BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

usman_latif_ch 16-09-2009 07:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
BoLta nahi koi es Liy zamane sE

Ke Log Toot jatey han FaisLe sunane sE

Kyun uddas Beithy ho es Trah Andhere mEin

Dukh Tu kam nahi hotay Roshni Bhujane sE.

usman_latif_ch 20-09-2009 07:18 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)

irfishahpk 23-09-2009 02:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jab hath uthana dua kay liyay,
To mujhay mat bhulana khuda kay liyay

Kia pata kay maray naseeb ki bohat si khushiyan,
Muntazir hon tumhari harf e dua kay liyay

irfishahpk 24-09-2009 02:38 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tera milna nahi mumkin magar itna to mumkin hay Faraz
Kay teri aarzoo main zindagi ki shaam ho jaye..............

.BZU. 25-09-2009 04:57 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Wo aam si shaam thei, Jab juda huye thay hum
Na toot kar oyar kia or na roo sakay hum.

Tum gila kia na zamanay say kuchh kaha
Barbaad ho ga ay bari sadagi se hum...

usman_latif_ch 28-09-2009 09:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Samait kar mujhe apni dehleez ka pathar kar de

Ya khaak bana kar dar badar kar de

uss se bichhar kar baray qarb mai hoon

Ussay kaho meri aazmaaish ko mukhtasir kar de

usman_latif_ch 29-09-2009 06:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sirf ek shakhs ki khatir mujhay barbad na ker

Roz roty huye kehti ha zindgi mujse


.BZU. 29-09-2009 06:49 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil tornay walay ko saza kiyon nahi milti
Har kisi ko pyar karnay ki Dua kiyon nahi milti

Loog kehtay hain ishq to bemaari hay
Tu Medical Store par is ki Dawa kiyon nahi milti..

usman_latif_ch 29-09-2009 07:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 12671)
Dil tornay walay ko saza kiyon nahi milti
Har kisi ko pyar karnay ki Dua kiyon nahi milti

Loog kehtay hain ishq to bemaari hay
Tu Medical Store par is ki Dawa kiyon nahi milti..

milti tu ha zehar ki gooliyan...

usman_latif_ch 30-09-2009 09:01 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Faryaad kar rahi hein tarasti hui nigahein.

Dekhe huwe kisi ko bohat din guzar gaye.


All times are GMT +5. The time now is 08:37 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.