![]() |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Mujhay chor day meray hal per, Tera kiya bharosa ay ajnabi, Teri mukhtasar si nawazishain, Mera dard aur bhara na dain... ---------- Post added at 02:57 PM ---------- Previous post was at 01:07 PM ---------- Zinda thay to kisi nay na poocha Halat-e-Jigar, Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aa gaye, Chor ker duniya ko madhosh howay thay hum, Wo najanay kiya soch kay hum ko jaganay aa gaye, Na janay kis say poocha hay Wafa nay pata mera, Hamari Qabr pay bhi hum ko jaganay aa gaye, Hum to andhairay main sonay kay aadi thay, Or wo bewafa qabr per diya jalanay aa gaye, Zinda tha to ek nazar na dekha piyar say FARAZ, Mar gaye hain to ab Qabr per aansu bahanay aa gaye.. |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Dhoka diya tha jab tum nay mujhay Dil se me naraaz tha Phir socha kay dil say tumhain nikaal doon Magar woh dil hi tumharay paas tha |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. har cheez tmhari lauta di.......... hum le k na kuch bhi sath chaley......... phir dosh na dena ae logon.......... hum dekh lo khali haath chaley.......... ye raaah akele kati hai................ yahan sath na koi Yaar Chaley........... us paar najaney kia payen.................. is paar to subkuch haar chaley........................ |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Har ishq ka matlab ghum nahin hota, Duriyon say pyar kam nahin hota Waqt bewaqt ho jati hain aankhain nam, Kyon k yaadon ka koi mousam nahin hota |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Is qadar humari chahat ka imtihan na lijiye, Kyun ho khafa yeh bayan to kijiye.. Kar dijiye moaf agar ho gayi koi khata, Yuhi yaad na kar k saza to na dijiye..!!!! |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Gazlon ka hunar saqi ko sikhayain gay roain gay magar aansu nahi aayain gay Kah dayna samandar say, Hum us kay moti hain Dariya ki tarah tujh say milne nahi Aayaingay |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Achi surat ko sanwarne ki zaroorat kya hai Saadgi main bhi to kayamet ke ada hoti hay |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Mujh ko jab daikhti ho tum, Rang bhar jatay hain fizaon main Kasmasati hay aarzoo dil main, Geet ghul jatay hain hawaon main |
Re: Share your fav poetry. Muntakhib Ashaar. Teri yaad main aansoon ka samandar bana liya, Tanhai k sehar main apna ghar bana liya Suna hai log poojhtay hain patthar ko, Isi liyay dil apna patthar bana liya |
| All times are GMT +5. The time now is 06:10 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.