![]() |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
same aesy he jado mein b bhi Allah k hukam sy nuqsan ho sakta ha or nahi b Quote:
Quote:
http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif ---------- Post added at 09:14 PM ---------- Previous post was at 09:11 PM ---------- .................................................. ... Quote:
---------- Post added at 09:18 PM ---------- Previous post was at 09:14 PM ---------- "Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU 1 Attachment(s) Quote:
Quote:
http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif kay jadogar kay jado main Allah nay asar rakha hay... AUR JADOGAR KISI ko bina kisi sabab kay physically effect kar sakta hay.. (jo kay jadogar kehta hay, aur jado kanray karnay walay sab kehtay hain. jado ko man nay walay sab logon ka aqeeda hay) wasif nay pehlay hei is ayat ko shirk say paak bana kar interpret ki hay.. Quote:
Quote:
aap jo sheetan aur insan ki characteristics ka comparison kar rahay ho.. Aalh nay Frishton ko bhi paida kia hay... kia un kay characteristics insaan ki trah hain?jab nahi hain tu sheetan ko beech main lanay ka koi jawaz hei nahi banata hay mere bhai... |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha Quote:
---------- Post added at 10:56 PM ---------- Previous post was at 10:41 PM ---------- Quote:
laqin kafir tu booton sy manty, Log peeron k pass ja kr bhi muradain mangty hain or Allah un k zarzeh un ko deta bhi ha tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha? yan yeh keh unko sheetan dy raha ha.......... :salam:salam:salam:salam:salam:salam:salam:salam:s alam:salam:salam:salam:salam:salam:salam:salam http://bzupages.com/attachments/1062...62687-kaf1.gif ---------- Post added at 11:12 PM ---------- Previous post was at 10:56 PM ---------- Quote:
Laqin inka moqaf yeh ha *Jitni bhi jado sy related sahi ahadees bhi hain jo yeh zahir karti hain k jado mein Allah k hukam sy asar ho sakta ha wo galat hain kyoun k wo quran sy inki interpretation k mutabiq takrati hain jado kuch nahi ha *jitni bhi sheetan or jinon k mutaliq sahi ahadees hain Sahi muslim or sahi bukhari ki bhi jesy k Allah k nabi ny kaha k sheetan insan k jism mein khone ki terhan chal phir sakta ha wo galat hain or abhi inka nahi pata laqin kuch or log hain shaid yeh bhi un sy hon yan ap bhi *jo kehty hain k Azab e Qabar k mutaliq jitni bhi sahi ahadees hain wo bhi galat hain, azab e qabar kuch nahi ha kyoun k quran mein kahin isska zikir nahi ha or jo ahadees hain wo quran ki kuch aeyat sy inki interpretation k mutabiq takrati hain |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
app nay aik bhi hadees paish nahi ki phir bhi yeh moqaf keh rahay ho. amazing Quote:
jado main asar mannay (shyad aap bhi) udhar yeh mantay ho kay Frishton nay kufar nahi kia. aur udhar mantay ho kay frishtay zameen par aa kay Loogn ko jado sikhatay thay.. baap ray..... Quote:
I believe Allah jo chahay kar sakta hay. but Allah apni kahi hoi baat ko ghalat nahi kehta hay...aur Allah ke rasool bhi (hadees) Allah ki kahi hoi baat ko ghalat nahi keh saktay... yeh mera moqaf hay mera moqaf yeh kay Allah nay jab yeh kaha hay kay. jadogar kabhi kamiyab nahi ho sakta (kia is ko youn interparate kia ja ay kay wo IT kay exams main kamiyab nahi ho sakata, baki sab kaam karnay main kamiyab ho sakta hay) isli ay Allah jadogar ko Bina kisi sabab kay ki ay janay walay jado ko kabhi kamiyab nahi honay day ga.Allah nay Firon kay jadogaron ko bhi fareeb aur dhoka kaaha. Un kay jado ko shobada (trick) kaha... Agar jadoogar yeh karnay main kamiyab ho jata hay tu Allah apni ayat ko khud wrong karay ga. Quote:
Quote:
Agar quran majeed main azab qabar ki naffi hoti tu wallah hum bhi is hadees ki nafi kartay. but quran main tu jadogar ki nafi ki gai hay phir bhi us ko zaeef ahadees say sabit kar kay aap yeh sabit kar rahay ho kay aap Jado aur taghoot par emaan rakhtay ho (means kehtay ho kay kisi na kisi trah in main asar hay)... jado aur taghot karnay say na aoozbillah kisi ko mafoqul Asbab nafa nuksaan ho jata hay...(physically effect ho jata hay) tu sun loo Allah nay aisay logon kay baray main kia farmaya hay... http://www.asanquran.com/Quran/Pages/Images/141.gif bina kisi sabab kay koi kaam honay ko mojaza kehtay hain. aap kay is concept kay mutabiq Allah nay jadogar ko mojzay aata ki ay hain kia?:achillpill: ......... Quote:
Quote:
aur yeh kay jado bar haq aur yeh sab kuchh bhi sach hay.... (because yeh sab behis aapo sirf isi waja say kar rahay ho kay aap kehtay ho kay yeh mandraja zail sab waqya huya hay)
:comfort_:Please in kay proof do.. in kay answer main nay khud nahi di ay aap do. nahi tu aap ko etraaz ho jata hay kay aapnay question kay answer khud hei day di ay hain.:deal: |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU I have a question for BZU, ap muje yeh batayen ke Mafooq ul Asbab or Mateht ul Asbab sab ke liye ek hain, means Farishton k liye, Nabiyon or Aam insano k liye, Jinon k liye ? ya sab ke liye alag alag hain ? |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
Raheel. jee matehtul Asbaab ka meaning Allah ki banai gai sab makhlooq kay li ay aik hei hain. Allah ki banai gai har makhlooq jo bhi kaam karti hay. unka ko na koi sabab zaror hota hay... Right>>abh aap kahogay kay frishtay kaisay matehtul asbab kaam kartay hain. main nay already kaha hay kay frishton, insano, jino sab kay alag alag characteristics hotay hain. aap bhi usman ki trah wala comparision kar rahay ho. jaisay usman insan (jadogar) ko sheetan (jo kay na nazar anay wali makhlooq hay) ki taqat say compare kar rahay hain. e.g: frishton ki characteristics hain, kay wo masoom hotay hain, Gunah say paak hotay hain, insano ki trah fitna nahi kartay, har wo kaam kar saktay hain jis ki Allah nay unko ijazat di hoti hay.aur wo kaam nahi kartay jis say Allah un ko mana farmata hay. (zahir hay Allah nay unko koi na koi aisi taqat di hogi jis say wo kaam kartay hongay) Sheetan ka tu aap ko pata hei hay kay Allah nay us ko kitni taqat di hay.nahi pata tu quran majeed main parh lijiay ga. (because yahan jadogar (insan) ki behis ho rahi hay sheetani makhlooq ki nahi) Abh baat agai Insano ki: Sab say pehlay nabi A.S ko lay letay hain, nabi A.S bhi hamari trah kay insan hotay hain. but un main aur aaam insaano main yeh farq hota hay kay un ka wahi nazil hoti thei. jo kay frishtay lay kar utartay thay.But Allah nay Nabi A.S ko Mojzat bhi atta frma ay jo kay matehtul Asbab kaam kartay thay.(but humain tu mafoqul Asbab show hota hay is kay pechay bhi koi logic hoti hay, e.g Allah frishton ko order day kar wo kaam karwatay hongay.) Jaisay Mosa A.S ki laathi ka Snack ban jana. Esa abne Marium ka murda ko zinda kar dena. etc ... yeh sab mojzat thay... yeh tu hogi nabi ki shaan Abh Nabi kay baad Nabi ki ummat : Ummat bhi insan hoti hay aur ummat bhi jo kaam karti hay us kay pechay koi na koi sabab zaror hota hay.wo bhi tab hota hay Agar Allah nay us baat ka hukum dia ho, aur nahi ho sakta chahay hum jitni koshish kar lain. chahay wo peer ho, faqeer ho, molvi ho, malang baba ho, chahay hum hon, chahay jadogar hon. Wsalam... ---------- Post added at 07:31 PM ---------- Previous post was at 07:17 PM ---------- Abh aap dear usman ki trah kaho gay kay jadogar Allah ki marzi say kaam kiyon nahi kar sakta... Answer is: Jadogar (insan) kay li ay Allah nay quran majeed main hukum farmaya hay kay wo kabhi kaamiyab nahi ho sakta. tu wo apnay mantar say kaisay jado kar kay apni marzi say jo kaam chahay kar sakta hay? Jadogar kay li ay Allah tala nay itna bola kay jadogar jadogar jo bhi kar kay dikhata hay wo us ka fareeb hota hay. ayat page1 par quoted hain. Isliay Allah kabhi jadogar ko jadokar kay uskay marzi kay kaam karnay ki permission bhi nahi day ga.nahi tu Allah tala ki apni hei ayat ki nafi kar day ga.but humain pata hay kay Allah tala kay quran majeed main zara barabar bhi ikhtelaaf nahi hay. Quote:
Thrid reason is: jado (not trick) kay asar honay ki real life main koi example bhi nahi hay. Agar koi yeh sabit kar leta hay kay hay, to wo Allah ki ayat ki nafi karnay wala ho ja ay ga... Waisay agar aap ko meri aur quran ki in baton say ikhtelaaf hay tu koi baat nahi. bas afsoos zaror hoga... |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Ek baaat ap batayen k quran me Allah ne farmaya k jadugar kabhi apnay maqsad me kamyab nahi ho sakta lekin yeh kahan farmaya hay k us k jadu me asar nahi hay ? koi aisi wazaih ayat ho to batayen. Let suppose agar jadugar kisi per us k mar janay k liye jadu kerta hay lekin woh shuks sakht beemar ho ker theek ho jata hay to yeh howa na k woh jadugar apnay maqsad me kamiyab nahi howa lekin Allah k hukum se woh beemar howa yani us shuks per us jadu ka asar to howa na ? App agar koi bat samjhana chahti hain or samajhti hain k ap huq per hain to app ko chahiye ke ayat ko quote kerne k sath sath us ki detail shan-e-nuzool or jo us ayat se related sahi ahadees hain wo paish kerain, quran me to Allah ne yeh bhi farmaya k Namaz Qaim kero lekin qaim kesay kerni hay yeh sahi ahadees batati hain na k quran me kahin bhi namaz qaim kerne ka tareeka hay 2nd soorah baqra me jo Allah ne farmaya hay ke woh is jadu wagaira se kisi ka kuch nuqsan nahi ker saktay siwa is k k Allah hi nuqsan ka hukum de, yeh ayat to app bilkul hi jhutla rahi hain.. Ap ne jo Soorah Nisah ki ayat quote ki hay "Kiya nahi dekha tum ne un logon ko jin ko diya gaya hay kuch hisa kitab-e-Ilahi me se k eeman rakhtay hain woh jadu tonay or shaitanee quwaton per" is se kahan wazaih ho raha hay ke jadu me asar nahi hai yeh ayat to yeh bata rahi hay ke in per eeman na rakho k jadu wadu se kuch nahi hota magar Allah k hukum or iraday se. |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
Aur nechay wali surah Younis . main Allah nay yeh kaha hay kay agar Allh ka mojaza jado hota tu wo bhi kamiyab nahi hota.. Agar jado main asar hay tu jadogar apnay jado karnay main kamiyab kaisay nahi ho sakta? Quote:
Aur Allah ne jis trah say hukum ki baat hay wo pechay 2 dafa likhi gai hay kay Allah ka hukum kis trah ho sakta hay... yahan yeh nahi likha huya kay Allah jadogar main asar dalnay ka hukum dayga, jabkay yeh zaror likha hay kay jado kisi ko koi faida nahi deta .balklay jado karnay walon ko nuqsaan hoga... Aur agar is trah ki baat maan lo kay Allah khud hei jadogar kay jado main asar dalnay ya na dalnay ka hukum day deta tu Allah apni hei kahi gai baat ka Ekhtelaaf kar raha hay kay .. udhar Allah keh raha hay kay jadogar kamiyab hei nahi ho sakta . aur udhar Allah beiman jadogar ko jis ko Allah nay kaha hay wo kamiyab hei nahi ho sakta, us ko jado say koi faida hei nahi hoga balkay nuqsaan hota hay,Phir Allah us ki khud hei madad karay ga.. wah ray. Quote:
Anyway now you beileve kay jadogar ko Allah nay itni taqat day di hay kay wo logon ko bemaar kar sakta hay(jadogar kay jado main asar hota hay)... Tooba Astaghfiruallah. jabkay Allah nay quran majeed main farmya hay kay main momin ka saath deta hon... aur udhar Allah us ka saath day raha hay jis ko Allah khud bura bhala keh raha hay. Quote:
surah nisa ki ayat main jado par iman lanay say kia muraad hay? zahir hay yehi muraad hay kay kay jaado main asar maan lena. aur konsa jado par imaan lana ka meaning ho sakata hay? Agar koi shakhas yeh maan lay kay jadogar kay jado main asar hay tu us par Allah ki lanat barsay gi. isliay bhi yeh baat hargiz nahi man ni chahay ... Raheel aur Usman bhai ... ---------- Post added at 03:02 PM ---------- Previous post was at 02:43 PM ---------- Anyway Abh maan li aap ki baat... aur aap kay mutabiq wo sab batain maan lain ki jadogar kay tonay totkay main asar hay.(aur yeh asar Allah deta hay. because Allah nay jadogar ko sab say bara dhokay baaz aur beiman kaha hay)... aur wo ahadees bhi maan li jin ka aap nay abhi tak zikar hei nahi ki... abh aap wo 4 batain quran aur hadees sahi kay roshani main saabit kar kay dikhao...
:comfort_:Please in kay proof do.. in kay answer main nay khud nahi di ay aap do. nahi tu aap ko etraaz ho jata hay kay aapnay question kay answer khud hei day di ay hain.:deal: |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
Quote:
Kamiyab aisay nahi ho sakta k Allah ne usay nakamiyab kernay ka kaha hay is liye woh kesay kamiyab ho ? Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
|
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
aur yeh behis 5 pages tak pohunch gai hay. aap dono nay abhi tak koi bhi aisi hasdees paish nahi ki. jo kay Allah kay quran ki nafi karnay ko tiyar ho...aur kehtay mujhay ho kay shane nazol . shane nazol. Quote:
http://www.asanquran.com/Quran/Pages/Images/633.gif http://asanquran.com/Quran/Pages/Images/25.gif http://bzupages.com/attachments/1061...on-par-naz.gif Oper tu likh dia kay Wama,. means Aur Nahi... But Usi ayat kay anadr aglay line main likh dia kay, Wama means Pechay lag gay us ilam kay... Yahan par kiyon nahi kaha kay.. Nahi nazil kia giya farishton par? (jabakay peechay itna bhi likh diya hay kay frishton nay kufar nahi kia...aur agar jado Allah nay frishton kay zariay (jadoo, kufar) nazil kia hay tu phir Allah nay Saleman A.S par bhi jadoo (kufar) utara tha .because frishtay Nabiyon kay paas atay hain. airon gheeron kay pass nahi.) aur phir nechay ja kar dobar yehi keh diya ... Wama means nahi ... Qissa Haroot Maroot Aur Jadoo Ki Haqeqat Surah Albaqrah ayat 102(Islamic Book) What is Magic ? Urdu... is ayat kay baray main mazeed tafseer aur Tashreeh is book main darj hay.:deal: Quote:
Surah bakra main yeh nahi likha kay jadogar kay jado main asar dalnay ka hukum hay.. Allah kay hukum wali example aap nay khud hei di hay... Quote:
yeh nahi hay kay us jadoogar nay jo mantar waghera parhay hain un say yeh bemaar hoga aur us shakhs par jadogar kay jadoo ka asar ho giya hay...aur waisay bhi jadogar yeh kab manta hay kay yeh sab Allah nay kia hay. phir bhi aapko us kay ki ay daray par emaan hay kay us kay kiye daray main Allah asar dal deta hay. Quote:
Quote:
|
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Aeyaat ko kat kat k perny ki bajye puri aeyat koi bhi perhy ga tu wsko saf saf pata chal jye ga k haqeeqat kya ha "Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty" http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif ---------- Post added at 09:04 PM ---------- Previous post was at 08:58 PM ---------- koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha Allah or booton/Peeron etc mein bhi faraq ha na in ki characteristics mein bohat faraq ha laqin kafir tu booton sy manty, Log peeron k pass ja kr bhi muradain mangty hain or Allah un k zarzeh un ko deta bhi ha tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha? yan yeh keh unko sheetan dy raha ha.......... ---------- Post added at 09:19 PM ---------- Previous post was at 09:04 PM ---------- jado ghar k jado mein asar nahi ha magar Allah chahy tu kisi ki azmaesh k liye jesy booton k pooja kerny walon ko booton sy ata kerta ha aesy he jado mein beshak asar nahi ha magr agr koi jado kerwata ha tu Allah wski azmeash k liye Allah kisi ka nuqsan ker sakta ha laqin jado ghar kamyab nahi hoga matlab k wo nahi hoga kamyab kabhi nahi hoga agar wo kamyab ho jaye tu wska jado Allah k hukam k baghaire bhi asar kr jye matlab yeh ha jab keh wo jado kerta ha tu Allah ws k jado k zaryeh logon k azmesh k liye jado k waqti tore pr kisi k nuqsan kr sakta ha or Allah ws k jado k asar ko zayal bhi kr deta ha apny bandon ko batany k liye k wo jhoota ha or mein he sacha hn agar wo jado kerta or wska koi asar he nahi hota (Allah k hukam sy) tu kamyabi or nakami ka swal he paida nahi hota Allah k quran ki koi bhi aeyat quran ki kisi aeyat sy nahi takrati magar apki soch Or yeh sb ahadees sahi hain reference ap mujh sy zada achi terhan janty ho mein sirf ishra dy raha hn Allah k nabi pr jado wali(sahi bukhari) Allah k nabi ny sheetan k namaz k doran pakra(Sahi bukhari or sahi muslim) Allah k nabi ny farmaya sheetan insan k jism mein khone ki terhan chal phir sakta ha(Sahi bukhari and sahi muslim) etc... or in mein sy ek bhi hadees quran sy nahi takrati na he Allah k koi bhi aeyat quran sy takrati ha magr apki interpretation ---------- Post added at 09:37 PM ---------- Previous post was at 09:19 PM ---------- Quote:
http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif Quote:
zara ghore sy perho or tafseel bhi perho or shane nazool bhi perho k kahan or kis likha ha k mushreeqeen makkah Allah k nabi ko kya mushreeqeen ny yeh ws waqt kehna shuru kiya tha jab ap pr jado hwa tha yan iss wajha sy k jabkeh sb log apko sadiq or ameen janty thy tu achanak apny Allah k wadaneeyat or apni reesalat ka elan kr diya tu unhon ny yeh kehna shuru kiya k ap pr kisi ny jado kr diya ha or iss bat sy bhi yeh wazeh ho raha ha k jado ka asar aesa bhi ho sakta k wo kisi ko pagal bana sakta ha kyoun k agar jado sirf dhokha hota tu wo mushreqeen ap(S.A.W) ko kabhi Allah ki wadaneeyat or apni reesalat ka hukam deny pr yeh na kehty k ap pr jado ka asar ho gaya ha (kyoun k agar jodo kuch nahi hota wo bhi janty hoty k yeh tu sirf dhokha hota ha) Quote:
han nahi kiya koofar Quote:
magar allah chahy tu kisi k azmesh k liye jesy peeron sy kisi ko iman rakhny pr aataa kerta ha issi terhan kisi ka nuqsan kr sakta ha http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU 2 Attachment(s) Quote:
udhar Allah yeh keh raha hay ayat main kay jadogar ka jado shoobda hay,jadogar ka fareeb hay. aur jadogar kay jado say koi faida ho bhi nahi sakta . aur udhar Allah yeh kaisay keh sakta hay kay jadogar kay jado main asar hota hay? tu yeh sabit ho giya na kay jadogar kay jado say kuch nahi hota , Jo Allah chahay karta hay, Agar wo mafooqul asbab ho raha ho tu wo mojza hota hay. aur agar wo matehtul asbab ho raha ho wo tu normal baat hay. Quote:
. Quote:
yeh ayat 2 nahi balkay 6 hay..dosari baat . aap nay translation kaisi kar di hay... is ki asal translation nechay parh lo. Is main jino ka gharoor is li ay bhar giya kay . Jin (kafir jino) ka gharor aur barh giya kay . jin kehnay lagay kay hamari taqat say tu yeh Jahil insan bhi khoof khatay hain.... aur agay 7th ayat surah jin ki parh lain tu, aapko yeh bhi samjh aa jayegi kay yeh koon loog thay jo jino ki panah mangtay thay, yeh wo loog thay jo kehtay thay kay marnay kay baad unka hisab kitab nahi hoga... aur agar aap bhi kehtay ho kay marnay kay baad aap ka hisab kitab nahi hoga tu aap bhi jino ki panah manga karain... jaisay kay is ayat 6 aur 7 main bataya giya hay:mind: http://www.asanquran.com/Quran/Pages/Images/1012.gif Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Jaisay is ayat # 8 ka... Muhammad SAW pori life main 1 lamha bhi sehar zada nahi ho ay... samjhay.. http://www.asanquran.com/Quran/Pages/Images/617.gif Abh aap bhi is hadees kay mutabiq yeh keh rahay ho kay Nabi kareem SAW par bhi jado ho giya tha... aur hum sehar zada shakhs ki Perwi kartay hain.... Astaghfirullah... naozbillah... Quote:
Yahan door skta hay say murad kay insan kay itna qareeb hay kay foran behka, warghala sakta hay.. Jaisa kay Adam A.S ko bheka diya tha..It does not means ke Jini Sheetan Khud insan kay khoon kay anadar aa kar baith jata hay, aur insan say achay buray kaam karwata hay... Quote:
Balkay Nabi SAW ka tu yehi iman tha , jaisa kay quran paak main likha hay... kay sheetan kahay ga kay mera tum logon par koi zoor nahi tha (Jis main Muhammad SAW bhi shamil hain) Main tum ko dawat deta tha aur tum labaik kehtay thay, Is Ayat say Aap ka Sheetan ki baaqi sab taqaton ka mafrooza hei khatam ho jata hay... because sheetan ka insan per koi zoor hei nahi hay. wo bas waswasa daal sakta hay . nothing else... Please ahadees kay Number. page number wagheera tu bata dain... takay main search kar kay in kay baray main malomat lay sakon... kay yeh aisay kiyon likhi gai hain. Quote:
Quote:
Theek hay agar maan lain kay jadogar kay zariye Allah karwata hay. tu yeh baat sach ho gai na kay Aap ko bhi jado par eman hay... read surah nisa. Ayat pechay quote ki hain... Quote:
Quote:
Un kay jado means un kay trick say wo door rahi thein... yeh nahi kay un kay jadoo main asar ho g iya tha aur jadogaron nay asali saanp bana li ay thay... Attachment 10680 Quote:
Tu yeh main mat maano na ho kay jadogar kay jado kay asar say insaan pagal ho jata hay :no jab itna maan letay ho kay sab Allah karta hay . tu yeh manana kiyon mushkil hay kay Allah nay jadogar ko kisi ko pagal karnay ki taqat nahi di??:sorry::hopmad::no: Firoon kay jadogaron nay tu maan lia tha kay jado main koi asar nahi hay, isliay wo tu sajday main gir paray thay. But afsoos, Ajj ki ummat... :( phir kehti hay kay hum tu muslim ummat hay. humaray opper zalzalay kiyon aatay hain. humary opper khud kush hamlay kiyon hotay hain... But yeh baat sach hay kay (jaisa ka pichhli aqmam say sabit hay) Allah kisi na kisi trah apni munkir qoom per hei azaab bhaijta hay. aur kehta hay kay mere azab ka maza chakhoo... |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
jado ghar k jado mein asar nahi ha magar Allah chahy tu kisi ki azmaesh k liye jesy booton k pooja kerny walon ko booton sy ata kerta ha aesy he jado mein beshak asar nahi ha magr agr koi jado kerwata ha tu Allah wski azmeash k liye Allah kisi ka nuqsan ker sakta ha agar wo kamyab ho jaye tu wska jado Allah k hukam k baghaire bhi asar kr jye matlab yeh ha jab keh wo jado kerta ha tu Allah ws k jado(dhokhay) k zaryeh logon k azmesh k liye jado k waqti tore pr kisi k nuqsan kr sakta ha or Allah ws k jado k asar ko zayal bhi kr deta ha apny bandon ko batany k liye k wo jhoota ha or mein he sacha hn matlab yeh k jo hota ha Allah ki taraf sy hota ha ws k jado mein asar nahi allah logon k azmesh k liye aesa krta ha http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Quote:
tu Agar hum man lain kay jadogar kay jado main asar ho giya hay tu. yeh bhi baat manana farz ho jati hay kay Button ki poja karnay main bhi asar ho jata hay... tu button ki poja krnay main aur jadogar kay jado main asar main kia farq ho giya. Dono Allah ka shareek ho gay ... ----.. aur banao Allah kay shareek So please take care of this dear... Quote:
Aur Allah loogon ko azmaish main dalnay kay li ay karta hay . but loog azmaish samjhnay ki baja ay us par emaan lay aatay hain kay . is jado main asar ho giya hay. Button ki poja karnay say butt naoazbillah dena shuru kar detay hain.. etc...:tearhairout: Please believe on Allah... ---------- Post added at 01:39 AM ---------- Previous post was at 12:48 AM ---------- Quote:
phir idhar dobara yehi kehnay say kia murad hay kay jado kay zariay sab kuch hota hay... phir wohi baat kardi kay jado kay zariya asar hogiyaa...:1poke: Beshak Allah kisi ka muhtaaj nahi. na kisi insan ka, na kisi peer ka, na kisi jadogar kay manter ka, na kisi Bout ka... Allah ka hukum ho jo kuch marzi ho ja ay. jadogar ka koi mantar bhi nahi Allah ko force nahi kar sakta. Ufff...yeh doghala policy kiyon?........ had hoti hay bhai... http://bzupages.com/attachments/1068...38-taha-69.gif Firoon kay jadogaron nay tu maan lia tha kay jado main koi asar nahi hay.un ka apna kia giya jado sirf dhoka fareeb tha, isliay wo tu sajday main gir paray thay. But afsoos, Ajj ki ummat... :( phir kehti hay kay hum tu muslim ummat hay. humaray opper zalzalay kiyon aatay hain. humary opper khud kush hamlay kiyon hotay hain... |
Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU Aap logon ne 6 pages bhar diye aur baat wahin ki wahin hai.. me yeh thread rozana dekhta hoon but samajh nahi paa raha ki ho kya raha hai.. now its time to close this thread bcoz hum logon se sirf galtiyan ho rahi hain.. aur kuch nahi.. is thread me yahan tak keh diya gaya ki NAOZOBILLAH MOHAMMED S.W per jadoo hua tha.. sad.. very sad.. so before closing this thread i also want to share my opinion on this matter.. About Musa Allehsalaam and feron ke jadoogar.. Dekho yeh baat to saaf hai ki jaan dalna sirf aur sirf allah ki sifat hai aur uske ilawa sir isa ib-n-marium ke paas yeh tha ki woh murdon ko zinda ker sakte the and woh bhi sirf allah ka mojozah tha woh apni marzi se ya apni quwwat se kisi ko bhi zinda nahi kerte the ya kersakte the.. no never.. then firon ke jadoogar kaisi laakdi ko saanp bana sakte hain..? its not possible at all.. koi kaise kisi bejaan cheez me jaan dal sakta hai.. kya unke paas bhi naozobillah koi maujizaah tha..? agar yeh kisi ka yaqeen hai ki firon ke jadugaron ne saanp banaye the then sorry to say but aap ko abhi tauba kerni chahiye bcause aap ko sochna chahiye ki aap kya kehna cah rahe ho aap kehna chah rahe ho ki allah ki ilawa ek mamooli banda jo ki mushrik tha kisi bejaan cheez me jaan daal sakta hai.. no way.. SIRF ALLAH KI SIFAT HAI JAAN DALNA USKE ILAWA SIRF ISA A.S KE PAAS YEH MOJIZAAH THA and duniya me na koi uske ilawa kisi bejaan cheez me jaan daal sakta hai na jaan daal sakega.. THATS ALL.. About Jaado ka asar.. let me explain yahan baat kya ho rahi hai.. ki jaado ka sara hota hai ya nahi.. saaf line hai and jawab saaf hai no. NO WAY.. Quraan me hur jagah likha hai ki jaado sirf ek FAREB hai fareb lafz ka meaning kya hota hai..? its mean ki dhoka.. means ki nazar ka dhoka jiska real me koi wajood nahi hai.. sorry me yahan galat misaal de raha hoon allah taala mujhe muaaf kare is ke liye but yahan me aaj ki duniya ki misaal de raha hoon kabhi AXN T.V dekho usme world biggest megician screts ek programe aata hai usme dikhaya jaata hai ki jaadoo jaisi koi cheez nahi hoti woh sirf trick and aankh ka dhoka hai.. jab woh non muslim yeh mante hain then hame yeh manne me itni dikkat kyon hoti hai.. jab ki aaj se 1400 saal pehle hi hame bataya gaya tha ki jadoo sirf EK FAREB HAI aur kuch nahi.. now come on to jadoogar kuch nahi ker sakte but allah chahe to uska asar ho jaata hai.. then why you people saying that jadoo ka asar hua..? yeh jadoo ka asar hai..? ab yeh tasauur karo ki non muslim ek paththar se mangte hain woh mangte hain us paththar se but deta to allah taala hi hai na.. then yeh kyon nahi maana jaata ki paththar deta hai..? yeh bhi to usi tarah hua na jis tarah kaha jaa raha hai yahan ki jadoogar apne se to kuch nahi kerta but allah chahe to nuksaan hota hai.. to yeh manne me kya dikkat hai ki jadoo ek fareb hai usse kuch nahi hota jo bura hota hai woh allah ki taraf se hota hai.. baat bohot clear hai but manne aur na manne ka farq hai.. jab hum yeh nahi maan sakte ki paththar se koi fayda ya nuksaan hota hai then yeh kaise maan sakte hain ki jadoo se nuksaan hota hai..? NAHI MAAN SAKTE AND MANNA BHI NAHI CHAHIYE.. Jadoo sirf ek fareb hai bus. aur jo baatien logon ko pata hai ki kisi ne kisi per jadoo kia yeh sab bakwas hai.. yeh saabit kaise ho raha hai..? kisi ke ghar me koi problem hai.. koi bimaar rehta hai bohot kisi ka bussiness nahi chal raha to woh yeh nahi sochta ki pata nahi mujhse aisa kya gunah hua ki allah mujhse naraz hai humare ghar me log theek se namaz parh rahe hain ya nahi hamare ghar me quraan ki tilawat ho rahi hai ya nahi.. humne kisi ka huq to nahi maar liya na.. humse koi galti nahi ho gayi na jiski wajah se yeh pareshani ALLAH ki taraf se aagayi.. but nahi woh jayenge maulana ke paas ya kisi mufti ke paas poochne and woh batayenge ki aap ko isliye pareshani hai ya aap ke ghar me is liye bimaari hai bcoz aap per kisi ne jadoo ker diya hai and woh bhi kaun aap ke rishtedar.. 99% logon per rishtedaron ne jadoo kia hota hai.. yeh kaise mumkin hai..? yeh is liye ki hamara imaan bohot kamzor hai hum khud apne dil me hasad rakhte hai hum khud yeh sochte hain ki hamare rishtedaar hamara achcha nahi dekh paa rahe hain.. isiliye woh molvi aisa bolte hain and hum maan lete hain.. GREAT.. yeh kyon nahi sochte bhai sahab ki agar koi pareshani aayi hai to allah se tauba karein aur apne aap ka jaiza lein ki humse kahan galti hui.. So thats clear ki jaadoo jaisi koi cheez nahi hai and us time musa A.S ke samne jadoogar ne koi saanp paida nahi kia yeh ho hi nahi sakta.. And last me my humble request to all of them who believe ki firon ke jadoogaron ne saanp banaye the.. aap log gaur se is cheez per sochiye and jald se jald tauba kijiye..JAAN DALNA SIRF ALLAH KI SIFAT HAI AND USKE ILAWA DUNIYA ME SIRF ISA A.S KE PAAS YEH MAUJIZA THA KI WOH ALLAH KE HUQM SE I REPEAT KI ALLAH KE HUQM SE LOGON KO ZINDA KERTE THE APNI MARZI SE KISI KO ZINDA NAHI KERTE THE.. THREAD CLOSED REASON: YAHAN AYETON KI AUR ALLAH KE QURAN KI BE HURMATI HO RAHI HAI |
| All times are GMT +5. The time now is 06:51 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.