BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Aik Shair Aik Ahsaas (http://bzupages.com/391-aik-shair-aik-ahsaas/)
-   -   Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. (http://bzupages.com/f391/share-your-fav-poetry-muntakhib-ashaar-1331/)

usman_latif_ch 18-02-2009 08:22 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
1 Attachment(s)
Attachment 4494
Jb kabhi chahay Andheron main Ujalay Us nay,
Kr diya ghar Mera Sholon k hwale Us ne.
Us pe khull jati Mairay Shok ki shiddat sari,
Dekhay hotey jo Mairey Paon k Chalay Us ney.
Jis ka hr Aib Zmanay se Chupaya Main ney,
Merey Qissay Sarr-e-bazar Uchalay Us ney.
Jab Usay Meri Mohabbat pe bharosa hi na tha,
Kyun diye Meri wafaon kay hawalay us ney?
Ek Mera hath hi na Thama us ney MOHSIN..!
Warna Girtay huye kitnay he Sambhalay Us nye.
Attachment 4494

Muzammil 18-02-2009 05:22 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Main Uska Hoon, Ye Raaz To usne jaan Liya "Faraaz,.
Wo Kiska Ka Hai,. Ye Sawal Mujhe Sone Nahi Deta,.

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 02:27 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi milla hi nahi jiss ko Waffa daitay

Her ek nay Dhoka diya kis kis ko Sazza daitay

Yeh hamara zarf tha k! khamosh rahay werna!!!

Dastan sunnatay tu Mehfil ko rulla daitay....


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 02:29 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Jinhen saliqqa hai Tehzeeb-e-Ghamm samajhnay ka

Inhi kay ronay main Aansoo nazar nahi aatay

Khushi ki Aankh main aansoo ki jagah rakhna

Burray zamanay khabi pooch ker nahi aatay..

usman_latif_ch 19-02-2009 06:55 AM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Bekholos logon se ijtanab krna hy,
Muje apne rishtøn ka ehtasab krna hay
Usay bhool jana hay ya usay yad rkhna hay
Dukh to aik jesa hay bs intakhab krna hay!

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 03:42 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Koi milla hi nahi jiss ko Waffa daitay


Her ek nay Dhoka diya kis kis ko Sazza daitay


Yeh hamara zarf tha k! khamosh rahay werna!!!



Dastan sunnatay tu Mehfil ko rulla daitay....


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 04:37 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Mohabbat Mar Nahi sakti


Hazaron Dukh paray sehna , Mohabbat mar nahi sakti


Hai tum say bus yhi kehna , Mohabbat mar nahi sakti

Jahan main hain jab tak panchi chehektay, urtay phirtay hain

Hai jab tak Phool ka Khilna , Mohabbat mar nahi sakti

Qurrat-ul-ain 19-02-2009 04:52 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Rukkay tu Chand challe tu Hawaon jaisa hai

Wo Shaksh dhoop main dekho tu Chaaon jaisa hai.


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:00 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Shikway

Door reh ker qareeb kitnay thay

Faslay bhi ajeeb kitnay thay

Dard-e-Dil ki Dawa nahi werna!

Iss Jahan main Tabbeeb kitnay thay

Umer bher sath jo raha tere.....

Uss k achay Naseeb kitnay thay

Q na aai main tere Sapnon main

Mere Shikway Ajeeb kitnay thay


Qurrat-ul-ain 19-02-2009 06:10 PM

Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar.
 
Her addawat pay Mohabbat kjo sajja ker milna

Rasm-e-Dunya hai Haqeeqat ko chuppa ker milna

Jis ka kirdar hai Sittaron ki tarah Roshan

Kitna dushwar hai uss shaksh ko ja ker milna

Tum Mohabbat ko b fareb samajhtay ho Faraz!

Uss ki adda hai jab bhi milna niggahon ko jukkah ker milna.


All times are GMT +5. The time now is 01:34 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.