BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Muzammil 15-06-2009 11:06 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
ye yaad hai apki ya yadon mein ap ho?
ye kwab hai apke ya kwabon mein ap ho?
hum nahi jante bas itna bata do
hum jaan hai apki ya jaan hamari ap ho ......

usman_latif_ch 15-06-2009 07:47 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by emsplanet (Post 9462)
ye yaad hai apki ya yadon mein ap ho?
ye kwab hai apke ya kwabon mein ap ho?
hum nahi jante bas itna bata do
hum jaan hai apki ya jaan hamari ap ho ......

wah jee ems ap tu shaire ho gye ho...

irfishahpk 16-06-2009 11:35 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Roz kehta hoon bhool jaon usay
Har roz yah baat bhool jata hoon

irfishahpk 18-06-2009 09:13 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Pass aata bhi nahi door jata bhi nahi,
Yaad karta bhi nahi aur bhulata bhi nahi

Ajeeb shakhs say hay wasta mera,
Jo milta bhi nahi aur bicharta bhi nahi





Qurrat-ul-ain 18-06-2009 12:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tanhai bhari Zindagi ka saffar milla

Na koi sathi na Humsaffar milla

Hum Diyya jalta chor gaye thay un k liyye

Jab wapis lotay tu jalta howa Ghar milla...


.BZU. 19-06-2009 11:26 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jis kashti kay muqadar main ho doob jana Ghalib:13:
Tofaan say bach bhi niklay tu kinaray rooth jatay hain

************ ********* ********* **
Hum tu bajan chezon say bhi wafa kartay hain wasi
Tujh main tu phir bhi meri jaan basi hay

Muzammil 20-06-2009 06:04 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 9504)
wah jee ems ap tu shaire ho gye ho...

Bus aise hi kisi ki yaad me likh di :439: waise aise hi logon ne badnaam kiya hua hai yaar. ab banda itna bura bhi nahi hai..

Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 9588)

Hum tu bajan chezon say bhi wafa kartay hain wasi
Tujh main tu phir bhi meri jaan basi hay

hmm.. :1tongue:

irfishahpk 21-06-2009 03:47 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gai jis say,
Koi bhi lafz likhta hoon to ankhain bheeg jati hain




Qurrat-ul-ain 21-06-2009 08:51 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bare Darakhton ki Shakhon ka kya bigghar sakta

Hawwa ka zor tu Chiryou kay Aashyan tak tha

Mujhe Zameen kay Mussafir kiya shikast daitay......

Mera Zaameer Bulandi main Aasman tak tha


Qurrat-ul-ain 21-06-2009 11:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Zindagi eik raat hai

Jiss main na janay kitany Khawab hain

Jo mil jayen wo apnay hain

Jo toot jayein wo Sapnay hain



All times are GMT +5. The time now is 01:08 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.