BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

usman_latif_ch 09-03-2009 09:04 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Deta raha fareb koi saadgi k sath.
Itna bara mazak meri zindagi k sath.
Shayad mili saza is jurm ki mujhe
K tha mujhe pyar ek ajnabi k sath.


irfishahpk 09-03-2009 09:43 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Tum se hamara aaj hai tum se hamara kal
Tumhe yaad karte hai hum to her pal
Her aahat per lagta hai jaise tum aaye ho
Kyu na lage, tum jo hamare saaye ho
Subah nikalta sooraj tumhari aankhon ki dhamak laata hai
Aur raat gagan main chand tumhara chehra lubhata hai
Phoolo main khilthi hai muskurahat tumhari
Un taaron ko dekh dekh jaagte hai hum raat sari

usman_latif_ch 09-03-2009 05:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kuch unki adaon ka talabgar bohat tha
Kuch apni anaon se mujhe pyar bohat tha
Socha tha k paa lunga use ek na ek din
Pehli si mohabat pe aitbar bohat tha
Manzil kese naseeb ho tere diyar ki
Rasta jo tere ghar ka purisraar bohat tha
Us ne kuch is andaz men izhar kiya tha
Iqrar kam, iqrar men aitbar bht tha


Qurrat-ul-ain 10-03-2009 12:03 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jalla k rakhna hain Aankhen ujjar rastay per

Phir iss k bad kissi ko pukarna bhi tu hai

Sanbhal rakha hai Sawan sulagti Aankhon main

Shabb-e-Duaa ki Fizza ko nikharna bhi tu hai.

Muzammil 10-03-2009 12:20 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jab kisi ki chahat me dil madhosh sa hota hai,
Uski ek nazar ki hasrat me hosho-hawas bhi khota hai,
Kisi ke aks ki talash me dil bechain sa rehta hai,
Suna hai humne ishq ka kuch aisa hi andaaz hota hai!

Qurrat-ul-ain 10-03-2009 12:30 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mohabbaton k saffar pay gamzan hain jo Log

Khuda karay k un sab ko surkhoro dekhon

Tammam umer katti hai iss khayal main

Her ik lamha tujhay roobaro dekhon


************ ********* ********* **
Harf harf ratt ker bhi aagahi nahi milti

Aaag naam rakhnay say roshni nahi milti

Aadmi say Insaan tak aao gay....Tu samjho gay.

Kyou Charagh k neechay Rosnhi nahi milti..

irfishahpk 10-03-2009 01:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,

Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,

Agar mile tumko kahin to utha lena,

Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

Qurrat-ul-ain 10-03-2009 11:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kon sa Zakham tha jo tarr-o-taza na tha

Zindagi main itnay Ghamm thay k andaza na tha

Hamari Jheel si Aankhon ka iss main kiya kasoor

Doobany walon ko Gehrai ka andaza na tha......

Muzammil 10-03-2009 11:41 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil ki veran basti aksar ham se poocha krti he faraz
Woh log kahan gaye jo Dil main basney aye thay

Qurrat-ul-ain 11-03-2009 04:13 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Kantay meri Anna k mujhe roktay rahay

Uss ki Galli say ban k tammashah guzzar gaya

Wo Shaksh kon tha jo hiqqarat ki aankh say

Derya ko dekhta howa piyassa guzzar gaya....



All times are GMT +5. The time now is 02:44 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.