BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Islamic Videos (http://bzupages.com/293-islamic-videos/)
-   -   Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...(Molvie saying) (http://bzupages.com/f293/jadoogar-kay-jado-main-asar-ho-jata-hay-molvie-saying-6513/)

usman_latif_ch 08-11-2009 11:03 PM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 13812)
Uf Allah; abh Allah ka shareek yahan tak aap nay bana lia kay Allah Button kay zariye deta hay,Jabkay Allah tala nay kaha hay kay main khud deta hon. Butt jin say wo mangaty hain wo nafa aur nuqsaan pohuncha hei nahi saktay ..:smiley_notworthy:

,:cry: Sirf isliaye kay aap jado kay asar ko mann kar Muhammad SAW par jado ka asar sabit karna chah rahay ho..:slap1: Aur Imam bukhari ki zaeef ahadees ko sacha sabit karnay kay li ay..

[/SIZE]
Kis nay kaha hay nahi takrati ...

Kia jaado/jadogar Mindo nillah (Allah kay siwa nahi hay?)



Mujhy sabit kerny sy kya milay ga janab

mein tu apko haqeeqat bata raha hn jo mere mutabiq sahi ha wo bata raha hn
Mein ny yeh nahi kaha k Boot dety hain mein ny kaha ha boot kya , jado ghar ap , or mein kuch bhi nahi kr sakty jab tk allah na chahy

or Allah kafir/mushrik logon ko booton sy deta ha matalb yeh ha mera k wo Allah ko nahi manty laqin booton sy mangty hain laqin phir bhi Allah unko deta ha bhookha tu nahi marta na

.BZU. 08-11-2009 11:29 PM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
1 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13814)
Mujhy sabit kerny sy kya milay ga janab

mein tu apko haqeeqat bata raha hn jo mere mutabiq sahi ha wo bata raha hn
Mein ny yeh nahi kaha k Boot dety hain mein ny kaha ha boot kya , jado ghar ap , or mein kuch bhi nahi kr sakty jab tk allah na chahy

or Allah kafir/mushrik logon ko booton sy deta ha matalb yeh ha mera k wo
Allah ko nahi manty laqin booton sy mangty hain laqin phir bhi Allah unko deta ha bhookha tu nahi marta na

Tu Allah deta hay na. Butt to nahi detay na..

Tu button say mangna/ ya yeh baat manana kufar aur shirk hay kay butt Bhook mitatay hain...

Yeh baat bhi mannna kufar aur shirk hay jadogar kay jadoo say nafa nuqsaan hota hay.. Jaisay kay quran majeed aur hadees main hay...
See your videos is main hay; main nay nahi kaha. Yeh in molana nay apni videos main khud bola hay...jo kay sach hay


Quran majeed main tu jado kay baaray main yeh kay parh loo. khud..:tremblelip:




Attachment 10848


Waisay chhotay text main bhi likha huya nazar aa raha hay... bara aur red karnay ki koi zarorat nahi hay..
aur apni posts edit kar nay dobara new content add karnay ki zarorat nahi hay. next post kar diya karain..:1tongue:

usman_latif_ch 08-11-2009 11:36 PM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 13812)
Agar Aap un par ilzam laga rahay ho kay unhon nay kufar kia, aur Jadogar ko Mindo nillah (Allah kay siwa) Nahi mana tu theek hay kaho Lagao Ammi Ayesha R.A par bhi ilzam aur Dosari Khulfa e Rashdeen par bhi. Jinhon nay jadgaron ko qatam ka hukum diya because kay wo Allah ka shareek thehratay tha...

Mujhay koi faraq nahi parta...



mein tu ilzam nahi laga raha ap sy poch raha hn ap unko mushrik bana rahy ho tu poch raha h k ap k nazdeeeq wo mushrik thay yan unko quran nahi ata tha jo apko aj zada aa gaya ha kyoun k yeh ahadees tu unhon ny he kahi hain mein ny yan kisi or ny apny pass sy nahi likhi or hazaroon mohadeesn ny tahqeeq bhi ki ha inki sanad bilkul sahi ha
so isska matlab ha apki tashreeh shirk rakhti ha na Allah ka quran na yeh Sahi ahadees


---------- Post added at 11:36 PM ---------- Previous post was at 11:34 PM ----------

Quote:

Yeh baat bhi mannna kufar aur shirk hay jadogar kay jadoo say nafa nuqsaan kufar shirk hay.. Jaisay kay quran majeed aur hadees main hay...
http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif

Allah ny jado k bare mein aeyat mein yeh kaha ha booton k bare mein kahin nahi kaha k agar mein chahon tu unko ikhteyar dy don k wo ata kr dayn

usman_latif_ch 08-11-2009 11:43 PM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
1 Attachment(s)
Attachment 10849

yahan Allah keh raha ha or phanki unhon ny apni rasiyan or phir kya moosa (A.S) ko rasiyan sanp nazar any lag gye kya Allah jhoot bol raha ha k unhon ny apni rasiyan phanki or wo sanp ban gye
phir Allah ny mosa (A.S) k "assa" sy sare sanp nigalwa liye

rasiyan sanp kaise bani...?
Yeh tu Allah khud keh raha ha k phanki unhon ny apni rasiyan


.BZU. 08-11-2009 11:57 PM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13817)

mein tu ilzam nahi laga raha ap sy poch raha hn ap unko mushrik bana rahy ho tu poch raha h k ap k nazdeeeq wo mushrik thay yan unko quran nahi ata tha jo apko aj zada aa gaya ha kyoun k yeh ahadees tu unhon ny he kahi hain mein ny yan kisi or ny apny pass sy nahi likhi or hazaroon mohadeesn ny tahqeeq bhi ki ha inki sanad bilkul sahi ha
so isska matlab ha apki tashreeh shirk rakhti ha na Allah ka quran na yeh Sahi ahadees

Aap is ka kia tashreeh karo gay? jo main nay neechay quran majeed ki ayat post ki hain?
aap quran majeed ki tu baat kar hei nahi raahay hain.. bas imam imaam lagai hoi hay..kay wo yeh thay wo thay,

agar unhon nay quran kay khilaf khud likha hay tu wo mushriq hain. Because Jo Allah ki kitab ko jhutlata hay wo muslim nahi ho sakta. but yeh bhi hay kay yeh unhon nay nahi likha ho ga, even kay aap nay Ayesha R.A ko bhi Yeh saabit kar diya hay kay wo Bhi yeh manti thei kay..

Mindonillah (Allah kay siwa)main Jadogar aur jaddo nahi aata...

Abh aap in ayat ki apni trah say tashreeh kar kay bata ain... Hadees ko filwaqt aik traf rakhain . because aap kehtay hain kay aap quran ko pehalay mantay hain then Hadees ko...


http://bzupages.com/attachments/1084...rah-younis.jpg

http://bzupages.com/attachments/1084...shobda-hay.jpg


http://bzupages.com/attachments/1084...younis-107.jpg






http://www.asanquran.com/Quran/Pages/Images/141.gif


http://bzupages.com/attachments/1068...38-taha-69.gif



Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13817)

http://bzupages.com/attachments/1061...hat-shirk2.gif

Allah ny jado k bare mein aeyat mein yeh kaha ha booton k bare mein kahin nahi kaha k agar mein chahon tu unko ikhteyar dy don k wo ata kr dayn

Read it again. yeh nahi likha kay jadogar ko ikhtyar diya hay. balkay yeh zaror likha hay kay un kay jado say koi faida nahi hota hay..
Agar Allah kahay, kay jado say koi faida nahi hota tu yeh tu musalmano ko yeh manana Theek rahay ga kay Jadoo (Kufriya kalemat say faida nuqsan hota hay)

Tu kia
Jado Allah kay siwa nahi hay? ya Allah hay?


Quote:

http://bzupages.com/attachments/1084...shobda-hay.jpg

yahan Allah keh raha ha or phanki unhon ny apni rasiyan or phir kya moosa (A.S) ko rasiyan sanp nazar any lag gye kya Allah jhoot bol raha ha k unhon ny apni rasiyan phanki or wo sanp ban gye
phir Allah ny mosa (A.S) k "assa" sy sare sanp nigalwa liye

rasiyan sanp kaise bani...?
Yeh tu Allah khud keh raha ha k phanki unhon ny apni rasiyan

Allah nay nahi kaha kay Rasiyan Saanp ban gai. Yeh tu aap ki tashreeh keh rahi hay... kay wo Asal main saanp ban gai thein
aur wo jadogar Saanp bananay main kamiyab ho gay thay...
Halankay ye Allah ki Sifat hay kay wo kisi cheez main Rooh dal day.
Oper aap keh rahay hain kay insan aik makhi bhi nahi bana saktay aur idhar keh rahay hain kay Saanp bana liaye they


---------- Post added at 11:57 PM ---------- Previous post was at 11:46 PM ----------

Quote:

Quran mein yan kisi sahi hadees mein kahin nahi likha k jado mein asar manana koofar ha yan shirk ha balkeh iss k kerny walon ko kafir yan mushrik kaha ha
LOL

Un ko mushrik isi li ay kaha hay na kay wo Shirk kartay hain..
Aisay thori keh diya hay kay wo mushrik hay.. ya mushrik ki koi aur definition hay ?

Wo jado kar kay Allah ka shreek hei Thehratay hain tu isili ay tu kaha huya hay kay shirk aur kufar hay...

You again added more text in your post.. you must reply. instead of editing old replied thread..

usman_latif_ch 09-11-2009 12:11 AM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
http://bzupages.com/attachments/1084...rah-younis.jpg

Allah tallah keh raha ha k Allah k elawa koi kisi ko kuch nahi keh sakta or jo yeh manta ha k Allah k elawa koi kuch ker sakta ha tu wo zalimon mein sy ha
or yehi mera manna ha k ap yan mein bhi kuch nahi ker sakty kisi ka nuqsan nahi ker sakty magar Allah chahy tu


http://bzupages.com/attachments/1084...shobda-hay.jpg
yahan Allah keh raha ha or phanki unhon ny apni rasiyan or phir kya moosa (A.S) ko rasiyan sanp nazar any lag gye kya Allah jhoot bol raha ha k unhon ny apni rasiyan phanki or wo sanp ban gye
phir Allah ny mosa (A.S) k "assa" sy sare sanp nigalwa liye

rasiyan sanp kaise bani...?
Yeh tu Allah khud keh raha ha k phanki unhon ny apni rasiyan or agar unhon ny trick sy kahin sanp chupaye thy jesa ap kehty ho tu ap yeh sabit kr rahy ho k Allah k nabi dhokha kha gye mushrikon sy jo un ko pata nahi chala



http://www.asanquran.com/Quran/Pages/Images/141.gif
Allah shirk ko kabhi maf nahi kery ga issi liye Allah ny booton or jado kerny walon ko kaha ha kyoun k wo yeh sabit kr rahy hoty hain k sb kuch hm ny kiya ha jab keh wo tu ek makhi ko bhi nuqsan pohchny ki taqat nahi rakhty magar Allah unki azmayeh k liye k yeh mujh pr iman laty hain yan apni jhooti taqat pr allah un k jado sy kisi ka nuqsan kr sakta ha



http://bzupages.com/attachments/1068...38-taha-69.gif


Allah tallah jado ghar ko nakam kr k bataty hain k wo kabhi kamyab nahi ho sakta kyoun k Asal taqat tu allah ki ha wo tu asal mein kuch kr he nahi sakta jab k sb allah he kerta ha

jab unhon ny apni rasiyan phanki tu mosa (A.S) ko wo laga jesy wo dhore rahi hain tu unhon ny khof mehsoof kiya tu allah ny kaha mat daro or phanko apna asa ......

---------- Post added at 12:11 AM ---------- Previous post was at 12:08 AM ----------

Quote:

Allah nay nahi kaha kay Rasiyan Saanp ban gai. Yeh tu aap ki tashreeh keh rahi hay... kay wo Asal main saanp ban gai thein
aur wo jadogar Saanp bananay main kamiyab ho gay thay...
mein nahi keh raha mein tu ap sy yehi poch raha hn janab

BSIT07-01 09-11-2009 12:24 AM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
Quote:


Quote:

Allah nay nahi kaha kay Rasiyan Saanp ban gai. Yeh tu aap ki tashreeh keh rahi hay... kay wo Asal main saanp ban gai thein
aur wo jadogar Saanp bananay main kamiyab ho gay thay...
mein nahi keh raha mein tu ap sy yehi poch raha hn janab
iss ka answer to simple iss main hay /..
http://bzupages.com/attachments/1084...shobda-hay.jpg

That was just a "Jhota Shoabda"...

.BZU. 09-11-2009 12:48 AM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
Quote:

Allah tallah keh raha ha k Allah k elawa koi kisi ko kuch nahi keh sakta or jo yeh manta ha k Allah k elawa koi kuch ker sakta ha tu wo zalimon mein sy ha
Tu is se tu yeh baat bhi zahir ho jati hay kay . jo yeh imaan rakhay ga kay. jadogar apnay jado. antar mantar shoo sharap. Phoo, akar bakar banmbay boo waghera waghera .( jaisay Ainak walay jin main jadogar kar rahay hotay thay :) ) say bhi kuch nahi kar saktay.aur jo yeh manta hay kay kar saktay hain wo zalim hain..
but aap ki sab behis kiyon......

Quote:

yahan Allah keh raha ha or phanki unhon ny apni rasiyan or phir kya moosa (A.S) ko rasiyan sanp nazar any lag gye kya Allah jhoot bol raha ha k unhon ny apni rasiyan phanki or wo sanp ban gye
phir Allah ny mosa (A.S) k "assa" sy sare sanp nigalwa liye

Pooray quran main kahin nahi likha huya hay kay rasiyan saanp bani thei. But wo jadogaron ka yehi moqaf tha kay unhon nay saanp bana li ay hain. but jab unhon nay daikha kay un ka jado (jhota shobada) pakra gia hay tu wo sab kay sab muslim ho gay. Allah un jadogaro ko janat naseeb karay jo jado par nahi balkay Allah par emaan lay aa ay thay ;)


Quote:

Allah shirk ko kabhi maf nahi kery ga issi liye Allah ny booton or jado kerny walon ko kaha ha kyoun k wo yeh sabit kr rahy hoty hain k sb kuch hm ny kiya ha jab keh wo tu ek makhi ko bhi nuqsan pohchny ki taqat nahi rakhty magar Allah unki azmayeh k liye k yeh mujh pr iman laty hain yan apni jhooti taqat pr allah un k jado sy kisi ka nuqsan kr sakta ha
Tu is say bhi yehi sabit huy na kay jadogar kay jado say kuch bhi nahi huya. Allah nay khud hei wo kaam ka hukum diya huya hota he , jadogar kisi bhi kisam ka nafa aur nuqsan nahi rakhta..
jaisa ke jado ke qaeleen ka imaan he... :(



-=-------------------------==--------------------------------===-----------------------------=====--------------------


Tamnat Bilkhair...:thumbup:

usman_latif_ch 09-11-2009 12:55 AM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
1 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by BSIT07-01 (Post 13826)
iss ka answer to simple iss main hay /..
http://bzupages.com/attachments/1084...shobda-hay.jpg

That was just a "Jhota Shoabda"...

Jee han bilkul...i agreed 100%

Attachment 10850

so sabit hwa jado ghar agar jhoota shobda kery tu ws sy kisi ko bhi yeh mehsoos ho sakta ha k wo rasiyan dhore rahi hain yani hain wo asal mein rasiyan or insan ho or chahy koi Nabi bhi ko lag sakta ha k wo rasiyan dhore rahi hain or wo iss wajha sy dar bhi saktay hain
is it....?
koi galti tu nahi hwi na apki interpretation smjhny mein...?

.BZU. 09-11-2009 12:59 AM

Re: Jadoogar kay Jado main Asar Ho jata hay...
 
11 Attachment(s)
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13829)
Jee han bilkul...i agreed 100%

Attachment 10850

so sabit hwa jado ghar agar jhoota shobda kery tu ws sy kisi ko bhi yeh mehsoos ho sakta ha k wo rasiyan dhore rahi hain yani hain wo asal mein rasiyan or insan ho or chahy koi Nabi bhi ko lag sakta ha k wo rasiyan dhore rahi hain or wo iss wajha sy dar bhi saktay hain
is it....?


Waisay aap ko chahaye tha kay Us khoof wali ayat kay agay wali ayat bhi paste kartay, Takay Sab baat clear ho jati ...
Jaisay..yeh wali ayat...
Attachment 11620
Dosari baat jab aap is baat say 100% agree kar rahay ho, kay jadogar ka jado aik jhota shobda hota hay,tu is ayat ko aap jadogar kay jado main asar manna nay kayliye laga hei nahi sakti,But i do not know aapki aisi interpretation kiyon he keh....

jadgar apnay kufria kalemat say kisi ko takleef dene ka ikhtiyar rakhta hay, kisi kay dil main khoof dalnay ka ikhtiyar rakhata hay. aur us jadogar ko yeh ikhtyar Allah nay as a gift diya huya hay.




I can show you a Rope like a snake. Jadogar tu door ki baat..
I myself can do it ... but hadees kay mutabiq yeh karna bhi haram hay.

Magic say tu jism bhi kaat sakta hay jadogar. aap ko videos dikhai tu hay...
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13829)
koi galti tu nahi hwi na apki interpretation smjhny mein...?

Humain interprate karnay ki tu koi zarorat nahi hay...



Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 13829)
rasiyan sanp kaise bani...?

Interprate tu yeh alama sahab kar rahay ho kay rasiyan saanp ban gai thei. aur jadogar jo kay sajda main gir kar muslan ho gay thay inhon nay saanp bana li ay thay


All times are GMT +5. The time now is 11:16 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.