Mila wo bhi nahi karti,
Mila me bhi nahi karta.
Wafa wo bhi nahi karti,
Wafa me bhi nahi Karta.
Usay Ruswai ka Dukh hai,
Mujhay Tanhai ka Dukh hai.
Gila Wo bhi nahi karti,
Gila me bhi nahi karai.
Kisi morr per takrao ho jata hai aksar.
Ruka wo bhi nahi karti,
Ruka me bhi nahi karta.
Jab bhi dekhta hon usay,
Socta hon kuch kahon us say.
Suna wo bhi nahi karti,
Kaha me bhi nahi karta.
Lekin ye bhi sach hai k Muhabbat usay bhi hai,
Muhabbat mujhay bhi hai.
Izhar wo bhi nahi karti,
Iqrar me bhi nahi karta.
Mila wo bhi nahi karti,
Mila me bhi nahi karta.
Wafa wo bhi nahi karti
Raja,
Wafa me bhi nahi karta...