BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

irfishahpk 11-07-2009 10:07 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us kay kehnay par us ki tamanna bhi chor di ham nay Faraz
Zara ham bhi to daikhain kon chahta hay usay hamari tarha...

:heartpump:

usman_latif_ch 11-07-2009 11:42 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Muhabbat kar saktay ho to rab se karo faraz
Mitti k khilono se kabi wafa nahin milti.


adnan sarwar 11-07-2009 12:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
gggggggggggooooooooooooooooooooooooooooooddddddddd ddddddddddd

irfishahpk 11-07-2009 12:44 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us roz kisi pal mujhay aaram na aaya,
Jis roz maray lab pay tera naam na aaya

Humne us shaam ko shaam na kaha,
Jis shaam tu yaad sar e aam na aaya...!!


irfishahpk 12-07-2009 09:03 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ham khud par gharoor nahi kartay,
Kisi ko dosti karnay par majboor nahi kartay

Ham jisko ik bar dil main basa latay hain
Usay martay dam tak dil say door nahi kartay


irfishahpk 13-07-2009 08:32 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hamain to mohabbat kay liyay bhi zindagi kam lagti hay Faraz
Magar log yahan nafraton kay liyay bhi waqt nikal latay hain....!:dunno:

irtaza 13-07-2009 11:36 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kYA kHUB USTAB NAI nUKTA BATA DIYA
LAGAN SACHI HO TU MANZILAY AWAZ DAYTI HAY
FAQAT IS WASTAY KHUD KO BOHAT MASROOF RAKHTAY HAY
fURSAT MAI KISI KI DHARKNAY AWAZ DAYTI HAY:cheerleader::spot::smilebige::meditation:
-

irfishahpk 13-07-2009 01:06 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Un logon ka kya hua hoga Faraz,
Jinko meri tarha ghum nay mara hoga

Kinaray par kharay log kya jane,
Doobnay walay nay kin kin ko pukara hoga

irfishahpk 14-07-2009 08:11 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
In phoolon ka muqaddar kabhi aik sa nahi hota Faraz
Kabhi sehray ki sajawat banta hay to kabhi Qabron ki ronak

Qurrat-ul-ain 14-07-2009 09:03 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Sheheron ki Deewaron jese hotay hain

Kuch Chehray akhbaaron jese hotay hain

Kuch Logon ko dekh k Manzil paai hai

Kuch Insaan Sittaron jese hotay hain


All times are GMT +5. The time now is 10:58 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.