BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Qurrat-ul-ain 22-06-2009 12:02 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Guftagu achi laggi Zok-e-Nazar acha lagga

Muddaton k bad koi Humsafar acah lagga

Manzilon ki bat choro kiss n payein Manzelein

Eik Safar acha lagga , Eik Humsaffar acah lagga


Anxious Soul 22-06-2009 12:11 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Us ko chaha bhi lakin izhaar na karna aya
Umer kaat gaye humeen payar na karna aya

Us ne mangi bhi to judaai mangi
or ham thay kay inkaar karna na aya...

Qurrat-ul-ain 22-06-2009 12:58 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Aankhen masroof ho jati hain bhulla daitay hain Log

Boht door ja nikkaltay hain, Manzalein gunwa daitay hain Log

Dast-e-Talab uttha k mangtay hain Mohabbat Khudda say

Jo ho dastarus main tu khud hi gunwa daitay hain Log...


Anxious Soul 22-06-2009 02:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
aankhon ko intizaar ka de kar humar chala gaya
chaha tha aik shakhs ko janay kidher chala gaya

din ki wo mehfilain gayee, raatoon ke ratjagay gaye
koyee samet kar mere shaam-o-seher chala gaya

irfishahpk 22-06-2009 02:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Suhana mosam tha hawa me nami thi,
ansuon ki behti nadi abhi abhi thami thi

Milna to hum bhi chahtay thay par.!
un kay paas waqt or hamaray paas sanson ki kami thi





irfishahpk 23-06-2009 12:26 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dewangi sey kam na thi kuch apni justuju..
Hum bewafa jahan main wafa dhondtay rahay..

Mehromiyon kay daur(دور) main kin hasraton kay sath..
Hum pathron kay dil main khuda dhondtay rahay..



Qurrat-ul-ain 23-06-2009 12:43 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tumhari Jeet say zyada

Apni Haar ka charchah howa hai

Boht Ghull Mill k bhi Dunya say Hum nay

Zara sa Fasala rakha howa hai

irfishahpk 25-06-2009 09:45 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tera khuloos tera pyar zeher lagta hay,
Mujhay to ishq ka yah pichla pehar lagta hay

Zara zameen pay utar kay tu baat kar ay dost,
Bolandion say to darya bhi nehar lagta hay
---------- post edited ----------
For pakistani team

Kis main himmat hay hamari parwaz main laaey kammi...
Ham proon say nahi hoslon say ura kartay hain...


Qurrat-ul-ain 28-06-2009 01:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Waqt ki Dhoop ho ya Tez Aandhiyan

Kuch kadmon k nishan khbi nahi hotay

Jinhen Yaad ker k Muskura dein Aankhen

Wo Log door ho ker bhi door nahi hotay


Muzammil 28-06-2009 02:08 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
TumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?


All times are GMT +5. The time now is 06:36 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.