BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Old 15-02-2011, 05:56 AM   #1
thecool
Lightbulb Is Eid Kaa Kia Saboot hai......

Zara ham Khud Koo Daikh lain k Ham KiYaa Kar Rahay hain........

NABI SAW nay Hamain Do Eidoo ka Bata ya 1st Eid-ul-Fitr 2nd Eid-ul-Azha, Par HUm naY tu Eido Ko TabDeel hi kardIya Aaj Ham Ek New Eid manatay hain

"EID MILAAD UN NABI"

K Naam Say...... Is Eid Kaa Kia Saboot hai...... Ye Kaisay WaJood main Aae..... Jisay

NA Samajh Musalmaaan Apni Sab Say Barh kar Eid Maantay hain..Sab Say BARH KAR.....

12 Rabi-ul Awwal ka Din Aan Hazrat SAW ki NABOWWAT ki Zindagi main 23 Martaba aya.... HAzrat Abu Bakar R.Z k Dore Khilaafat main 2 Martaba aya..... Hazrat Umer Farooq R.Z k Doore Khilaafat main 10 Martaba aya...... Hazrat Usman Ghani R.Z k Doore Khilaafat main 12 Martab aya..... Hazrat Ali Murtaza R.Z k Doore Khilafat main 5 Martaba aya...... Hazrat Ameere MuaaViyaa R.Z k Doore Khilaafat main 20 Maratab ayaa.................__________

Sahaba Rizwan-ULLah Ajamaien, Taabaien, MuhaddiSeen or Aaima Karam K Door main Buht Marataba aya or aam Dino Ki Tarha GuZar gaya______

Jab Sahaba Rizwan-ULLah Ajamaien say lay kar Muhaddiseen CHAAROO Aimma nay EID-e-Milaad nahi Manaye tu Ham Kaisay Manayin..................

IMAM UL ANMBIYAAH SAW ki taareekhe Wilaadat par Moorkheen main IkhTalaf paya Jata hai Kisi nay Aap Ka Youme Paidaish 8 Rabi ul Awwal or Kisi nay 9,11,12 likha hai Laikin Ziyaada ITTeFaak 9 Rabiul Awwal par paya jata ha....

__________________________________________________ ______

12 Rabi ul Awwal Aap SAW ki Wafaat ka Din hai Is Din Aap SAW ki SAHAB Zaadi Hazrat Fatima Zehra R.A Shiddate Gham say Pukaar Uthin..

"AAJ MUJH PAR ITNI MUSIBATAIN TOOTI HAIN K AGAR DINOOO PE WAKAY HOTI TU WO RAATON MAIN TABDEEL HOJATI"

Ae MusalMaanoo! Tum Ghoor nahi kartay K is Din Hazrat Fatima R.A pe kitni Museebatain TOOtin. 12 Rabi UL Awwal ko jab Sahab Rotay thay Zameen Rooti thi Aasmaan Roota tha. KaiNaat Rooti thi agar koi Khushi say Naachta ho ga tu Woh MALOON SHAITAAN hi hoga, or is Din Tum Eid Manatay Ho.

EID MILAAD KI IBTIDAA


IMAM UL ANMBIYAAH ki Hijri k 604 baad EISAAiyoo ki Daikha daikhi IRAQ main Arhal k Baadshah "MALIK MUZAFFAR ABU SAEED" Jo k Nahayat Be-Deen Bara Aish pasand Fazool Kharch or AiYYaash Shakhs tha ... Apnay ek Duniyaa parast KAzzab Moolvi Umer bin Hassan bin haya kalbi k Saath mil kar Eid-Milaad un Nabi ki Is RAsam Ko Eijaad kiya(BAHAWAL TAAREEKH IBNE KHLQAAN) or LaalChi Moolvi nay 1000 Deenaar ly kar Eid MIlaad k Haq main Fatwa Diyaa.....................

Is Tarha Ye Eid RAfta Rafta Musalmanoo k Gharoo main Ghus gae or Sadah Dil Logo nay Akeed o Ehtaram, Piyaar o Muhabbat main GHULOO kar k isay Deen ka HiSSa(BID'aT) bana Liyaa....

Points.....

1-EisAae apnay Nabi A.S ka Milaad manatay hai or Na SAamjh Musalmaan Apnay Nabi SAW ka Milaad Manatay hain.

2-EisAae apnay Nabi A.S k Paidaish k Din ko Eid Ka Din Samajhtay hain Or Kuch Na samajh Musalman Bhi Apany Nabi K youme Waladat ko Eid ka Din Samajhtay hain.

3-EisAae bhi MILAAD main Dhool or Baajoo Ka Istamal kartay hain or Na Samajh Musalmaan Bhi.

4-EisAae GirJaa Gharoo main Apnay Nabi ki Waladat ki Khushi main CAKE kaat tay hain Or Be-Deen Musalmaan Bhi Faizane Madina main Yahi kartay hain..

NABI (Sallal Laho Alaih Wasallam) Nay Irshaad Farmaya K:

"Jis Nay Kisi (Gair) Qoam Ki MUSHAaBIHAT Ki Wo Unhi Main Say Hay"

Sunnan ABU DawooD, Hadees No. 4031


Rasool SAW k is Qool ko Parh nay k Baad Naam NEhaad MuHabbane Rasool ko LARAZ jana Chahiye or Apnay Anjaam say Darna ChaaHiye or abhi say Apnay Aqaaid O Aamaal ko Uswahe Rasool SAW k Mutaabik Dhaalnay ki Kooshish karni Chahiye........ Allah Haimain Rasool SAW ki Seerat ko Apnay nay Or Un ki Sunnatoo pe Chalnay ki TouFeek ata Farmay......

Aameen Ya Rabbul Aalamie................

One more Thing.....
__________________

Ye Eid Milaad Nahi hai Bal k Un Halwaa Khoor Moolviyoo ki Eid ha Jin par Is Din TArha taRha K Lazeez Khaanoo ki Baarish Hoti ha.... Tu Phir In Kaa Dimaagh Kharab hai ki Joo Aap Ko Is BIDAT say Rookain......


Assalam'O ALaikum warehmatullahi Wabarakatuhu
  Reply With Quote
Reply

Tags
eid, hai, kaa, kia, saboot

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 04:19 AM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.