BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Chit Chat (http://bzupages.com/3-chit-chat/)
-   -   No future bechare bachay (http://bzupages.com/f3/no-future-bechare-bachay-14001/)

Salman Mushtaq 07-02-2011 06:57 PM

No future bechare bachay
 
7 Attachment(s)
Asalam U Alaikum !

Ajj main apnay ghar k sath aik groud main ja raha tha tou daikha k kuch bachay baray shooq say cricket khel rahay hain

Attachment 22081

Attachment 22082

Attachment 22083

Attachment 22084

Attachment 22085

Attachment 22086

Attachment 22087

main nay aik bachay say pocha k tum kiyun kheltay hu us nay kaha k mujay apnay mulq k liyay kuch karna hai world cup jitwana hai ..., mujay rona a gaya kiyun k pak cricket k baray main jo mujay maloom hai wo us bachay ko nahi maloom k Pak cricket team ab finished hu gai hai aur jab tak yay bacha bara hu ga Pak main cricket bilkul khatam hu gai hu kiyun k Pak team nalaiq hai ... beqaar hai itni beqaar hai k captancy k liyay aik dosre say larti rehti hai lakin in sab main un bachun ka kiya kasoor jo 24 ghanatun main 8 ghanatay cricket khaltay han ,, yay sab Pak cricket team ka kasoor hai ,,....:24_shocked:

BSIT07-01 07-02-2011 07:43 PM

Re: No future bechare bachay
 
yup, lekin hum worldcup jeetain gay :p :headbang::beerbangX:

aur koi ni tu 92 wala dobara jeet lain gay :D

---------- Post added at 07:43 PM ---------- Previous post was at 07:42 PM ----------

yup, lekin hum worldcup jeetain gay :p :headbang::beerbangX:

aur koi ni tu 92 wala dobara jeet lain gay :D

bonfire 07-02-2011 10:06 PM

Re: No future bechare bachay
 
I don't agree.

Ho sakta hai yeh bacha anay wala Javed Miandad, Imran Khan ya Waseem banay, Jo huamray lia World Cup lai.


""main nay aik bachay say pocha k tum kiyun kheltay hu us nay kaha k mujay apnay mulq k liyay kuch karna hai world cup jitwana hai ..., mujay rona a gaya""

hahahah Mujay rona a gaya, yaar tum itni tension ka lia karo Jo hoga inshallah acha ho ga. Bass :heartpump:Pakistan:heartpump: k Haq main dua kia karo.

usman_latif_ch 07-02-2011 10:27 PM

Re: No future bechare bachay
 
bilkul bonefire agreeed...yeh salma api ko bas keeray nikalny k elawa kuch nahi ata.....

.BZU. 07-02-2011 11:08 PM

Re: No future bechare bachay
 
Quote:

Originally Posted by Salman Mushtaq (Post 29936)
beqaar hai itni beqaar hai k captancy k liyay aik dosre say larti rehti hai lakin in sab main un bachun ka kiya kasoor jo 24 ghanatun main 8 ghanatay cricket khaltay han ,, yay sab Pak cricket team ka kasoor hai ,,....

:banghead:then aap ka kia problem hay, jo ap (baqol ap ke) beqar si cricket ke pechay comments ker rahay hain.ap MTB say MIT krain bas.. aur World Cup ki aik news bhi na sunna.. OK...:info::abat:

BSIT07-01 07-02-2011 11:38 PM

Re: No future bechare bachay
 
bas bhi karo :p us becharay ne bari mushkil se pics banai hain aur itna sara likha bhi hay :D har waqt us k pechay par jatay ho sab :kickass::smilestar:

Salman Mushtaq 08-02-2011 08:36 AM

Re: No future bechare bachay
 
thanks BSIT bhai app nay meri thori si cide li ,,... daikhain mujay bhi cricket pasand hai aur jaisa k bonfire bhai nay kaha k hu sachta hai k yay bachay javiad , waseen , waqar banay aur world cup win karain hu sachta hai but mujay nahi lagta bcoz main nay aik short documentry video tayar ki hai jis main main nay nuw generation bachun sau sawalat kiyay jis main 60 % bachun nay kaha hum paisa kamanay k liyay khailain gay main wo video jald hi upload kar doun ga ,,... phir mujay is bat ka ahsaas hua k 1992 main imran , waseem ,, javaid bhai paisay k liyay nahi country k liyay kheltay thay magar ajj hamari team paisay k liyay khelti hai is ka jita jagta saboot match fixing k waqait hain aur yay app sab ba khubi jantay hain k tali 2 hath say bachti hai Pak team zaroor is main involve hu gi etc ... jitna paisa crickrt par lagaya ja raha hai agar utna hi paisa hockey par Pak lagae tou hum world main apna aik aur record aur naam bana sachtay han ... yay sab detail main nay video main record ki hai but masla yay hai k us ka embeded code kahian say loun so please tell me than i upload that video jis main app mujay live daikh sachtay hain:rollinglaugh: hi ho hahhahahahhaha:rollinglaugh:

.BZU. 08-02-2011 08:55 AM

Re: No future bechare bachay
 
:027:who said ke wo paison kay liye nahi khaily thay..
winner ko paisay tu miltay hain aur kia milta hay...
agar wo na jeet tay tu unko orld cup aur paisay na miltay...


:doll2:

---------- Post added at 08:55 AM ---------- Previous post was at 08:53 AM ----------

Quote:

Originally Posted by Salman Mushtaq (Post 29984)
yay sab detail main nay video main record ki hai but masla yay hai k us ka embeded code kahian say loun so please tell me than i upload that video jis main app mujay live daikh sachtay hain hi ho hahhahahahhaha

youtube per upload krwa ker yahan share ker dain...

Salman Mushtaq 08-02-2011 02:25 PM

Re: No future bechare bachay
 


---------- Post added at 02:22 PM ---------- Previous post was at 02:10 PM ----------



---------- Post added at 02:25 PM ---------- Previous post was at 02:22 PM ----------

hahhahahahahhahhahhahaha mujay apnay app par buhat hansi a rahi hai hahhahahaha

BSIT07-01 08-02-2011 04:24 PM

Re: No future bechare bachay
 
Salman... aap akelay ni ho ... humain bhi hansi aa rahi hay :D :rollinglaugh:
aap ne tu balochistan ko bhi jeetnay walon ki list me daal dia :D:rollinglaugh:

Salman Mushtaq 09-02-2011 09:29 AM

Re: No future bechare bachay
 
aray wo kafiyay milane k liyay dal diya tha bhai

sanazahid 09-02-2011 10:57 AM

Re: No future bechare bachay
 
:_abzw:very funy

BSIT07-01 09-02-2011 10:48 PM

Re: No future bechare bachay
 

.BZU. 09-02-2011 11:42 PM

Re: No future bechare bachay
 
last walay bachy ko bari mushkil say salman ne manaya ke wo yeh kahay kay Pakistan har jaye ga.:tickedoff::1poke:

Salman Mushtaq 10-02-2011 09:11 AM

Re: No future bechare bachay
 
us nay apni marzi say kaha tha g:tearhairout:

Salman Mushtaq 15-04-2011 10:08 AM

Re: No future bechare bachay
 
hahahahhahah o janab daikhain is main post main meri post ki hui last wali video ,, is main main nay fiyaz bhai say pocha k is bar Pak worldcup jitay ga ya nahi yay world cup say phelay ki bat hai agar app logoun ko yad hu tou ,, unhun nay kaha k nahi jeetay ga ,, huhuhuhu meri pochi hui bat sachi hu gai wah wah kiyun k main always logic wali bat karta hun main nay kaha tha na k Pak nahi jitay ga ,, bas ab yaqeen a gaya main sach bolta aur bolwata aur pochta hun:smilestar:

bonfire 15-04-2011 12:56 PM

Re: No future bechare bachay
 
hahahahahahah Astaqfirullah. :deadhorse:

Lecture. Koi haal nahi hai.


http://i55.tinypic.com/5v59pv.jpg

Salman Mushtaq 16-04-2011 08:53 AM

Re: No future bechare bachay
 
g g bilkul bhai main tou bas BZU ki batun main a gaya tha ,, main tou phelay bhi kheta tha Pak team fazool hai bas app log hi meri bat nahi mantay thay aur Pak zindabad kartay rehtay thay abhi kahain gum hu gay Pak team k deewanay BZU kahain hain app .,.,.:th_laughing:

bonfire 16-04-2011 10:33 AM

Re: No future bechare bachay
 
hahahahahah Khuda ka naam mano yaar, Itni achi performance to di ha Unho nay.

Salman Mushtaq 16-04-2011 10:01 PM

Re: No future bechare bachay
 
par us performance ka hum kiya karain ,, yar final har jata ... semifinal tou na harta


All times are GMT +5. The time now is 10:00 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.