BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan Right Header

HOME BZU Mail Box Online Games Radio and TV Cricket All Albums
Go Back   BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan > Waqas Ahmed's Profile > Albums > Islamic

Picture 2 of 2 from Album Islamic
Our Beloved Prophet HandWriting
Our Beloved Prophet HandWriting
Picture Added 27-09-2008 12:21 PM
Added by Waqas Ahmed

Showing Picture Comments 1 to 13 of 13
  1. irtaza
    25-07-2009 09:22 PM
    irtaza
    Subhan-ALLAH
  2. usman_latif_ch
    27-07-2009 08:00 PM
    usman_latif_ch
    Quote:
    Our Beloved Prophet HandWriting

    waise jahan tk mere knowledge ka sawal ha k Hazrat Muhammad (P.B.U.H) likhna or perhna nahi janty thy..
    ap ny yeh kahan sy liya isska valid source bhi bata sakty hain... ......
  3. momna gull
    05-08-2009 10:38 AM
    momna gull
    Prophet Muhammad (SAWW) Padhna likhna Quran Majeed k nuzuul se pehle nahi jante they warna to her tarha ka Ilm Allah Tabarak WaTAala ne AAp SAWW k tabey ker dia tha Ap(SAWW) ne Jab Quran Majeed Padhlia Or uski TAleem bhi di. Yahan tk k AAp SAWW ne tableegh k liye bhi kai khutuut likheor likhwae.
    Jahan Tak is Document k authentic honey ka sawal Hai to bahasiat musalman k hamen us cheez per Yaqeen kerlena chahiye jis per Muhre Rasuul SAWW ho.Kiun k mera Nahi khayal k RAsuul SAWW ki kisi bhi nishani ko kisi badBakht ne abhi tak misuse kia hai.
    Baqi aap k liye special message ye hai usman Sahib k DEEn k barey main Tahqiq achchi cheez hoti hai aap is ko jaari Rakhen
  4. usman_latif_ch
    05-08-2009 08:23 PM
    usman_latif_ch
    jahan tk mujhay pata nha wo akhir tk likhna nahi janty thay
    or wo jab bhi koi tahreer likhni hoti thi tu wo likhwaya kerty thay sirf apni stamp jo yahan paper per lagi ha wo laga diya kerty thay jo ap (SAW) ki ring mein lagi thi

    Quote:
    warna to her tarha ka Ilm Allah Tabarak WaTAala ne AAp SAWW k tabey ker dia tha
    or mein ap ki iss bat sy bhi itfaq nahi kerta allah tallah ny hr qisam ka ilm ap k tabeh nahi kiya tha balkeh sirf apko wssi bat ka ilm hota tha jis ki apko wahi ki jati thi yan kisi or zaryeh sy apko wo bat bata di jati thi
    agar aesa hota tu ap 9SAW) kabhi sab e qadar ki rat nahi bholtay or logon ko bata dety wska allah nay he apko bataya tha or allah ny he bhula diya issi terhan allah jo bataty thay apko wohi pata hota tha

    Quote:
    bahasiat musalman k hamen us cheez per Yaqeen kerlena chahiye jis per Muhre Rasuul SAWW ho
    or mein apki iss bat sy bhi agree nahi kerta k ap jahan bhi koi aesi cheez deikhain us per yakeen ker layn waise bhi ajkal fitnon ka doar ha or hamein aesi chazon mein jitna bach sakain bacha chaheya or hr bat ki tahqeeq zaroor kr leni chaheya or jahan tk tahqeeq ka sawal ha wo kerna ajkal koi mushkil nahi ha na he ws k liye apko kisi alim ki zaroorat ha ap apni aqal k mutabiq khud faisla ker saktay hain literature perh kr deeeni jo aitabar k qabil ho maslan "hadiths and quran" is one of the best literature or hadeeth mein bukhari or muslim sb sy pehlay no per hain.
  5. momna gull
    06-08-2009 09:16 AM
    momna gull
    Usman sahib Ap ager ye nahi jantey to main aap Ko bata dun k AAp SAWW ko Allah ne Her Ilm Se bakhaber Rakha hai Zaruri nahi k Ap SAWW ko bhi Is baat ki hidayat ki ho k ApSAWW bhi hum ko wo TAmam ilm deden JIs nabi k sath Mairaj Jesa Azeem Waqia Pesh AAya ho kia wo Is RAAt ko bhi na pehchanta ho ga Naooz u billah
    Jis Nabi K NIsbat se hamen Shabe Qader ki RAat mili hum Ye keh den k un ko hi Is raat k a ilm na hoga
    Usman Sahib Ager aap ko lagta hai k aap baghair kisi Aalim k kitabon hi se Faiz utha sekte hain to barahe karam jayiye or ja ker padhiye
  6. usman_latif_ch
    06-08-2009 07:56 PM
    usman_latif_ch
    lo apko abhi shabe qadar or shabe miraj mein he faraq he maloom nahi ha dono mein zameen asman ka faraq ha...pehlay ap yeh tu jan layn k shabe qadar or shabe miraj mein kya faraq ha
    shabe qadar ki rat wo ha jis k baray mein quran mein ek soorat bhi nazil hwi ha or shabe qadar ramzan ki akhari tak ratoon mein talash ki jati ha jis ka ilm allah ny hazarat muhammad (SAW) ko diya tha laqin bad mein yeh bat apko bhula di gai yeh ek pura waqeya ha jo hadeesh mein ata ha ap pehlay wo perh layn phir behas kerna
    shabe qader ki rat k baray mein ha k wo hazar mahinon ki ibadaat sy bhi zada sawab wali rat ha jab k shab e miraj ki rat wo rat ha jis rat ko allah ny hazarat muhammad (SAW) ko asman ki saire kerwai.....
  7. usman_latif_ch
    06-08-2009 08:49 PM
    usman_latif_ch
    Quote:
    AAp SAWW ko Allah ne Her Ilm Se bakhaber Rakha hai Zaruri nahi k Ap SAWW ko bhi Is baat ki hidayat ki ho k ApSAWW bhi hum ko wo TAmam ilm deden
    or apki yeh bat bhi bohat si qurani aeyaat sy galat sabit hoti ha k ap (SAW) sb kuch janty thay yani hr terhan ka ilm tha apko...
    ap (SAW) ko sirf wo ilm tha jis ka allah ny apko bataya ap ws k ilwa kuch nahi janty thay
    mein apko bohat si aeyat quote bhi ker sakta hn jis mein yeh kaha gaya ha
  8. momna gull
    07-08-2009 10:38 AM
    momna gull
    usman sahib jise muj jesi aam bande ki bat samaj na aati ho or us k under apne matlab ki bat dhund ker muje hi la ilm qarar deraha ho namumkin hai usay kisi Aisi Husti ki baat samaj aajaye jo baton k under ilm ka khazana rakhte hon ap se meri ye aakhri guftugu hai or umeed keron gi k aap muj per comments na keren is liye nahi k aap k comment meri zat per hain bulkay isliye kion k main ye bardasht nahi ker sakti k aap hazrat muhammad SAWW ko ilm wala hi nahi mantey shabe mairaj shabe bar'at shabe qadar k naam per ap muje to tont kersaktey hain mager main nahi sun sakti k aap Ye kehden K Nabi SAWW ko in dino ki Khabar nahi thi Allah aap ko hidayat de bukhari wa muslim jild number 3 safha namber 383 bab Shu'ub ul Iman mai khud AAn Hazrat Muhammad SAWW ka hi irshad hai k sha'baan ki 15ween raat ko ibadat ka sawab itna hai jitna bano kalb ki bakrion k baal hain
    kia aap Sahi bukhari ko challenge kerne ki himmat rakhte hain to phir aap ye bataye kia Nabi SAWW jinhon ne hamen is raat ki or is k sawab ki khabar di unko kuch nahi pataa
    aap ko main Huzoor e Akram SAWW k ilm o FEhm k bare main buhat Subut de sakti hun mager main janti hun k aap jese log Quran ko Daleel to banalete hain mager usay padh k samajte nahi hai
  9. usman_latif_ch
    07-08-2009 06:34 PM
    usman_latif_ch
    bukhari wa muslim jild number 3 safha namber 383 bab Shu'ub ul Iman

    bukhari wa muslim......
    dono books mein ek he page no ha kya...? or mein ny tu bohat search kiya ha mujhay kahin nahi mili yeh hadith ap zarah iss hadith ka reference zada clear karain plz yeh batayn yeh sahih bukhari ki ha yan sahih muslim ki ha yan agar dono ki bhi ha tu page tu same nahi ho sakty na, sath mein hadith no bhi likh dayn mein zara clear kerna chahta hn ho sakta ha kuch mil jye mujhay bhi .... ap k knowledge sy
    or mein kabhi bhi nahi galat nahi keh sakta balkeh koi bhi nahi galat keh sakta sahi bukhari ki hadees ko yan quran pak ki kisi aeyat ko


    Quote:
    aap hazrat muhammad SAWW ko ilm wala hi nahi mantey
    bilawajha yeh kehnay ki zaroorat nahi mein ny kahin yeh nahi kaha yeh ap ka kehna ha
    mein ny sirf itna kaha ha k ap (SAW) jo kuch janty thay wo allah ny apko bataya tha ws k ilawa ap kuch nahi janty thay mein ny yeh kaha ha zara ghore karain jo kaha ha


    Surat Inam Aeyat no 50

    "Ap (S.A.W) in sy kaheyeh keh mein nahi kehta mere pass allah k khazanay hain, na mein gayb ki batain janta hn our na tum sy kehta hn k mein farishta hn balkeh mein parrvi(Follow) kerta hn isski jo meri taraf wahi ki jati ha"

    Surat Al Airaf Aeyat no 188

    " Ap (S.A.W) keh dijiye keh mujhay khud apny nafa yan nuksan ka ikhtayar nahi magar allah he jo kuch chahta ha wo hota ha, or agar mein gayb janta hota tu bohat si bhalayan hasil ker lyta or mujhay kabhi koi takleef na pohchti mein tu mehaz ek darany wala or basharat deny wala hn"

    Surat Yonas Aeyat no 20

    "Ap(S.A.W) farma dijiye gayb ki khabar sirf allah ko ha so tum bhi muntazar raho mein bhi tumhare sath muntazar hn."

    Surat Namal Aeyat no 65

    " Ap (S.A.W) kehdijiye k asman walon mein sy zamein walon mein sy siwaye allah k koi gayb nahi janta inhain tu yeh bhi nahi maloon k kab utha kharay kiye jayn gy"

    agar itni wazeh aeyaat k bad bhi ap kuch kahin wo wo apki apni soch ha yeh meri batain nahi yeh allah ka quran ha mein tu sirf apko bata sakta tha jo bata diya baqi apki apni soch or amal ha hr ek ko apna apna hisab dena ha larnay wali koi bat nahi mujhay ap sy lar kr kya lena ha

    Surat Fatar Aeyat no 8

    "Allah jisay chahta ha gumrah kerta ha or jisay chahta ha hadayat deta ha,......."
  10. .BZU.
    07-08-2009 09:04 PM
    .BZU.
    Quote:
    Allah aap ko hidayat de bukhari wa muslim jild number 3 safha namber 383 bab Shu'ub ul Iman mai khud AAn Hazrat Muhammad SAWW ka hi irshad hai k sha'baan ki 15ween raat ko ibadat ka sawab itna hai jitna bano kalb ki bakrion k baal hain
    Quote:
    bukhari wa muslim......
    dono books mein ek he page no ha kya...?
    Hmmm... Miss Momana; please do not share wrong information ... if you will say kay Aap SAW nay aisa kaha hay tu aap SAW par ilzam laga rahay ho. so please aisa na karain...

    Quote:
    kia aap Sahi bukhari ko challenge kerne ki himmat rakhte hain to phir aap ye bataye kia Nabi SAWW jinhon ne hamen is raat ki or is k sawab ki khabar di unko kuch nahi pataa
    Hmmm. challenge tu koi nahi kar raa hay. but aap SAW nay aap kay mutabiq aisi raat ki khabar di bhi hay tu. Zahir hay aap SAW aur sahaba karam RA nay bhi apni 23 years ki nabwi zindagi main har saal 15 shaban ko shabae barat celebrate ki hogi. aur raat ko moom batiyan jalai hongi. Halwa taqseem kiya hoga.

    Quote:
    Kiya aisi bhi koi haddes hay kay jis main likha huya ho kay Muhammad SAW, ya koi bhi sahabi RA nay 15 shaban kii raat ko yeh samjh kar ibadat ki ho aaj ki ibadat ka sawab bakrion kay barabar hay.
    zahir hay agar aisa true hay tu Allah nay koi aik Ayat bhi nazil ki hogi. Because I beleive kay Quran majeed main har problem ka solution hay.
  11. momna gull
    08-08-2009 01:17 PM
    momna gull
    bzu
    usman
    no comment at all isliye nahi k mere paass jawab nahi
    main ne pehle bhi kaha sirf isliye k aap k paas itn aql or shaoor nahi k baat ko samjhen
    or sahi bukhari ki hadith qoute ki thi main ne aap behas barai behas kerte hain or main behas barai behas ka hissa nahi bun sakti
  12. usman_latif_ch
    08-08-2009 04:56 PM
    usman_latif_ch
    sahih bukhari ki hadees ha tu wahan honi bhi chaheya na kyoun nahi ha wahan ....? mujhay kahin nahi mili issi liye bola tha sahi reference quote kero or hadith ka no bhi do pata nahi knsi sahih bukhari ha ap k pass...


    ok leave it acha tareeqa ha jawab na ata ho tu aesy bat khatm kerny ka, apko tu abhi itna he nahi pata k shabe qadar or shabe barat mein kya faraq ha insan ko agar kisi bat ka pata na ho tu ws k baray mein bila wajha behas nahi kerni chaheya or issi liye acha kiya apny khair koi bat nahi allah apko hadeyat or smjh dy

    Surat Bani israel aeyat no 81

    "Or elan kr do haq aa gaya or batil bhag khara hwa or batil tu ha he bhag nikalny wala"
  13. .BZU.
    08-08-2009 08:10 PM
    .BZU.
    Quote:
    bzu
    usman
    no comment at all isliye nahi k mere paass jawab nahi
    main ne pehle bhi kaha sirf isliye k aap k paas itn aql or shaoor nahi k baat ko samjhen
    or sahi bukhari ki hadith qoute ki thi main ne aap behas barai behas kerte hain or main behas barai behas ka hissa nahi bun sakti
    So momana please not tell a lie. in matter of islam. hadees ka page likhnay ko qoute nahi kehtay,. usman have checked that hadees which you qouted but whan tu aisa kuch hai hei nahi..
    so please do not blame hadees and piyaray nabi SAW.. ok
    Quote:
    no comment at all isliye nahi k mere paass jawab nahi
    Yes! Baatil to bhaag nikalnay waala hay... Agar Momana Sachi hay tu na bhagti .. aur agar yeh apnay aap ko sacha manti hay tu yeh na aoz billah quran ki is Ayat ka Khula Inaka aur kufar kar rahi hay...
    So agar aap quran ki ayat ka inkaar karna acha samjhti ho tu carry on with your concept.
    Allah Maaf karay... Ameen.
Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 04:14 PM.
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.