Showing Visitor Messages 21 to 30 of 113
-
Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!
-
Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai.
Jub bhi Wafa ka naam lete hi,
hume ek bewafa ki yaad Aati hai
-
Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna
Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna
Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga
Main apny hont see loon ga
Yu he bekaif gee loon ga
Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga
Tumhare jaber apny sabar ko main aazma loon ga
Magar ek baat main pounchoon
Tumhe apni qasam
Tum rakh k apny ser per haath
Phir phir khena
Tumhare dil mian mere naam se hal chul nahi hoti
Mere khat parh k jazbo mian koi tufan nahi uthta
Jawan raaton mein meri yaad ki shamay nahi jalti
Tumhari dharkano main kya meri yadien nahi palti
Tu phir tum ne azziyat ki ye rada
Kyoun taan rakhi hai
Ye dil mian thhaan rakhi hai
Bahut baichan khud rehna
Mujhe barbad sa rakhna
Bhulana bhi tu uss k sath kuch kuch yaad sa rakhna
Har ek andaaz ko apne sitam ejaad sa rakhna
Agar es shauq se tum ko koi taskeen milti hai
Tu mere zakhm-e-talab ka "tazkara" ab kam se kam hoga
-
Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !
Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !
Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !
Be-hijabi bhi be-wafayee hai,
Aayeena parda-e-wafa mange !
Ab to khud ko mita liya hamne,
Aur kya ab teri raza mange !
Uski neeyat me khot hai zakhmi,
Aur o pyar be raya mange !!
-
Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,
Kyon Na Aye Dost Hum Juda Ho Jayein,
Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar,
Hum Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,
Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,
Aur Kahin Aur Mubtala Ho Jayein,
Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka,
Khaak Ho Jayein Keemiya Ho Jayein,
Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse,
Aise Liptein Tera Qaba Ho Jayein,
Bandagi Humne Chhod Di Hai Sanam,
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein...
-
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,
tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,
tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.
meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,
mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,
or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,
or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee....
-
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,
Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi
-
Asllam.o.Alikum ji may bilkul theek thak hun ap sunay nahi ji abhi shadi nahi hui oct may ho gi INSHALLAH shadi hony say phely bataun gi ji may phir tu shyed ana bhi na hoo acha may poetry send kar rahi hun or try karun gi k rooz karun ji apna kheyal rahkna INSHALLAH phir baat ho gi hayat baki mulaqat baki ALLAH HAFIZ
-
20-04-2012 04:52 PM
iram hi.you also welcome!
-
slam to all,.
please tell M.COM 1 k papers kab hone hain for 2012
............