24-10-2011, 11:12 PM
|
| Sagar | | Join Date: Apr 2010 Location: Multan Pakistan
Posts: 223
Contact Number: 03334840676 Program / Discipline: Engineering Class Roll Number: 05-ME-45 | |
Daneshwari DANESHWARI Ham apni "MAADRI ZABAN" boltey hain "FADRI" nahi......kyun k
maan k hotey howe hamen kab moaqa milta hai k.....ham bolen.
Mohabbat aurat ki eijaad hai aur mard ki daryaaft.yeh wo bimari hai
jis main mard aur aurat ki binayi kam ho jati hai....balkey kabhi kabhi
to yeh andhey hojatey hain,kyun k kaha jata hai" mohabbat andhi hoti hai ".
Suraj aur bivi main eik baat mushtarik hai....k....dono ki traf aankh utha
kar nahi dekha jasakta.
Us kam ko kal par na taalen......jo parson hosakta hai.
sab se acha shohar wo hai jo har haal main sabir o shakir rahey......chahey
wo shoping ka marhala hi kyun na ho.
Aurat ki khwaish ko aur mard ki aazmaesh ko.....shaadi kahtey hain. |