BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

ghazala 27-10-2009 07:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ye bhi aik tamasha hai bazaar-e-ulfat main Wasi
K dil kisi ka hota hai aur bas kisi ka chalta hai


---------- Post added at 07:00 PM ---------- Previous post was at 06:58 PM ----------

Yun na kheench apni tarf mujhay bay-bus kar k Mohsin
K khud say bhi bichar jaon aur to bhi na milay

usman_latif_ch 28-10-2009 06:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Pucho Qabrustan se Teri Aagosh Mein Itna Sannata kyun Hai.....!!!

"SAGAR"

Log To Apni Jaan De Kar Tujhe Aabad Karte Hain.....!!

BSIT07-01 28-10-2009 07:15 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by ghazala (Post 13324)
Ye bhi aik tamasha hai bazaar-e-ulfat main Wasi
K dil kisi ka hota hai aur bas kisi ka chalta hai

Nice ...But ... Mera name(Wasif) tu poora likh daina tha ... hahaha

:th_4:

usman_latif_ch 31-10-2009 12:40 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ajeeb andehra hai"SAAQI"teri" MEHFIL"Main...!!!


Kisi ne "DIL" Bhi jalaya to "ROSHNI" Na Howi..

irfishahpk 01-11-2009 02:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Labon pay aap kay ayay na ayay naam mera
Maray labon pay dua ban kay aap rahtay hain

irfishahpk 03-11-2009 12:59 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ham say door jao gay kasay
dil say hamain bhulao gay kasay

ham woh khushboo hain jo sanson main bastay hain
Khud ki sanson ko rok pao gay kasya


.BZU. 04-11-2009 02:49 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil main har raaz daba kay rakhtay hain.
Honton pay muskaan saja kay rakhtay hain

Yeh dunia sirf khushi main saath deti hay
Is liye hum apnay ansoo chupaa kay rakhtay hain..

usman_latif_ch 07-11-2009 11:46 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 


Koi lamha ho taray sath ka,
Mari umar bhar ko samait lay,
Main fana baqa k sbi safar
Usi aik pal main guzar dun.

irfishahpk 08-11-2009 03:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yadain to dilon ko or paas karti hain
Zindagi taray sath honay pay naaz karti hay

Mat ho udaas kay tu door hay mujh say
Kion kay durian hi rishton ko khaas karti hain

irfishahpk 09-11-2009 12:53 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sonay do agar woh so raha hay Ghulami ki neend main......
Ho sakta hay woh khuwab aazadi kay daikh raha ho.......

(Happy Allama Iqbal Day)


All times are GMT +5. The time now is 10:07 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.