39 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Lakh pakeeza sahi kisi mukhlis ka piyar,
Waqt kay hath kuch zakhm laga detay hain,
Hum to Ibn-e-Adam hain hamara zikr hi kiya,
Log to Yousuf (A.S) pe bhi ilzam laga detay hain..

momna gull 06-01-2010 05:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ی ی
ی ی 䘪ی ی ی
ی ی ǁی
ی ی

irfishahpk 11-01-2010 12:20 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jab maray dil ki masjid main teri yadon ki azan hoti hay
To apnay hi aansuon say wazoo kar kay teri muhabbat ki ebadat karta hoon

irfishahpk 11-01-2010 10:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Meri Aankhon Kay SaMundar Mein Jalan Kaysi Hay
Aaj Phir Dilko Tarapnay Ki Lagan Kaysi Hay


All times are GMT +5. The time now is 07:42 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.