BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:19 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Waqt kam tha Baatein adhori reh gayein

Achay Logon say Mullaqatein adhori reh gayein

Tere janay k bad Aankhon say Paani barsa boht

Kon kehta hai Bersatein adhori reh gayein...


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:25 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
SADGI


Bnna Ajnabi mera Hamsaffar

Or Nazar bacha k guzzar gaya

Main thi raston say bay-Khabar

Or Ussay Manzilon ka Shao'or tha

Na thein or koi bhi Ranjishen

Sirf aadaton main tazzad tha

K Ussay pasand thein Shokhiyan

Or mujhe Sadgi pay naz tha


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:31 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Dil kay Kareeb aa ker Jab wo door ho gaye

Saray hassen khawab chakna choor ho gaye

Hum n Wafa nibhai tu boht Badnami milli

Jo Log Bay-Wafa tahy Wo Mahhoor ho gaye


usman_latif_ch 19-02-2009 07:20 PM

"Kbi Tum Milny Aao Na"
 
1 Attachment(s)
Attachment 4585
"Kbhi tum milny aao na"
Tumhen mehsos krna hy,
Tumhari zaat mein kho kr,
Tmhara hissa banna hy,
Tmhari veran aankho main,
Tmhari bikhri baton main,
wafa ka rang bhrna hai,
Tmhare phol chehre pr udasi ka jo manzar hai,
Yahan pr apni chahat se hansi ko naqsh krna hai,
"Kbi Tum Milny Aao Na"

Attachment 4585

Muzammil 19-02-2009 11:34 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Hum her baat ko khuda pe chor detay hain,
Tutay na dil kisi ka dil apna tor letay hain,
Hum bhi insaan hain pathar to nahi,
JO log her tufaan hamari janib mor detay hain....


Muzammil 19-02-2009 11:35 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do....
per itna bhi nahi kay usay Khuda kar do....
mat chaho kise ko tot kar itnay kay....
kay usay apni wafaoun say hi bay wafa kar do....


Qurrat-ul-ain 20-02-2009 12:26 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Khakh urti hai Raat bher mujh main

Kon phirta hain Dar-Ba-Dar mujh main

Mujh ko mujh main jaggah nahi milti....

Tu hai Mojood iss qaddar mujh main.!


.BZU. 20-02-2009 07:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
2 Attachment(s)

usman_latif_ch 20-02-2009 06:27 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4704

Hamare paas rahe wo ya kinara kar jaey
Udasion ka koi to chara kar jaey
Qatil pi to lia hai khushi se zehr-e-fraq
khuda kare k tabiyat gawarah kr jay.

Attachment 4704

Muzammil 21-02-2009 01:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Ye Meri Zid Hai Tujhay Tujhse Mangoon Warna
Khuda say mangoon To Tu Abhi mil Jaaye


All times are GMT +5. The time now is 09:04 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.