BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Ali Riaz 07-06-2009 01:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Apna dil apni tabahi ka sabab hota hai,

Yeh Muhabbat ka zamana b ajeeb hota hai,

Kon c baat ney kis shakhs ka dil tor diya,

Bolney waley ko ehsas hi kab hota hai..

irfishahpk 07-06-2009 03:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Har waqt meri khoj main rehti hay teri yaad!
Tu nay maray wajood ki tanhai cheen li.......

Ali Riaz 07-06-2009 04:12 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kash k wo bachpna hi rahta humare dermyan.

wo chup k rona sub se or phir kheloun se chup ho jana.

Qurrat-ul-ain 08-06-2009 12:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Yeh Hawwa thi k dhayan ka jhonka

Kiss n Aawaz di Darakhton main

Hum idher Ghar main ho gaye bay-chain

Door Aandhi challi Darakhton main


irfishahpk 08-06-2009 11:31 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Woh yah samajhta hay kay main har chehray ka talabgaar hun "Faraz"
Main dekhta sabhi ko hun bas uski talash main...........................
:13:



ghazala 09-06-2009 04:17 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kr diya tha mere halat ne mujhe khamosh faraz

hum chup kiya hoe doston ne yaad karna hi chor diya.

Ali Riaz 09-06-2009 09:57 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
zindagi ek mout hai par koi mout sa nahi
mout bhi ek zindagi hai par koi zindagi sa nahi

Qurrat-ul-ain 10-06-2009 12:58 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mujh sa jahan main koi naadan bhi na ho

Ker k jo Ishq kehta hai Nuqsaan bhi na ho

Rona tu yehi hai k usse chahtay hain HUM...

MEhr! jis kay milnay ka imkaan bhi na ho....


irfishahpk 11-06-2009 02:03 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
pyar say pyar us waqt tak na karo
jab tak pyar aap say pyar na karay
Aur jab pyar aap say pyar krne lagay
to pyar ko itna pyar karo kay pyar kisi aur ko pyar na karay

irfishahpk 14-06-2009 09:51 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum raat kay sitaray hain,
Tanhaiyon kay maray hain

Tum ham ko thukra do beshak,
Magar hum phir bhi tumharay hain




All times are GMT +5. The time now is 06:56 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.