BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

usman_latif_ch 02-12-2009 10:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi

irfishahpk 03-12-2009 01:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
dil ka zakhm zuban pe laya nahin kerte
hum apniaankhon se aanso bahaya nahin kerte
zakhm kitne gehre kyon na ho
hum apne hoton se muskurahat hataya nahin kerte …
[/CENTER]

irfishahpk 04-12-2009 12:22 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kagaz pe humne zindagi likh di,
aansuon se seench kar har khushi likh di,
dard ko jab humne ubhara lafzo pe,
logo ne kaha wah kya gazal likh di

momna gull 05-12-2009 11:33 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
“Raat,
Darwazey Pe,,
Kitni Dustakon k
Zakhm Thay Mohsin. . . ..
Phir Wohi,
Pagal Hawa Thi,
Phir Mujhey. . .
Dhoka Hua. . . .


---------- Post added at 12:33 PM ---------- Previous post was at 12:31 PM ----------

Kitab-e-ishq ko Parh kr bhula dia maine,
Na doston se na dushmano se gila kia maine,
Poochi jo ksi ne meri dastaan-e-gham,
Bus 1 chiragh jala k bujha dia maine.

Raheel 05-12-2009 02:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jo dil kay Aainay main ho, wohi hay piyar kay qabil,
Werna deedar kay qabil to har tasveer hoti hay..

momna gull 05-12-2009 03:03 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ik ainaa thaa so TuuT gayaa
ab Khud se agar sharmaao to kyaa

main tanhaa thaa main tanhaa huuN
tum aao to kyaa na aao to kyaa

momna gull 05-12-2009 05:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Lafzon ki justuju main sabhi kuch ganwa diya
Wo chal diya main tarz e Ada dhoondta raha

Us ko kisi ne rab se lia maang or main
Sajday mai gira hurf e dua dhoondta raha

irfishahpk 05-12-2009 05:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dekhta hoon to sabhi kuch hay salamat ghar main
Sochta hoon to taray baad bacha kuch bhi nahi

Raheel 05-12-2009 08:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum jab bhi milo to nazrain utha ker mila kero
Muje pasand he tumari ankhon me apna aks dekhna

---------- Post added at 08:00 PM ---------- Previous post was at 07:15 PM ----------

Muddat say thi kisi say milnay ki aarzoo,
Khuwahish e Deedar ko dil me daba diya,
Kisi nay di khabar kay woh aaj ayeingay,
Itna kiya charaga'n kay ghar tak jala diya.

momna gull 06-12-2009 12:13 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Rafta Rafta Bujh Gaya Aakhir Chiragh-E-Aarzoo WASI,
Pehley Dil Khamosh Tha, Ab Zindagi Khamosh Hai.


---------- Post added at 01:13 AM ---------- Previous post was at 01:12 AM ----------

Na ishq ki jis ko chot lagy wo Dard kisi ka kya janay.
Khud shama ko malom nahi Q jal jatay hain Parwanay. ?’


All times are GMT +5. The time now is 12:20 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.