BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

.BZU. 06-12-2009 11:04 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum nay tumhari khatir zindagi ojaar di
Aray tum nay hamaray munh pe Chapait maar di
:smilestar:

usman_latif_ch 06-12-2009 12:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 


Aisa nahi ki aap ki yaad aati nahi,
khata sirf itni ki hum batate nahi,
DOSTI aap ki anmol hai hamare liye,
Samjte ho aap isliye jatate nahi.

irfishahpk 07-12-2009 05:20 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kagaz ki tarah hai zindagi humari
koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
is kadar akele ho gaye hai hum aajkal
koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi

Raheel 08-12-2009 03:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yahan say laut chalo wasta Khuda ka hay,
Ab ANA ka nahi mamla BAQA ka hay,
Yeh aur bat hay kay jhuk gaye teri mohabat main,
Werna teri qasam guroor hum main bhi intiha ka hay..


---------- Post added at 03:43 PM ---------- Previous post was at 02:43 PM ----------

Ruk jaye meri Dharkan to isay mout na samajhna,
Kayi baar aisa howa hay tujhay yad kertay kertay.

momna gull 08-12-2009 03:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Apnay pindaar ke sau baar kiye haiN TukRay
Kaisay rakhkha hay tamanna ka bharam kia kahye


---------- Post added at 04:52 PM ---------- Previous post was at 04:51 PM ----------

Log Halaat Badalte Hi Badal jaty hen
Tum Badlo Ge Riwayat ye Wada Krlo
Tum to waday B Bhula Dety Ho Aksar “Wasi”
Ab Na Bhulo Ge koi Wada ye Wada Krlo


---------- Post added at 04:52 PM ---------- Previous post was at 04:52 PM ----------

Log Halaat Badalte Hi Badal jaty hen
Tum Badlo Ge Riwayat ye Wada Krlo
Tum to waday B Bhula Dety Ho Aksar “Wasi”
Ab Na Bhulo Ge koi Wada ye Wada Krlo

Raheel 10-12-2009 02:30 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Meri taqdeer ko badal dain gay meray pukhta iraday
Meri qismat nahi mohtaaj meray hathon ki lakeeron ki.

momna gull 10-12-2009 02:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
chalta tha kabi hath mera tham kar jis par.....
karta hai bot yad wo rasta use kahna.....
umid wo rakhe na kisy aur se

har shaks mohabbat nahi karta use kahna

Raheel 11-12-2009 11:33 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kitnay anjaan hain sar-e-sham so jatay hain Ghalib,
Meri aankhon say meri neend churanay walay...

---------- Post added at 11:33 AM ---------- Previous post was at 11:23 AM ----------

Tujhay fikr hay kay badal diya mujhay Gardish-e-Shab-o-Roz nay,
Kabhi khud say bhi to sawal ker tu wohi hay ya koi aur hay...

momna gull 11-12-2009 03:27 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hm saadaa dil hii aise the, kii yuN hii paziiraaii
jis baar KhizaaN aaii samajhe ki bahaar aaii



ummiid-e-inaayat meN raNjiidaa rahe donoN
tu aur terii mehfil, maiN aur merii tanahaaii

Raheel 15-12-2009 07:09 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zamanay kay sawalon ko main hans kay tal doon lekin,
Nami ankhon ki kehti hay mujhay tum yaad atay ho..


---------- Post added at 07:09 PM ---------- Previous post was at 07:07 PM ----------

Usay keh do woh kisi aur say mohabbat ka na sochay Faraz,
Ek main hi kaafi hoon usay umar bhar chahnay kay liye..


All times are GMT +5. The time now is 10:57 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.