BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   ~*~*Aaj Phir Shaam Dhalay~*~* (http://bzupages.com/f109/%7E%2A%7E%2Aaaj-phir-shaam-dhalay%7E%2A%7E%2A-11814/)

sadia 29-09-2010 01:21 PM

~*~*Aaj Phir Shaam Dhalay~*~*
 
:th_heart::th_heart::th_heart:Aaj pher shaam dhalay
pher wo he dard sa jaga hai ragon main meri
pher wohe aah nikli hai meray senay se
pher wohe khawaab se totay hain meri aankhon main
pher wohe dard ki talkhi hai meri baton main
pher wohe ashk se theray hain meri palkon par
pher wohe raat se jewan main utar aae hai
pher wohe aakhri manzar hai meri aankhon main
aaj pher shaam dhalay mujhay tum yaad aae ho:th_heart::th_heart::th_heart:


---------- Post added at 01:21 PM ---------- Previous post was at 01:07 PM ----------

Shaam Dhaley !*!

Chali aati hain dabey paaun teri yaaden shaam dhaley
ke hoti hai chiraghan dil ki mehfil shaam dhalley

Huay tum kin raahun ke musaafir,itna to bata deteyke lout aatey hain panchi bhi ghar ko shaam dhaley

Tere intazaar mein yoon har roz jhilmilati hain aankhen
ke jaise mazaar pe jalta hai koi diya shaam dhaley

Lout aaey na kahin takra ke arsh se duaa meridil se aati hai aksar yeh sadaa shaam dhaley

Teri doori ka gham sataata rehta hai musalsal mujh ko
tujh bin udaas si hoti hai fazaa shaam dhaley

Teri yaadun se bandhi rehti hai dil ki dharrkanhar dharrkan se tere naam ki aati hai sadaa shaam dhaley

Din ka koi pal bhi teri yaad se ghaafil nahi hota

teri kami ka magar hota hai ehsaas shaam dhaley :iark3o_th::iark3o_th::iark3o_th:

momna gull 29-09-2010 02:45 PM

Re: ~*~*Shaam Dhalay~*~*
 
chahat ka Ek meetha meetha, Dard Jagane
Sham Dhale
Teri Yaadain Ajati hain, Mujhe ko Rulane
Sham Dhale


Teri Zulfain in Kandhoon per, Tera Chehra
Hathoon mein
Mene bhi Dekhain hain Kitna Khuwab suhane
Sham Dhale


Her Din Hum se Wada karke, Yunhi ager Tarpaoge
Ek din Yunhi hojayenge, Hum bhi Deewane
Sham Dhale


Din ke Ujalon mein to Manaloon
Laakh Jatan se Behlaloon
Lekin Dil ka Pagal Panchi ek na Mane
Sham Dhale


All times are GMT +5. The time now is 04:16 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.