BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Islamic Speeches (http://bzupages.com/328-islamic-speeches/)
-   -   Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan (http://bzupages.com/f328/fazail-e-amaal-ki-haqiqat-sheikh-touseef-ur-rahmaan-10883/)

momna gull 30-07-2010 11:04 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
ye jhoooti tobaa wali baat to muje bhi samaj nahi aayi
ya to toba hoti hai ya nahi hoti
jhooti sachi tobaa ka concept to bilkul naya le aye hain log

Raheel 30-07-2010 11:08 AM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 22921)
This debate is not for forcing you to leave your molvie,
this debate just showing all those things from that book, which you people are thinking is quran and hadis. nothing else.
na koi ap ke molvie ko kuch keh raha hay na hei koi ap ke andar larai kerwa ker keh raha hay ke ap apna deen lazmi chhor ker quran aur hadess per amal karna shuru karain,
Ap ko Quran aur hadis ko follow kerna hay tu ap karain
ya Apko fazaile Amaal ko follow kerna tu bhi ap karain, but fazale amal main buhut kuch anti islamic aur mann ghart likha huya hay, jis ka quran aur hadess say koi wasta bhi nahi hay..
-----------
Mushreken Makah ka bhu kuch deen Muhammad SAW ke deen say milta julta tha, but wo saath main shareek thehratay thay..
=============
Jaisay kay is fazele ammal main kaafi jaga per shirkia chezain likhi hoi hay,,
========

So u think that i want you to leave your molvi.. nahi mujhay na ap kay molvi say koi wasta hay na koi tariq jamil sahab say... main is debate ka maqsad bata raha hoon... kay is ka natija kiya hay... siwaye information kay or dilon main nafrat kay is ka kuch natija nahi…. Main phir wahi bat kerunga ek admi jis ko Islam ki fikar ho or logon say hamdardi ho kay yeh log galat samajh bhoojh kay saath mar gaye to jahanum main jayengay.. who shaks un ki baton ko lay ker public main nahi uchalay ga un ko samjhanay ki koshish kerega… Allah say ro ro ker mangay ga kay in ko hidayat day day in ko sahi deen samjha day… magar yahan jo kuch ho raha hay yeh just ek doosray per kufr kay fatway hain… sahi ki parwa kisi ko nahi just galat ko uchala jata hay…

Or mushrikeen makkah ka jo deen Ap SAW kay deen say milta julta tha wo kiya tha us ki missal day sakti hain jis ko shareek thehraya gaya ?

.BZU. 30-07-2010 01:02 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
1 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22924)

Yeh dillon main nafrat hay?
tu Muhammad ur rasool ullah and sahaba karam ke mission ko kia kahain gay aap?
Unki tableegh sun ker bhi loog Dushman ho gay thay, nafrat kertay thay app saw say. ap ko pathr mar mar ker laho luhaan ker dia tha unhon nay :(

aur yahan kufar ke fatway koi khud say nahi laga raha hay is speech main,
Quran aur hadess laga rahay hain... kisi ko koi haq bhi nahi hay ke wo kisi ke oper khud say kufar ka fatwa laga day..:disgust:
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22924)
Or mushrikeen makkah ka jo deen Ap SAW kay deen say milta julta tha wo kiya tha us ki missal day sakti hain jis ko shareek thehraya gaya ?

Ap ko itna bhi nahi pata?:argue:
Allah ke saath saath wo butoon Waliyon (jin ke unhon ne 365 butt bana rakhay thay) aur butoon ki ko bhi mushkil kusha samjhtay thay.. dosrai hastiyon ko pokara kertay thay...

Attachment 18308
Jaisay is book fazile amaal main tableegh ki gai hay...

read above, what was their deen...

Raheel 30-07-2010 01:12 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 22925)
Yeh dillon main nafrat hay?
tu Muhammad ur rasool ullah and sahaba karam ke mission ko kia kahain gay aap?

Ap ko itna bhi nahi pata?:argue:

Allah ke saath saath wo butoon Waliyon (jin ke unhon ne 365 butt bana rakhay thay) aur butoon ki ko bhi mushkil kusha samjhtay thay.. dosrai hastiyon ko pokara kertay thay...
read above, what was their deen...

Attachment 18308
Jaisay is book fazile amaal main tableegh ki gai hay...

Acha to ap yeh kehna chah rahi hain kay yeh Molvi Sahab Huzoor SAW or Sahaba Kiram kay mission per hain... or un ka mission yeh tha kay jo bat sahi ho us ka parchar mat kero us per chup saadh lo.. or jo bat sahi na ho to us kay khilaf chand log ikhatay ker kay or bayan bazi kero... ?

Ap ko itna bhi nahi pata? Good Joke...

Pehlay sawal samjhain phir bat kerain.. mainay poocha hay woh batain jo un kay (Mushrikeen e Makkah) or hamaray deen main mushtarika thin .. woh mushtarik batain kiya thi ?

.BZU. 30-07-2010 01:22 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
3 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22926)
Acha to ap yeh kehna chah rahi hain kay yeh Molvi Sahab Huzoor SAW or Sahaba Kiram kay mission per hain... or un ka mission yeh tha kay jo bat sahi ho us ka parchar mat kero us per chup saadh lo.. or jo bat sahi na ho to us kay khilaf chand log ikhatay ker kay or bayan bazi kero... ?

Seedhi batain bhi ki hain,
:13:, :13:so you belive fazaile amaal aik seedhi baat nahi hay,..
lol:thinking::happydance:
yeh haq baton ko parchar hay..
Qabar Parasti? ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Kya Wasile Ke Baghair Dua Kabool Nahi Hoti ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Auliya Allah Kaun......; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Masjid Ki Shaan ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Seerat-e-Usmaan (RA); Sheikh Tauseef Ur Rehman
aur fazale amal aik ke andar say shirk wali batain point out kerna logon ko samjhana bhi haq ka parchar hota hay...
batil baat ka nahi... :salam

Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22926)
Ap ko itna bhi nahi pata? Good Joke...

Pehlay sawal samjhain phir bat kerain.. mainay poocha hay woh batain jo un kay (Mushrikeen e Makkah) or hamaray deen main mushtarika thin .. woh mushtarik batain kiya thi ?

yeh tu quran se main nay qoute kia hay kay kia differece tha.. (Wo sahaba ki terah Allah ko bhi mantay thay) ap nay koi aik same baat ka kaha hay.. aur yeh koi aik same bat ap quran majeed main daikh lain ke kia same tha...
for more listen this speech..
Ummat-E-Muhammad(SAW) Aur Shirk ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Mushrik aur Mommin

Raheel 30-07-2010 01:35 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 22927)
Seedhi batain bhi ki hain,
:13:, :13:so you belive fazaile amaal aik seedhi baat nahi hay,..
lol:thinking::happydance:
yeh haq baton ko parchar hay..
Qabar Parasti? ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Kya Wasile Ke Baghair Dua Kabool Nahi Hoti ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Auliya Allah Kaun......; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Masjid Ki Shaan ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Seerat-e-Usmaan (RA); Sheikh Tauseef Ur Rehman
aur fazale amal aik ke andar say shirk wali batain point out kerna logon ko samjhana bhi haq ka parchar hota hay...
batil baat ka nahi... :salam

yeh tu quran se main nay qoute kia hay kay kia differece tha.. (Wo sahaba ki terah Allah ko bhi mantay thay)
for more listen this speech..
Ummat-E-Muhammad(SAW) Aur Shirk ; Sheikh Tauseef Ur Rehman
Mushrik aur Mommin

You are repeating same thing... main ab bhi usi per qaim hoon kay yeh sab is ka hal nahi hay... kisi kay khilaf koi bat kerna aisi jaga jahan per wo mojood nahi hay, jahan us say safayee nahi li ja sakti ya us say behes nahi ki ja sakti... to is ka phir akhir maqsad kiya hay..

Just tell me one thing... Meri or ap ki yeh sari behes ek taraf sirf yeh videos jo ap nay rakhi hain wo koi non muslim dekhega to Islam kay baray main us ki raye kiya hogi...

Is ko bhi chor dain Islam main kitnay firqay hain konsay firqay ka kis say kiya ikhtilaf hay yeh sab yahoodi or christian bhi jantay hain... kiya ap janti hain Christianity kay kitnay firqay hain or un main apas main kia ikhtilafat hain.. nahi janti hongi coz wo hamari tarah yeh sab harkatain nahi kertay un ki debates face to face hoti hain apnay apnay followers ko lay ker nahi...

.BZU. 30-07-2010 01:43 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22928)

Islam kehta hay ke firqa na banao, tu phir yeh firqay kiyon?
Islam kehta hay deen main shirk na phailo, tu yeh shirk kiyon?
Agar agar koi banda shirk ker raha hay, aur quran majeed ko chhor raha hay, tu kia wo firqa bana kar apnay apko muslim kehlwa sakta hay?
no nahi
shirk kernay wala shirk ko chhoray bagher muslim kehla hei nahi sakta.

is video main ghair islamic book main , book ke followers kay kehnay per hei point out kia gia hay, na kay kisi yahoodi ya christen ke kenay per..

Islam ke baray main non muslim ki raye?
hmmm
kia yeh video ghair islami hain jo main nay share ki hain? ap bhi point out kerain na ke kia ghair islami hain in videos main... non muslim to baad main kertay rahay gay point out..
Quote:

Originally Posted by Raheel (Post 22928)
You are repeating same thing... main ab bhi usi per qaim hoon kay yeh sab is ka hal nahi hay... kisi kay khilaf koi bat kerna aisi jaga jahan per wo mojood nahi hay, jahan us say safayee nahi li ja sakti ya us say behes nahi ki ja sakti... to is ka phir akhir maqsad kiya hay...

is ka maqsd sirf itna hay key agar ap quran ko chhor kar is book ko parhna bhi chah rahay hain tu is main say jo shirka aur mann gharat baatain likhi hoi hain, un per yaqeen na karain, baaqi batain jo theek hay unko beshak taslem kerain

thecool 30-07-2010 02:12 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
Closing this thread, right now
@bzu, jao shaabash namaaz perh ker ao. qaza hone wali ha..

usman_latif_ch 30-07-2010 06:42 PM

Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan
 
agar kahin kuch galat ho raha ha or koi kisi aesi bat ko phela raha ha jo k hamare deen mein nahi tu yeh hr ek muslim pr farz ha ko wsko roka jye or asal haqeeqat ko phelaya jye....or agar koi mamolli bat ho tu alag bat ha laqin kuch aesi batain jo direct hamari deen ko begarny ka sabab ban sakti hain unko rokna farz he ha hm sb pr

isski simple misal aesy he ha jesy "Qadiyani Sect" unki bhi bohat si batain aesy tu haary deen k mutabiq hain , koofar ki bohat si batain bhi hamry deen k mutabiq hain, issi terhan dosry bohat sy adyan ki batain bhi hamary deen k mutabiq hain tu kya hm unki aesi baton ko ignore kr k jo direct hamary deen k khelaf hain un k achy pehlo phelana shuru kr dayn

(Raheel>) tu phir unko kyoun banned kiya gaya ha tu phir agar unki kisi bat sy b kisi ko ektalaf ha tu ja kr direct un sy behas ker liya kero kyoun banned kiya ha unko or un ki achi batain un k name sy phelaya kero.

---------- Post added at 06:42 PM ---------- Previous post was at 06:39 PM ----------

achi baton ko phelany k sath sath buri baton ko rokna b hamary deen ka hissa ha...
iss alim ka or hm sb ka bhi yehi farz ha agar kahin b koi b koi galat baat phela raha ha ...yan kisi b zaryeh sy koi galat bat phayl rahi ha tu wski tahqeeq kr k wsbat ko phelny sy roka jye or logon ko aware kiya jye or yehi yeh molvi sb ker rahy hain

All times are GMT +5. The time now is 01:53 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.