BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Qurrat-ul-ain 14-12-2008 12:32 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dabbay paon teri Yadein chali aatein hain

Chaly aao December ki Shamein bulatein hain

Bheega khara ha sard Rut main Saugwar Dil

Dhund ki Saurat Uddassian utarti jati hain


Qurrat-ul-ain 14-12-2008 12:53 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Faslon ki Ranjeshein, Raston k saray Dukh

Kiya safar yeh ho gaa Teh, Dastan sunnanay tak

Sochnay ki bat kiya Lamhon k hain Faisalay

Dil main Uttar janay say, Dil say uttar janay tak

.BZU. 14-12-2008 12:58 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
December jab b lota hai,:spaz:
mere khamosh kamre mein,
mere bister pe bikhri hui kitabain,
Bheg jati hain...... !!!:cry:


Happy Exams.. :)

Qurrat-ul-ain 14-12-2008 01:02 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kath Putli ha ya Jeevan ha, Jeetay jao, Socho mat

Soch say hi sari Uljhan ha,Jeetay jao, Socho mat

Ghoom rahay hain Bazaron main Sermayon kay Aatishdan

Kiss Bhatti main kon Eindhan ha, Jeetay jao, Socho mat


Qurrat-ul-ain 14-12-2008 01:10 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Shaal pehnae ga ab kon December main tumhen

Barishon main jo Bheeego gay tu Yad aaon ga

Iss main shamil ha mere Bakht ki Tariki bhi

Tum Siyah rang jo Pehno gay tu Yad aaon ga

Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:28 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Apne Karb ko chuppa ker Hansana mushkil hota ha

Dheemi Dheemi aag main jalna mushkil hota ha

You tu Zabt boht ha hum ko lakin kiss ko bataein

Aankh tak aaye Aansoo peena mushkil hota ha



Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:33 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Boond main sara Samandar , Aankh main Kull Kainat

Eik Musht-e-Khak main Sauraj ki aab-o-tab dekh



Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:36 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ghum apnay kissi tor Ibbarat nahi kertay

Hum Ehl-e-Wafa itni Jissarat nahi kertay

Hum log Khtawar Mohabbat sahi laikin

Hum log Wafaon ki Tijarat nahi kertay

:(


Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jahan bhi jana tu Aankhon main Khawab bher lana

Yeh kiya k Dil ko hamesha Uddass ker lana

Main Burf Rutton main jalli tu uss nay kaha

Palat k aana tu Kashti main Dhoop bher lana


Qurrat-ul-ain 17-12-2008 10:44 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Parakhna mat parakhnay say koi apna nahi rehta

Kissi bhi aainay main dair tak Chehra nahi rehta

Baray Logon say milnay main hamesha Fasla rakhna

Jahan Derya Samandar say milla , Derya nahi rehta


All times are GMT +5. The time now is 01:16 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.