BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Islamic Speeches (http://bzupages.com/328-islamic-speeches/)
-   -   Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan (http://bzupages.com/f328/fazail-e-amaal-ki-haqiqat-sheikh-touseef-ur-rahmaan-10883/)

.BZU. 28-07-2010 08:31 PM

Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Raheel 29-07-2010 11:08 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Is molvi kay bayanat aksar mutafariqa hotay hain.... in ko siwaye apas main larnay kay doosra kam nahi or yeh log lartay lartay chalay jatay hain peechay poori ummat ko apas kay ikhtilafat per lara ker jatay hain i really hate them... is ki baton per mujhay Allama ka woh shair yad aya

Dil hai Musalman tera na mera,
Tu bhi namazi, main bhi namazi,

Main janta hun anjaam uss ka,
Jis maarkey main Mullah ho ghazi....

.BZU. 29-07-2010 11:27 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22887)
Is molvi kay bayanat aksar mutafariqa hotay hain.... in ko siwaye apas main larnay kay doosra kam nahi or yeh log lartay lartay chalay jatay hain peechay poori ummat ko apas kay ikhtilafat per lara ker jatay hain i really hate them... is ki baton per mujhay Allama ka woh shair yad aya

Dil hai Musalman tera na mera,
Tu bhi namazi, main bhi namazi,

Main janta hun anjaam uss ka,
Jis maarkey main Mullah ho ghazi....

Nahi, aisi baat nahi hay,
I was listening a speech of Molana Tariq Jameel last night, Jis ka Title hay:Gustakh wo ya Hum, (you can find it on internet), us main unhon nay challenge kia huya hay kay, meri yeh book parh ker mujhay bataya jaye ke is main kia ghalt hay.

that is the reason for this debate...
Aur is debate main Molana Sahab ki book kay screen shots ke saath batya giya hay kay haqeqat kia hay...

Raheel 29-07-2010 11:31 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Fazail e Amaal book Moulana Tariq Jamil ki to likhi howi nahi hay....woh challenge kesay ker saktay hain is book kay musanif Sheikh Zakariya Kandhelvi hain... or un ka intiqal howay zamana beet gaya...

.BZU. 29-07-2010 11:42 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22891)
Fazail e Amaal book Moulana Tariq Jamil ki to likhi howi nahi hay....woh challenge kesay ker saktay hain is book kay musanif Sheikh Zakariya Kandhelvi hain... or un ka intiqal howay zamana beet gaya...

chalin jo bhi hay,jis nay bhi bhi likhi hay, Molana Tariq jameel ney kaha tu hay na apni is speech main kay,

" Hum kehtay hay kay bas huamri book fazaile Amaal parhain, aur batain ke is main kia ghalat hay"

Raheel 29-07-2010 11:49 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Mainay ek bar facebook per ek thread dala tha mujhay yad nahi us main kiya tha... magar ap nay ek bat kahi thi kay yeh sab kernay say Islam or Musalman he badnam hotay hain.. Or yeh bat ap ki achi lagi thi mujhay... ap ki usi bat ko samnay rakh ker agar main ap kay is thread per nazar daloon to is main bhi mujhay siwaye Musalmano or Islam ki badnami kay or kuch nazar nahi ata bat yeh nahi kay haq per koun hay or koun nahi..

Bat yeh hay kay jo admi deen per chalta hay or usay yaqeen hay kay main Deen e Islam per hoon us deen per hoon jisay Rasoolullah Sallalaho Allaih Wasalam lay ker aye to usay apnay deen say itni fursat he na milay kay woh doosron kay deen main keeray nikalta phiray.... Musalmano ko is haal main lanay per sab say bara haath in molvion ka hay...

.BZU. 29-07-2010 06:41 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
1 Attachment(s)
Islam ki tableegh Muhammad SAW ne bhi ki thei. Keeray koi nahi nikaal raha hay kisi kay deen main, Aik Insan ki likhi hoi kitab ko Allah ki likhi hoi kitab say compare ker kay dikha raha hay ke, jis kitab ko ap loog quarn aur hadees samjh rahay hain, us main kia kuch Allah aur us kay rasool ke khilaf hay...

Kisi ko Allah aur rasool ke raastay (quran aur hadess) ke rastay ka naam hei tu tableegh hota hay...

Molana tariq jameel ki us taqreer ka wo wala part main nay yahan share kia hay...
aur end main yeh dua kia gai hay, (Ijtami dua ka koi reference kisi hades main nahi hay)
Jis ka Andaz ap khud sun ke batain, (Shirk tu nahi but Allah ki shaan main gustakhi hay)
kay kia Allah tala ko in Alam sahab nay daikha huya hay?(Ya Allah koi insan numa chez hay?) jo is tarah say dua maan rahay hain ke,
Ay Allah hum tere paon main par jaingay.
Tu Aaj ja zameen per Ay Allah,
Allah humain apni goud main lay lay..
Hum nay jhoot moot ki toba ki he, ay Allah tu aa ja aur qabool ker le...
Aisa bhi nahi kehna chahiye ke main jhooti toba ker raha hon. (Sachi toba kernay per Allah toba qabool bhi kerta hay...) :bad:
yeh wo dua hay..
Code:

http://www.islamimehfil.info//index.php?app=core&module=attach&section=attach&attach_rel_module=post&attach_id=25405

zahidsyed707 30-07-2010 07:13 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
nazia jubeen ko apne uncle per itna bahrosa hai toh in ko kaho keh munazara kerwa lein in molvi sahab ka or tariq jameel sahab ka.Allah say jo koi beh dua keray us ka or ALLAH TALLAH ka masla hai.kisi ko beh haq nahi keh woh kisi dosre ki dua per batein kerain.kiya pata kis ki dua kabool hoti hai.Or yaad rekhna jitne pasie in ko yeh biyaan kerne k liye mil rahey hain itna he aazaab in ko agaye ja ker hoga.or tum apne aap ko theek rekho kabhi tum kiya hoti ho or kabhi kiya.kal ko koi or aker kahey ga keh in sahab ki falaan book may kuch galat likha hai.or quran may kuch or likha hai.toh phir tum kiya kero gi.un k saath mil jao gi.ya phir in k saath rahoo gi.tumary jesie pagal buhot hain is duniya may.jo time time k saath badlte rehte hain.khud say ghar beth ker yeh batein kerna asaan hai.un logon say milo phir un ko batao keh yeh sahab ye farmate hain aap k baray.aap ka kiya kehna hai.dono ki baat suno.phir tum khud jaan jao gi.ghar beth ker aik recodeing sun ker faisla ker liya keh yahee theek hai.baki sub galat hain.humare bech may kafi hindu loog or yahodi loog humara deen seekh ker humarey bech may rehte hain.hum logon ko larwate hain.magar yeh batein tumhey nahi pata.bas suneee jao in ki or kuch nahi kerna hai tumhey.urtoon k huqooq pata hain ya nahi .islam may kiya kiya manah hai aik aurat k liye kiya jaiz hai or kiya najaiz.yeh batein perho or apni friends ko batao.yeh deen ka kaam hai.aesie say damag kharab ker diya hai tum ne.multan may ajaein gay sub.agar kuch galat post kiya yahaan per.phir tum ne bhagna hai agaye agaye.

Raheel 30-07-2010 10:03 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 22903)
Islam ki tableegh Muhammad SAW ne bhi ki thei. Keeray koi nahi nikaal raha hay kisi kay deen main, Aik Insan ki likhi hoi kitab ko Allah ki likhi hoi kitab say compare ker kay dikha raha hay ke, jis kitab ko ap loog quarn aur hadees samjh rahay hain, us main kia kuch Allah aur us kay rasool ke khilaf hay...

Kisi ko Allah aur rasool ke raastay (quran aur hadess) ke rastay ka naam hei tu tableegh hota hay...

Molana tariq jameel ki us taqreer ka wo wala part main nay yahan share kia hay...
aur end main yeh dua kia gai hay, (Ijtami dua ka koi reference kisi hades main nahi hay)
Jis ka Andaz ap khud sun ke batain, (Shirk tu nahi but Allah ki shaan main gustakhi hay)
kay kia Allah tala ko in Alam sahab nay daikha huya hay?(Ya Allah koi insan numa chez hay?) jo is tarah say dua maan rahay hain ke,
Ay Allah hum tere paon main par jaingay.
Tu Aaj ja zameen per Ay Allah,
Allah humain apni goud main lay lay..
Hum nay jhoot moot ki toba ki he, ay Allah tu aa ja aur qabool ker le...
Aisa bhi nahi kehna chahiye ke main jhooti toba ker raha hon. (Sachi toba kernay per Allah toba qabool bhi kerta hay...) :bad:
yeh wo dua hay..
Code:

http://www.islamimehfil.info//index.php?app=core&module=attach&section=attach&attach_rel_module=post&attach_id=25405

Yeh jo ap bata rahi hain Molvi sahab bhi yahi bata rahay hain.... just tell me one thing.. ap ko Tariq Jamil ki yeh bat pasand nahi ayee or baqol ap kay us nay gustakhi ki to ap nay us kay jawab main yeh 6 parts la ker rakh diye.. Kiya Tariq Jamil ki poori taqreer main koi ek bat aisi nahi jis say ap itifaq kerti hon ya ap kay Molvi sahab... ab koi ap say ya in Molvi sahab say yeh poochay kay jo batain in ki theek thi.. or ap ko us say itefaaq hay to us main say kitni batain aisi hain jis ko ba haisiat musalman honay kay ap nay promote kiya... koi bhi nahi ek bhi nahi becoz yahan Musalmano kay deen ko koi promote nahi kerna chahta... sab nam namood or shohrat kay liye hay... simple see ek misal daita hoon, meri kisi bat say ap ko itifaq na ho to is ka hal yeh hona chahaye jo Zahid syed sahab nay bataya kay ap mujh say us per behes kerain agar waqayee ap chahtay hain kay Islam ki woh bat jo main galat samjha hoon usay sahi say samajh jaoon or meri Islaah ho lekin agar ap ka maqsad Nam kamana hoga to simple tareeqa hay kisi masjid main ya road per tent laga ker logon ko jama kerain or batain kay falaan yun kehta hay or falaan yun.. Think about it....

.BZU. 30-07-2010 10:43 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
This debate is not for forcing you to leave your molvie,
this debate just showing all those things from that book, which you people are thinking is quran and hadis. nothing else.
na koi ap ke molvie ko kuch keh raha hay na hei koi ap ke andar larai kerwa ker keh raha hay ke ap apna deen lazmi chhor ker quran aur hadess per amal karna shuru karain,
Ap ko Quran aur hadis ko follow kerna hay tu ap karain
ya Apko fazaile Amaal ko follow kerna tu bhi ap karain, but fazale amal main buhut kuch anti islamic aur mann ghart likha huya hay, jis ka quran aur hadess say koi wasta bhi nahi hay..
-----------
About dua, Mr zahid.... I know kay dua Allah qabool kerta hay, just tell me any hadis or ayat, which is showing , ke ijtamai dua kerna chahiye, aik tu ijtamai dua ho rahay hai (apni ghari hoi bidat) dosra us main Allah ko aik insan samjh ker pokara ja raha hay. aur yeh bhi kaha ja raaha hay, ky hum jo bhi tobba ker rahay hain yeh jhoti tooba hay,
Quran main Allah farmata hay, ke agr jiu sachay dil say sachi tooba ker lay, aur dobara aisa kernay say ruk bhi jaye tu Allah tobba qabool farmata hay....

Quran ya hadis main kahin per mujhy yeh likha dikha dain kay nabi SAW nay Allah ki bargah main jhooti toba ki ho, aur yeh umeed rakhi ho ke Allah meri toba qabool farmaye ga...
never ever...

Dua ko chhorain, tariq jamel sb ki usi speech main sunain, he is saying humain ya muhammad nahi balkay, Ya rasool , Ya nabi, Ya muzamil, ya Mubashir keh kar pokarana chahiye...

jabkay quran majeed main muhammad SAW se Allah nay khud kehlwaya ke Ap inlogon say keh deain kay main tumharay nafa nuqsan ka kuch ikhteyar nahi rakhta, yeh baat maloom honay ke bad bhi logon koi ya rasool pokarnay ki tableegh kerna kahan ka insaf hay?
what you wana say, quran ko nahi mantay, fazaile amal ko mantay hain...
=========
About same things ..
Abu jehil bhi muhammad SAW ko manta tha, sab kuch tasleem kerta tha. but sirf kalma nahi perhta tha, Allah ko wahid ul qahar nahi mannata tha, but wo mushrkeen e Makkah tha...
Mushreken Makah ka bhu kuch deen Muhammad SAW ke deen say milta julta tha, but wo saath main shareek thehratay thay..
=============
Jaisay kay is fazele ammal main kaafi jaga per shirkia chezain likhi hoi hay,,
========

momna gull 30-07-2010 11:04 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
ye jhoooti tobaa wali baat to muje bhi samaj nahi aayi
ya to toba hoti hai ya nahi hoti
jhooti sachi tobaa ka concept to bilkul naya le aye hain log

Raheel 30-07-2010 11:08 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 22921)
This debate is not for forcing you to leave your molvie,
this debate just showing all those things from that book, which you people are thinking is quran and hadis. nothing else.
na koi ap ke molvie ko kuch keh raha hay na hei koi ap ke andar larai kerwa ker keh raha hay ke ap apna deen lazmi chhor ker quran aur hadess per amal karna shuru karain,
Ap ko Quran aur hadis ko follow kerna hay tu ap karain
ya Apko fazaile Amaal ko follow kerna tu bhi ap karain, but fazale amal main buhut kuch anti islamic aur mann ghart likha huya hay, jis ka quran aur hadess say koi wasta bhi nahi hay..
-----------
Mushreken Makah ka bhu kuch deen Muhammad SAW ke deen say milta julta tha, but wo saath main shareek thehratay thay..
=============
Jaisay kay is fazele ammal main kaafi jaga per shirkia chezain likhi hoi hay,,
========

So u think that i want you to leave your molvi.. nahi mujhay na ap kay molvi say koi wasta hay na koi tariq jamil sahab say... main is debate ka maqsad bata raha hoon... kay is ka natija kiya hay... siwaye information kay or dilon main nafrat kay is ka kuch natija nahi…. Main phir wahi bat kerunga ek admi jis ko Islam ki fikar ho or logon say hamdardi ho kay yeh log galat samajh bhoojh kay saath mar gaye to jahanum main jayengay.. who shaks un ki baton ko lay ker public main nahi uchalay ga un ko samjhanay ki koshish kerega… Allah say ro ro ker mangay ga kay in ko hidayat day day in ko sahi deen samjha day… magar yahan jo kuch ho raha hay yeh just ek doosray per kufr kay fatway hain… sahi ki parwa kisi ko nahi just galat ko uchala jata hay…

Or mushrikeen makkah ka jo deen Ap SAW kay deen say milta julta tha wo kiya tha us ki missal day sakti hain jis ko shareek thehraya gaya ?

.BZU. 30-07-2010 01:02 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
1 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22924)

Yeh dillon main nafrat hay?
tu Muhammad ur rasool ullah and sahaba karam ke mission ko kia kahain gay aap?
Unki tableegh sun ker bhi loog Dushman ho gay thay, nafrat kertay thay app saw say. ap ko pathr mar mar ker laho luhaan ker dia tha unhon nay :(

aur yahan kufar ke fatway koi khud say nahi laga raha hay is speech main,
Quran aur hadess laga rahay hain... kisi ko koi haq bhi nahi hay ke wo kisi ke oper khud say kufar ka fatwa laga day..:disgust:
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22924)
Or mushrikeen makkah ka jo deen Ap SAW kay deen say milta julta tha wo kiya tha us ki missal day sakti hain jis ko shareek thehraya gaya ?

Ap ko itna bhi nahi pata?:argue:
Allah ke saath saath wo butoon Waliyon (jin ke unhon ne 365 butt bana rakhay thay) aur butoon ki ko bhi mushkil kusha samjhtay thay.. dosrai hastiyon ko pokara kertay thay...

Attachment 18308
Jaisay is book fazile amaal main tableegh ki gai hay...

read above, what was their deen...

Raheel 30-07-2010 01:12 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 22925)
Yeh dillon main nafrat hay?
tu Muhammad ur rasool ullah and sahaba karam ke mission ko kia kahain gay aap?

Ap ko itna bhi nahi pata?:argue:

Allah ke saath saath wo butoon Waliyon (jin ke unhon ne 365 butt bana rakhay thay) aur butoon ki ko bhi mushkil kusha samjhtay thay.. dosrai hastiyon ko pokara kertay thay...
read above, what was their deen...

Attachment 18308
Jaisay is book fazile amaal main tableegh ki gai hay...

Acha to ap yeh kehna chah rahi hain kay yeh Molvi Sahab Huzoor SAW or Sahaba Kiram kay mission per hain... or un ka mission yeh tha kay jo bat sahi ho us ka parchar mat kero us per chup saadh lo.. or jo bat sahi na ho to us kay khilaf chand log ikhatay ker kay or bayan bazi kero... ?

Ap ko itna bhi nahi pata? Good Joke...

Pehlay sawal samjhain phir bat kerain.. mainay poocha hay woh batain jo un kay (Mushrikeen e Makkah) or hamaray deen main mushtarika thin .. woh mushtarik batain kiya thi ?

.BZU. 30-07-2010 01:22 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
3 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22926)
Acha to ap yeh kehna chah rahi hain kay yeh Molvi Sahab Huzoor SAW or Sahaba Kiram kay mission per hain... or un ka mission yeh tha kay jo bat sahi ho us ka parchar mat kero us per chup saadh lo.. or jo bat sahi na ho to us kay khilaf chand log ikhatay ker kay or bayan bazi kero... ?

Seedhi batain bhi ki hain,
:13:, :13:so you belive fazaile amaal aik seedhi baat nahi hay,..
lol:thinking::happydance:
yeh haq baton ko parchar hay..
Qabar Parasti? ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Kya Wasile Ke Baghair Dua Kabool Nahi Hoti ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Auliya Allah Kaun......; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Masjid Ki Shaan ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Seerat-e-Usmaan (RA); Sheikh Tauseef Ur Rehman
aur fazale amal aik ke andar say shirk wali batain point out kerna logon ko samjhana bhi haq ka parchar hota hay...
batil baat ka nahi... :salam

Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22926)
Ap ko itna bhi nahi pata? Good Joke...

Pehlay sawal samjhain phir bat kerain.. mainay poocha hay woh batain jo un kay (Mushrikeen e Makkah) or hamaray deen main mushtarika thin .. woh mushtarik batain kiya thi ?

yeh tu quran se main nay qoute kia hay kay kia differece tha.. (Wo sahaba ki terah Allah ko bhi mantay thay) ap nay koi aik same baat ka kaha hay.. aur yeh koi aik same bat ap quran majeed main daikh lain ke kia same tha...
for more listen this speech..
Ummat-E-Muhammad(SAW) Aur Shirk ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Mushrik aur Mommin

Raheel 30-07-2010 01:35 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 22927)
Seedhi batain bhi ki hain,
:13:, :13:so you belive fazaile amaal aik seedhi baat nahi hay,..
lol:thinking::happydance:
yeh haq baton ko parchar hay..
Qabar Parasti? ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Kya Wasile Ke Baghair Dua Kabool Nahi Hoti ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Auliya Allah Kaun......; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Masjid Ki Shaan ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Seerat-e-Usmaan (RA); Sheikh Tauseef Ur Rehman
aur fazale amal aik ke andar say shirk wali batain point out kerna logon ko samjhana bhi haq ka parchar hota hay...
batil baat ka nahi... :salam

yeh tu quran se main nay qoute kia hay kay kia differece tha.. (Wo sahaba ki terah Allah ko bhi mantay thay)
for more listen this speech..
Ummat-E-Muhammad(SAW) Aur Shirk ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Mushrik aur Mommin

You are repeating same thing... main ab bhi usi per qaim hoon kay yeh sab is ka hal nahi hay... kisi kay khilaf koi bat kerna aisi jaga jahan per wo mojood nahi hay, jahan us say safayee nahi li ja sakti ya us say behes nahi ki ja sakti... to is ka phir akhir maqsad kiya hay..

Just tell me one thing... Meri or ap ki yeh sari behes ek taraf sirf yeh videos jo ap nay rakhi hain wo koi non muslim dekhega to Islam kay baray main us ki raye kiya hogi...

Is ko bhi chor dain Islam main kitnay firqay hain konsay firqay ka kis say kiya ikhtilaf hay yeh sab yahoodi or christian bhi jantay hain... kiya ap janti hain Christianity kay kitnay firqay hain or un main apas main kia ikhtilafat hain.. nahi janti hongi coz wo hamari tarah yeh sab harkatain nahi kertay un ki debates face to face hoti hain apnay apnay followers ko lay ker nahi...

.BZU. 30-07-2010 01:43 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22928)

Islam kehta hay ke firqa na banao, tu phir yeh firqay kiyon?
Islam kehta hay deen main shirk na phailo, tu yeh shirk kiyon?
Agar agar koi banda shirk ker raha hay, aur quran majeed ko chhor raha hay, tu kia wo firqa bana kar apnay apko muslim kehlwa sakta hay?
no nahi
shirk kernay wala shirk ko chhoray bagher muslim kehla hei nahi sakta.

is video main ghair islamic book main , book ke followers kay kehnay per hei point out kia gia hay, na kay kisi yahoodi ya christen ke kenay per..

Islam ke baray main non muslim ki raye?
hmmm
kia yeh video ghair islami hain jo main nay share ki hain? ap bhi point out kerain na ke kia ghair islami hain in videos main... non muslim to baad main kertay rahay gay point out..
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22928)
You are repeating same thing... main ab bhi usi per qaim hoon kay yeh sab is ka hal nahi hay... kisi kay khilaf koi bat kerna aisi jaga jahan per wo mojood nahi hay, jahan us say safayee nahi li ja sakti ya us say behes nahi ki ja sakti... to is ka phir akhir maqsad kiya hay...

is ka maqsd sirf itna hay key agar ap quran ko chhor kar is book ko parhna bhi chah rahay hain tu is main say jo shirka aur mann gharat baatain likhi hoi hain, un per yaqeen na karain, baaqi batain jo theek hay unko beshak taslem kerain

thecool 30-07-2010 02:12 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Closing this thread, right now
@bzu, jao shaabash namaaz perh ker ao. qaza hone wali ha..

usman_latif_ch 30-07-2010 06:42 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
agar kahin kuch galat ho raha ha or koi kisi aesi bat ko phela raha ha jo k hamare deen mein nahi tu yeh hr ek muslim pr farz ha ko wsko roka jye or asal haqeeqat ko phelaya jye....or agar koi mamolli bat ho tu alag bat ha laqin kuch aesi batain jo direct hamari deen ko begarny ka sabab ban sakti hain unko rokna farz he ha hm sb pr

isski simple misal aesy he ha jesy "Qadiyani Sect" unki bhi bohat si batain aesy tu haary deen k mutabiq hain , koofar ki bohat si batain bhi hamry deen k mutabiq hain, issi terhan dosry bohat sy adyan ki batain bhi hamary deen k mutabiq hain tu kya hm unki aesi baton ko ignore kr k jo direct hamary deen k khelaf hain un k achy pehlo phelana shuru kr dayn

(Raheel>) tu phir unko kyoun banned kiya gaya ha tu phir agar unki kisi bat sy b kisi ko ektalaf ha tu ja kr direct un sy behas ker liya kero kyoun banned kiya ha unko or un ki achi batain un k name sy phelaya kero.

---------- Post added at 06:42 PM ---------- Previous post was at 06:39 PM ----------

achi baton ko phelany k sath sath buri baton ko rokna b hamary deen ka hissa ha...
iss alim ka or hm sb ka bhi yehi farz ha agar kahin b koi b koi galat baat phela raha ha ...yan kisi b zaryeh sy koi galat bat phayl rahi ha tu wski tahqeeq kr k wsbat ko phelny sy roka jye or logon ko aware kiya jye or yehi yeh molvi sb ker rahy hain

All times are GMT +5. The time now is 08:59 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.