![]() |
pathar tha magar baraf ke galon ki tarah tha pathar tha magar baraf ke galon ki tarah tha Ik shakhs andheron mein ujalon ki tarah tha Khawabon ki tarah tha na khiyalon ki tarah tha Woh ilm_e_riyazi kay sawalon ki tarah tha Uljha hua aisa keh kabhee sulajh nahi paya Suljha hua aisa keh misalon ki tarah tha Woh mil to gaya tha magar apna hee mukaddar Shatranj ki uljhi hui chalon ki tarah tha |
| All times are GMT +5. The time now is 11:37 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.