BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

.BZU. 25-01-2009 04:47 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Shyar nay Arz kiya hay...
Bhool Jana Bhi Usay Yaad Bhi Kartay Rehna.
Kaisa Lagta hay issi Dhun main Bikhartay Rehna...

sikander hussain 26-01-2009 09:42 AM

fakat ik sans ko tersta raha sada
merne k bad jab b pukara us ne...

(sikander)

ye ur bat hai tujhe fursat nai mili....
humen tere piyar me chahat nai mili
dil ki bat hum ne khni b thi zaroor
such hai ! zindigi ko muhlat nai mili

zahidsyed707 27-01-2009 03:19 AM

Side table pe chai ka cuP..
Hath mein ISHQ pe likhi gai ek dastaan ki kitaB..
Aur dil ye bhi chahay ke chhat pe ja Ke..
Raat ki tanhaI..
Chand ki udasI..
Aur lamhon ki be-basi kO..

Apne andar utaar Ke..
Khud ko ISHQ-E-LAHASIL mein qaid kar liya jaeY..
Aur Aisay mein kisi ki yad na aaeY.....?
Na-mumkiN..!!!!



Hai woh garoh apna jo rah par nah aaya
jeene ko ji rahe hain, jeena magar nah aaya.

Tum dekhte ho mera kya haal ho gaya hai
par mere dekhne ko woh bekhabar nah aaya.

Waise main hosh main hoon par mujh ko ghamgusaro
tum hosh main nah laao jab chara gar nah aaya.

Ik shaam aur guzri, ik raat aur aai
woh saim tan nah aaya, woh saim bar nah aaya.

ye hosh hai k uss ki masti pe guftago thi
bad us ke hosh hum ko phir raat bhar nah aaya.

Ab hum kis ko, apni rodad kya sunaain
ik umar dil main reh kar ik din woh ghar nah aaya.

Woh rang hai tu aakhar hum ko nazar bhi aaye
woh rang tha, so ho ga, hum ko nazar nah aaya.

Doori ka ab gila kya, doori ki umar saari
pal thi, jise hisaab-e-shaam-o-seher nah aaya. :smile:


is adaa se bhi hoon main aashena
tujhey itna jis pe guroor hai
main jiyoon ga tere bagair bhi
mujhey zindagi ka shauor hai
jo samjh liya tujhey bewafa
tu phir is main teri bhi kiya khata
yeh khalal hai mere demaagka
yeh meri nazar ka kasoor hai
main nikal ke bhi tere daam se
na geroon ga apney maqam se
main qateel jo ru-e-situm sahi
mujhey tum se ishq zaroor hai .. :crash:


Kis cheez ko kehtay hain wafa bhool chuka hoon
Shaid ke main jeenay ki ada bhool chukka hoon
Din raat kabhi jo meray hontoon pe saja tha
Woh naam wohi harf e dua bhool chukka hoon
Ab aankh main meray kabhi aansu nahin aatay
Muddat se main ashkoon ki ghata bhool chukka hon
Tum hans ke milay ho to tumhain hans ke mila hoon
Kis baat pe tha tum se khafa bhool chukka hoon
Ab mujh ko kisi baat pe hairat nahin hoti
Tum ne jo kabhi ki thi jafa bhool chuka hoon

zahidsyed707 27-01-2009 03:31 AM

raat pheli hai tere surmae aanchal ki tarah
chand nikla hai tujhe dhondne pagal ki tarah

khushk pattun ki tarah loog uray jaatay hain
sheher bhi ab tu lagta hai jungle ki tarah

phir khyaalun mein tere kurb ki khushu jaagi
phir barasnay lagi aankhain meri sawan ki tarah

bewafaon se wafa kr ke guzari hai hayaat
mein barasta raha viraanun mein badal ki tarah

////////////////////////////////////

SannaTe ki jheel

Tujh se bichar kar bhi zinda tha
mar mar ke zehar piya hai
chup rehna aasaaN nahi tha
barsoN dil ka khun kiya hai
apne haal pe khud roya hun
khud hi dil ka chaak siya hai
jo kuch guzri, jaisi guzri
tujh ko kab ilzaam diya hai
kitni jaankahi se maiN ne
tujh ko is dil se mehav kiya hai
SannaaTe ki jheel mein tu ne
phir kyuN paththar pheNk diya hai
////////////////////////////////////

Ȫی ̪ ی Ȫی ̪
Ȫی Ȫ ̪ Ȫی Ȫ ̪
̪ یی ̪ ی*
ǟ Ә ی ی ̪
ی ʪ ی ʪ ʪ ʪ
Ȫی ̪ ی Ȫی ̪
یی ی ی ی ی ̪ ی
ی Ȫی ی ی ̪ ̪
ی یی یی
̪ ی* ̪
یǟ ی یی ی ی ی
یǟ Ȫی ی ی ̪

////////////////////////////////////
Kash Ye Zalim Judai Na Hoti !!

Rabba Too Ne Dil Cheez Banaai Na Hoti !!

Na Hum Un Se Milte Na Muhabbat Hoti !!

Zindagi Jo Apni Thi Aj Paraai Na Hoti !!

////////////////////////////////////
Ajeeb Karb Ka Alam Hai Meri Basti Per !!

Ghata Bhi Chai Hai Barsat Bhi Nahi Hoti !!

Silay Hain Hont Koi Baat Bhi Nahi Hoti !!

Ajeeb Rang Badalta Hai Asar Ka Suraj !!

Kya Sham Khafa Hai Or Raat Bhi Nahi Hoti !!

Mein Tumhari Zat Ka Hissa Bhi Ban Nahi Sakta !!

Juda Tum Se Magar Meri Zaat Bhi Nahi Hoti !!

zahidsyed707 28-01-2009 12:20 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Humne bhi pyar kiya tha zindgi main,
badi josh ke sath ! Humne bhi pyar kiya tha zindgi main, badi shor ke sath ! Aab hum pyar karenge badi soch ke sath ! Kyon ki usey kal sham ko dekha kisi aur ke sath !:drunkburp:

Muzammil 28-01-2009 04:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Oye zahid Ke Bachche Pange Kyon Ker raha he :42: .. Lagta hai Aaj Kal Wife Baat nahi Ker Rahi Hai.. :abat:

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Mujhse Hur Baar Nazrein Chura leta Hai Woh 'Faraz'
Meine Kagaz Per Bhi Bana Ke Dekhi Hain Aankhien Uski


------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Us Ne Mujhe Chor Diya To Kiya Hua 'Faraz'
Meine Bhi To Chora Tha Sara Zamana Uske Liye

Madiha Fatima 29-01-2009 11:54 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
mjha wo lakh tarpa'ay magar us shakhs ki khatir
mera dil k andheron ma duayn raqs krti han
usy kehna k lout ay sulagti shaam sa pehla
kisi ki khushk ankhon ma sadayn raqs krti han
khuda janay kesi kashish ha,uski yadon ma
ma uska zikar cheron to hawayn raqs krti han...

Madiha Fatima 29-01-2009 12:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
shidat-e-dard sa sharminda nahi meri wafa FARAZ
dost gehray han tou phir zakham bhi tou gehray hon ga

Madiha Fatima 29-01-2009 12:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
najanay dhundta ho kea meri in viraan ankhon ma
chupa rakha han hamna kai toufaan anhkon ma
kahan wo shokhean pehla c,ab kch bhi nahi baqi
chalay ay ho tum kea khojna bejaan ankhon ma
kisi ka hath lay kar hath ma jb tum mila ham sa
tou kesa toot kr bikhra tha mera maan ankhon ma
na smjho chup hain to tmsa koi shikwa nahi baqi
ham apna dard ki nahi rakhta pehchaan ankhon ma
mila tum baad mudat k hamen ajnabi jan kar
tou kesa dard na uthta meri heraan ankhon am.

Qurrat-ul-ain 29-01-2009 05:23 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bay - Nam Zindagi ki haqeeqat na poochiye MEHR

Kuch pur - Khallooos Log thay berbad ker gae......


All times are GMT +5. The time now is 02:21 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.